Sonth (Saunth) ke fayde aur Gharelu nuskhe (Benefits & Home Remedies of Dry Ginger)
Sonth (Saunth) aur Adrak dono ek hi padarth ke 2 roop hain. Geele roop mein yeh Adrak kahlati hain aur Sookhne par yeh Saunth (sonth) ho jati hain. Sonth ka upyog gharelu nuskhe aur masalo ke roop mein gharo mein kiya jata hain. Sonth Ayurveda mein Harad aur Amle jitni hi important mani gyi hain, Isme hazaaro gun hain. Yeh swaad mein charpari, Taseer garm, Gathiya, Jukaam, Apach, Kabz, Khansi, Saans se related problems, Bawaseer aadi ko door karne wali hoti hain.
Saunth ke gharelu nuskhe aur fayde :-
Sukhi Adrak (Dry Ginger) ya Sonth ka istemal kai tarah ke gharelu medicine banane ya Food ka taste badlne ke liye kiya jata hain. Saunth ke istemal se aapko kya-kya fayde ho sakte hain aur Sonth (Saunth) ke gharelu nuskhe aur unke fayde ke baare mein janane ke liye yeh post aapke bade hi kaam aayegi.
1. Sonth ko doodh mein ubaal kar, Thanda karke peene se Hichaki band ho jati hain. Pasliyo mein dard hone par ise paani mein ubaal kar thanda karke din mein kam se kam 4 baar peene se fayda hota hain.
2. Saunth, Amla, Chhoti Pipal ka churan Shahad ke saath Chaatne ya Bakri ke garam doodh ke saath lene se hichkiyo mein aaram milta hain.
3. Pet dard, kabz aur apach jaisi samsyaon mein ise Hing aur Sendha Namak ke saath pees kar lene se aaram milta hain. Iske alawa Ise paani mein ubaal kar peene se diarrhea mein kafi rahat milti hain.
4. Sonth aur Dhaniye ka kadha peene se pet dard aur Kabz door hoti hain.
5. Beal aur Saunth ka churan Gud mein mila kar Chhachh ke saath lene se Dast theek hote hain.
6. Isme Cancer-rodhi gun mauzood hote hain, Jo Cancer cells ko badhne se rokte hain. Iske alawa grabhasya ke cancer hone ke khatre ko kam kar dete hain.
7. Sonth, Hing aur Kala Namak mila kar lene se gas ki problem mein labh hota hain. Peesi huyi Sonth aur Carom ke beejo ko Nimbu ke ras mein bhigokar chhaya mein sukha kar rojana Subah lene se gas aur pedu ke dard mein aaram milta hain.
8. Yeh paseene ko nikalne mein madadgar hain, Jisse sharir ka temperature kam ho sakta hain aur dheere-dheere sharir se zehareele tatvo ko bahar nikalne mein madad karta hain, Jisse bukhaar mein aaram milta hain. Shahad ke saath ise lene se Bukhaar kam ho jata hain.
9. Jee machlane, thand mein paseena aane, chakkar aane aur ulti aane jaisi problems ko kam karne mein yeh behad faydemand hain. Yeh pregnant mahilaon ki samsyaon ko kuch hud tak kam kar deta hain.
10. Yeh pachan kriya sahi kar wajan ko kam karne mein madad karta hain. Iske alawa yeh khoon mein mauzood sugar level ko control kar, Fat ko active karta hain.
11. Seerdard, Migraine, Gardan aur sharir ke dard hone par sookhi Adrak aur paani ka lep banakar lagane se aaram milta hain. Ise soonghne se cheenk aane par bhi seerdard ko aaram pahuchta hain.
12. Iske alawa Sonth ko pees kar Bakri ke doodh mein mila le, Iski kuch boonde naak mein tapkaane se seerdard mein aaram milta hain.
13. Sonth ko paani mein pees kar Kanpatiyo par lep karne se Migraine ya Adhkapaari mein aaram milta hain.
14. Lakwe ke asar ko kam karne ke liye Saunth ka powder, Jigri aur Garam Masoor ki dal ko mila kar khane se fayda hota hain. Iske alawa Lahsun, Sonth aur Paani ka lep bana kar lagane se bhi labh hota hain.
15. Jodo ke dard mein Sookhi Adrak jise hum Sonth kahte hain, Kafi faydemand hoti hain. Sonth, Jayphal ko pees kar Til ke tel mein dalkar, Usse bhigi hui patti jodo ke dard par lagane se aaram mil sakta hain. Iske alawa ubale huye Paani ke saath shahad aur Adrak powder ko peene se Gathiya mein labh milta hain.
16. Khane se pahle 5 Gram Adrak ke tukade par Sendha namak aur Nimbu lagakar khane se bhookh badhti hain.
17. 15 Gram Sonth churan rojana Raai ki kanji ya Giloy ke kadhe ke saath peene se Gathiya mein labh hota hain.
18. Sonth mein Thermogenic tatv hota hain, Jo Fat ko burn karne mein madad karta hain, Jisse wajan asaani se kam hota hain. Garam paani ke saath iska sewan motape ko kam karne mein madad karta hain.
Post a Comment