Header Ads

Aankho se chashma utarne aur aankho ki roshini badhane ke tips (Tips for Remove Spectacles)

Chashme ka number kam karne aur aankho ki roshini badhane ki tipsKam umar mein chashma lag jana aaj-kal ek aam baat hain. Is problem se joojh rahe log ise majboori mankar hamesha ke liye ise apna lete hain, Lekin aisa nahi hain ki agar aapko kisi wajah se ek baar Chashma lag jaye to veh utar nahi sakta. Chashma lagne ka sabse ahem wajah aankhon ki sahi tarah se dekh-bhaal na karna, Poshak tatvo ki kami ya anuvansik (Jeans) ho sakte hain. 

Inme se agar anuvansik (Jeans/ Family History) ki wajah ko chhodkar dusre wajah se laga chasma sahi dekh-bhaal aur khan-paan ka dhyaan rakhne ke saath hi desi nuskhe apnakar utaara ja sakta hain. Aaj hum aapko batane ja rahe hain kuch aise gharelu nuskhe jo aankho ki samsya ke liye ramban upay hain. In tips ko apnayiye aur Aankhon ki roshini badhaye aur Chashme ka number kam karne ke saath-saath yeh Chashme ko utaarne mein bhi madad karte hain.

1. Kela aur Ganna khana aankho ke liye faydemand hain. Rojana Nimbu paani peene se bhi aankho ki roshini badhti hain.

2. Nimbu aur Gulabjal ki barabar matra ko mila kar ek-ek ghante ke antral par aankho mein dalne se aankho ko thandak milti hain.

3. Gulab jal ka foha aankhon par ek ghanta baandhne se garmi se hone wali preshani mein turant aaram milta hain.

4. Apne khane mein Lahsun aur Pyaaz ko shamil kare. Inke sewan se sharir ko sulfur aur anti-oxidants bharpoor matra mein milte hain, jo aankhon ko healthy banane mein madadgar hote hain.

5.  Laghupatha naam ke paudhe ki pattiyo ka ras ko aankho mein daalne se bhi labh hota hain.

6. Soya milk mein Fat kam aur Protein jyada hota hain. Isme Fatty Acid aur Vitamin E paya jata hain, Jo aankho ko healthy rakhne mein madad karta hain.

7. Ek chammach paani mein ek boond Nimbu ka ras daalkar 2-2 boond karke aankho mein daalne se aankhe swasth rahti hain.

8. Shyam Tulsi ke patto ka ras ki 2-2 boonde 14 dino tak aankhon mein daalne se Rataundhi rog mein labh hota hain. Is prayog se aankho ka peelapan bhi mitata hain.

9. Hari Sabziya aur Salad ko apne bhojan mein jyada se jyada matra mein shamil kare. Inme paya jane wala Anti-Oxidants aankho ko sehatmand banate hain.

10. Baelpatr ka 20 se 50 ml ras peene se aur 3 se 5 boond aankho mein kajal ki tarah lagane se Ratondhi rog mein aaram milta hain.

11. Aankho mein chot lagi ho, Mirch masala gira ho, koi keeda gir gya ho, Aankh lal ho, to Doodh garm karke usme rooi ka phua daalkar thanda karke aankho par lagaye aaram milega.

12. Pair ke talwo par Sarso ke tel ki malish karke soye. Subah ke samay nange pair hari ghaas par chale aur niyamit roop se alom-vilom pranayam kare, Aankho ki kamjori door ho jayegi.

13. Rojana din mein kam se kam 2 baar aankho par paani ke chhinte jaroor maare. Raat ko Triphala ko bhigokar subah oos paani se aankho ko dhone se aankho ki bimariya door ho jati hain aur jyoti badhti hain.

14. Raat ko sone se pahle Arandi ka tel ya Shahad aankho mein dalne se aankho ki safedi badhti hain.

15. Amle ke paani se aankhe dhone se ya Gulabjal daalne se aankhe healthy rahti hain.

16. Dry Fruits ko apni diet mein shamil karne se sharir ko sahi energy milti hain. Saath hi aise poshak tatv bhi prapt hote hain jo aankho ko swasth banaate hain.

17. 1 se 2 Gram Mishri aur Jeere ko 2 se 5 Gram Gaay ke Deshi Ghee ke saath khane se aur Landipipar ko chhachh mein gheeskar aankho mein lagane se ratondhi mein fayda hota hain.

18. Haldi ki gaanth ko Tuar  ki daal mein ubaal kar , Chhaaya mein sookha le. Is gaanth ko paani mein gheeskar sooraj dubne se pahle din mein 2 baar aankho mein kajal ki tarah lagane se aankho ki lalima door hoti hain aur aankhe swasth rahti hain.

19. Ek chane ke barabar Fitkari ko senkar 100 Gram Gulabjal mein daale aur rojana raat ko sone se pahle is gulabjal ki 4-5 boonde aankho mein daale. Saath hi pair ke talwo par ghee ki malish kare. Isse Chashme ke number kam ho jate hain.

20. Aankho ko healthy rakhne ke liye rojana Vitamin A, B aur C se bharpoor fruits aur dusri cheezo ka sewan kare. Gajar, Amla, Amrood, Papita aadi veh fruits hain jo aankho ke liye bahut hi jyada faydemand hote hain.

21. Thandi Kakdi ya kacche Aaloo ki slice kaatkar 10 minutes aankho par rakhe. Paani jyada se jyada piye. Paani ki kami se aankho mein sujan dikhaayi deti hain. Sone se 3 ghante pahle bhojan karna chahiye. Aisa karne se aankhe healthy rahti hain.

22. Badam ki Giri, Badi Saunf aur Mishri teeno ko barabar matra mein mila le. Is mishran ko peeskar powder bana le. Roj is powder ki ek chammach matra raat ko sone se pahle ek glass doodh ke saath le.