Header Ads

Sirf in asaan tariko ko apnakar aap cancer se bach sakte hain.

Cancer se bachne ka tarikaTaste ke aage health ko ignore karne wale yeh nahi sochte hain ki zara si laparavahi karke veh kitni saari
bimariyo ko bula rahe hain. Food items mein ho rahi milavat iska sabse bada karan hain. Tamam tarah ke chemicals sehat ke liye nuksaandayak hote hain, Saath hi inse asamay kai bimariya bhi ghar kar leti hain. Aaj hum baat karenge ki Cancer jaisi Janlewa Bimari se kaise bacha jaye. Cancer hone par iska puri tarah se successful ilaj abhi tak possible nahi ho paya hain, Par thodi si Saavdhani barat kar Cancer hone ke khatre ko kafi hud tak kam kiya ja sakta hain.

Aaiye jante hain ki Kaise in asaan upay (Tips, Tarike) se Cancer hone se bacha ja sakta hain ya Cancer hone ke khatre ko kam kiya ja sakta hain. 

Dry Fruits :- Din mein kewal thoda sa Dry Fruit kha kar Cancer jaisi khatarnaak bimari se bacha ja sakta hain. Inme Fiber aur Polyphenols ki bharpoor matra hoti hain. Na kewal Dry fruits balki bhoone huye Anaazo ke beejo ka sewan bhi labhdayak hota hain. Pachan sambandhi gadbadiyo ko door karke yeh pet ke cancer se bachate hain. 

Paani ki jyada matra :- Din mein 6-8 Glass paani peena har tarah se faydemand hota hain. Jyada se jyada matra mein paani ke sewan se sharir ke saare Toxins urine ke jariye bahar nikal jate hain. Blood circulation sahi rahta hain aur Oxygen ki bharpoor matra body ke har ek part tak pahuchti hain. Isse Cancer aur aisi hi kai tarah ki bimariya door rahti hain. Iske saath hi, rojana exercise karna bhi jaroori hain. Rojana mumkeen na ho to hafte mein 2-3 din ka time Exercise ke liye jaroor nikaale. 

Fruits aur Vegetables ki bharpoor matra :- Apni diet mein phalo, sabziyo aur salad ki jyada se jyada matra shamil kare, Kyonki inme Vitamin C, Lycopene aur Beta Carotene jaise jaroori tatv paye jate hain. Research se is baat ka khoolasa hua hain ki khane mein phalo aur sabziyo ki prayapt matra Cancer hone ki sambhavna ko kafi hud tak kam karti hain. Iske saath hi, Inme Phytochemicals ki mauzoodagi polluted environment ke asar ko bhi kam karti hain. 

Meetha, Fat aur Meat ka kam sewan kare :- Khane mein sugar ki jyada matra, Fat badhane wale Chips, Burger aur Packaged Meat aadi ka sewan khatarnaak sabit ho sakta hain. Processed meat ko preserve karne ke tamam tarah ke chemicals istemal mein laye jate hain. Yeh swaad to badhate hain, lekin sehat ke liye nuksaandayak hote hain. Agar aapko Meat khane ka shauk hain to aap Taza meat kha sakte hain. 

Sabut Anaaz :- Isme koi 2 raay nahi hain ki sabut anaa sehat ke liye har lihaz se faydemand hain. Isme mauzood fiber ki matra digestion ko theek rakhne ke saath hi Colon cancer se bachati hain. Colorectal Cancer duniya mein teesra sabse jyada phailne wala cancer hain. Ise rokne ke liye Sabut Anaaz ke saath hi bread, Brown Rice, Oatmeal, Daal khana bahut hi madadgar sabit ho sakta hain. Sabut Anaaz kha kar cancer hone ke khatre ko 20% tak kam kiya ja sakta hain. 

Saaf bartano mein khana banana ;- Saaf-Safaai bhi cancer ke khatre ko kafi hud tak rokti hain. Gande bartano mein khana banana, Khane ke baad bartano ko sahi tarike se saaf na karna bhi kai tarah ke cancer ko janm deta hain. Juthe bartano mein khana khane se Mooh mein chhale se samsya shuru hoti hain aur badhkar Mooh aur Pet ke cancer mein bhi badal sakti hain. Lohe aur Steel ke bartano mein khana banaye. Yeh sehat ke liye bhi accha hota hain. Saath hi, Cancer se bhi bachaav karta hain. 

Masale :- Kitchen mein istemal kiye jane wale masale sirf khane ka swaad hi nahi badhate, balki kai tarah ke rogo ke ilaj mein bhi kargar hote hain. Inme Anti-Oxidants bharpoor matra mein mauzood hote hain jo Skin Cancer ke khatre ko rokte hain. Saath hi, Agar koi cancer se peedit mareez hain to uske liye bhi masale faydemand hote hain.

Alcohol, Tobacco ka kam sewan kare :- Bahut jyada sharab peena, Tambaako (Tobacco) chabana, Cancer hone ki wajah ban sakte hain. Alcohol ke jyada sewan se Pet, Breast, Mooh aur Gale ka cancer ho sakta hain. Alcohol ki adhik matra seedhe DNA ko damage karti hain. Isse Blood Vessels mein Estrogen ki matra badha deti hain, Jo ladies mein breast cancer hone ki ahem wajah hain.  Research se yeh saabit ho chuka hain ki Alcohol, Tobacco dono ka sewan karne wale logo mein Oral Cavity, Gale aur Pet ka cancer jyada dekha gya hain.