Badhti umar ke saath Aurato aur baccho ke liye calcium ki supply bahut hi jaroori hain.
Shishu (Baby) ko hoti hain jaroorat
Pregnancy mein Shishu ki haddiyo ke development ke liye calcium ki jaroorat hoti hain. Baby apne liye saare jaroori nutrients mother ke khane se leta hain. Agar aapke bhojan mein jaroori Calcium aur Minerals nahi honge, to Shishu aapki haddiyo se yeh jaroori nutrients sokhne lagta hain. Aise mein agar aap jaroori matra mein Calcium nahi lengi, to aapki haddiyo ko kafi nuksaan pahuchega. Yeh problem sirf pregnancy period tak hi nahi chalti hain, Balki oos samay tak jaari rahti hain jab tak baccha apni maa ka doodh peeta hain. Pregnancy aur Doodh pilane tak ke samay mein mahila ke sharir mein nutrients ki kami hone lagti hain. Aise mein jo auratein apne poshan ko lekar alert nahi rahti hain, Unhe health se related kai problems ka samna karna padta hain. Kai mahilaon mein baccho ke stanpaan ka samay khatm ho jane ke baad sehat mein sudhaar dikhne lagta hain, Lekin bahuto ko yeh samsya jeevanbhar ke liye saath rah jati hain.
Khatra hain Osteoporosis ka
Long Time tak lagatar Calcium ki kami Osteoporosis ki wajah ban sakti hain. Menopause ke baad yeh problem tezi ke saath badhne lagti hain. Osteoporosis ya haddiyo ka kamjor hone ka khatra badh jata hain. Is bimari ki sabse buri cheez yeh hain ki jab tak koi fracture nahi hota hain, Tab tak yeh pata hi lag pata hain ki aapko Osteoporosis hain. Halaki ki hum haddiyo ke nuksaan ko dekh ya mahsoos nahi kar sakte, Lekin yeh koshish to kar hi sakte hain ki aisa na ho.
Isliye dhyaan de :-
Healthy aur strong bones ke liye balanced diet, regular exercise aur healthy lifestyle ko apnana bahut hi jaroori hain. Khas taur par jab aap Maa banane ki taiyaari kar rahi ho, to in baato ka pura dhyaan dijiye.
Calcium :- Apne bhojan mein khoob calcium ko shamil kare. Iske liye aap Doodh, Dahi, Paneer, Hari pattedar sabziya, Broccoli, Daale, Tofu aur Badam jaisi cheeze bhojan mein kha sakti hain. Apne food mein calcium ki matra ko badhane ke liye pregnancy tak ka intezar na kare. Agar aap maa banane ja rahi hain to doctor se salah lekar Calcium supplements tablet kha sakti hain.
Vitamin D :- Vitamin D se haddiyo ko calcium sokhne mein madad milegi. Agar aap Suraj ki roshini nahi le paa rahi hain, to Doctor se consult karke Vitamin D ke tablets le sakti hain.
Regular Exercise :- Haddiyo ko majboot banane ke liye rojana exercise behad hi jaroori hain. Seedhiya chadhna, Dance karna, Running jaise exercise karke aap apni haddiyo ko majboot bana sakti hain. Muscles ki majbooti par bhi in exercise ka good effect padta hain. Aisi exercise ko apni routine mein shamil kare. Agar aap pregnant hain to uchal-kood wale exercise na kare. Lekin haddiyo ko healthy rakhne ke liye aap anya halki-fulki exercise ya diet mein calcium ko shamil karne ke tarike jaroor ajmaye.
Post a Comment