Seb ko Chhilko ke saath kyun khana chahiye? (Why Eat Apple with Peels)
Seb ko Chhilko (peels) ke saath kyon khana chahiye? Seb (Apple) ko chhilko sahit khane ke kya fayde hain? Chilke wala Seb khana jaroori hain? Seb ke chilke kyon nahi fenkne chahiye? Seb ke chhilke fenke nahi balki inhe bhi khaye janiye kyon.
Hum sabhi jante hain ki Apple khane se hamare health ko kai tarah ke fayde hote hain. Aap logo ne yeh muhawra to suna hi hoga, "Jo Har din ek seb khata hain, Usay Doctor ke paas jaane ki jaroorat nahi padti". But aise log bahut hain jo Seb (Apple) ko to khana pasand karte hain, Lekin unke chhilke (peels) ko fenk dete hain.
Aapki knowledge ke liye bata de ki Seb jitna faydemand hota hain, Uske chhilke mein bhi utne hi gun hote hain. Aaj hum aapko batayenge ki Seb ke chhilke mein kitne gun chhipe huye hain aur yeh aapke sharir ko kaise healthy bana sakte hain.
Chhilke wala Seb khane ke fayde :-
1) Aankhon ki problems mein :- Seb ka chhilka aankhon mein hone wale Cataract bimari se bachata hain. Agar aap rojana Apple khate hain to iske chhilke ko khana na bhoole.
2) Daanto ke liye :- Yeh daanto ko sadne se bachata hain aur cavity nahi hone deta hain.
3) Dil ki bimari se bachaye :- Seb ke chhilke mein ghulansheel Fiber hote hain jo sharir ke cholesterol level ko kam karte hain aur Dil ki bimari se bachate hain. Iske saath hi yeh hame kabz se bhi bachata hain.
4) Dimaag ki kamjori ke liye :- Seb ke chhilke mein paya jane wala tatv Brain Cell ko damage hone se bachate hain. Isse aap theek tarah se dhyaan laga sakte hain.
5) Bimariyo se bachaye :- Seb ke chhilko mein Anti-Oxidants aur Flavonoids hote hain jo ki ek healthy body ko banaye rakhne mein madad karte hain. Yeh hamare immune system ko majboot karte hain aur hamari body ko bimariyo se bachate hain.
6) Diabetes ke liye :- Agar aapko diabetes ki problem hain to uske liye Apple Peels ko khana bahut hi badhiya rahega. Yeh badhte huye blood sugar level ko control karta hain.
7) Anemia se bachaye :- Seb ka chhilka pregnancy mein khoon ki kami ko door karne mein madad karta hain. Isme bahut saara Iron aur Folic Acid hota hain. Saath hi isme Calcium, Potassium, Magnesium aur Zinc bhi acchi matra mein paye jate hain.
8) Saans aur Fefdo ki problems mein :- Seb ke chhilke mein ek aisa tatv paya jata hain jo Fefdo ko sahi tarah se kaam karne mein madad karta hain.
9) Cancer se bachaye :- Seb ke chhilke mein Triterpenoids tatv paya jata hain. Isme Cancer se ladne ki power hoti hain. Yeh hame Liver, Breast aur Colon cancer se bachata hain.
10) Gallstone ki problem mein :- Seb ke chhilke mein kafi saara fiber paya jata hain, Jisse Stone pitt ki thaili mein jam nahi pata hain. Yeh bahut jyada Cholesterol hone ki wajah se Stone jam jate hain, Jinhe Seb ka chhilka door karta hain.
11) Wajan kam kare ;- Seb ke chilke mein enzyme hota hain jise hum Ursolic Acid kahte hain. Yeh weight ko kam karne mein madad karta hain. Agar aap mote hain to Seb ko chhilko ke saath khana shuru kar dijiye.
12) Haddiyo ke liye faydemand :- Seb ke chhilko mein Calcium hota hain jo haddiyo ko strong banane ke liye best hain. Haddiyo ki majbooti ke liye calcium bahut hi jaroori hain. Agar iski kami ho gyi to aapki haddiya kamjor banengi aur aapko Osteoporosis ho jayega.
Post a Comment