Header Ads

Cancer ke lakshan (Symptoms of Cancer in Hindi)

Symptoms of Cancer in hindiCancer ke lakshan (Laxan, symptoms of cancer in hindi)  janiye kya hote hain? Roj ke dincharya mein ham kai physically kaamo ko karte hain, Jinka asar sharir par padta hain. Lekin kuch prabhav lambe samay tak bane rahte hain, Jinhe hum andekha kar jate hain. Lekin kya aap jante hain inme cancer ke lakshan chhipe huye hain. Aayiye jante hain Kuch aise hi cancer ke symptoms ke baare mein :-

1. Kamjori :- Samanya Thakaan aur Kamjori ka bana rahna kai tarah ke cancer ke lakshno mein shamil hain. Saath hi bina karan thaakan mahsoos hone par neend aur aaram ke baad bhi veh theek na ho to ise andekha bilkul bhi na kare. Doctor ko jaroor dikhaye. 

2. Cough aur Seene mein dard :- Lambe samay tak cough ka bana rahna aur seene mein dard hona, Leukorrhea ke saath hi kai tarah ke cancer ka khatra paida karta hain. Yeh fefdo mein Tumor ya Bronchitis ke lakshan bhi ho sakte hain. Fefde mein Cancer ke karan Seene mein hone wala dard kandhe aur baanho mein bhi bana rahta hain. 

3. Periods mein takhleef :- Periods mein bahut jyada dard hona aur asamay khoon ka bahna, Vaginal Cancer ke lakshan ho sakte hain. Aise mein Doctor ki salah se Trans-vaginal Ultrasound jaroor karwaye.

4. Foda ya gaanth :- Sharir ke kisi bhi hisse mein koi foda, Gaanth ya phir skin ki kai saari layers jo ek jagah par ikkatha ho gyi ho, yadi ilaj ke bawjood bhi theek na ho pa rahi ho to, Ise seriously le. Yeh skin cancer bhi ho sakta hain, Jo kai tarah ka hota hain. 

5. Nipple mein badlaav :- Nipple ke size mein achanak change aana breast cancer ki wajah ho sakta hain. Jisme Nipple ka spaat hona ya neeche ki taraf ya bagal mein mud jana shamil hain. Aisa hone ki situation mein turant doctor ko dikhaye. 

6. Bahut jyada Thakaan :- Sharir mein jaroorat se jyada thakaan (Tiredness) ka bane rahna, Blood plates ya Red blood cells mein gadbadi ka karan ho sakta hain, Jisse Leukemia ka khatra bana rahta hain, aisa hone par andekha na kare. 

7. Kulhe ya pet mein dard ;- Kulhe ya pet ke nichle bhaag mein hone wala dard bhi kisi prakar se normal nahi hain. Pet mein dard hone ke baad kuch hi der mein sujan aa jana, Aithan hona, Garbhasya ka cancer ho sakta hain. Iske alawa Leukemia mein bhi paliha ke badh jane se pet mein dard ho sakta hain. 

8. Bewajah wajan ka kam hona :- Bagair kisi karan ke achanak weight kam hone par ise andekha na kare. Yeh Colon cancer ki chetawani hain. Yehi nahi yeh pachan tantra ke cancer ke liye bhi jimmevar ho sakta hain. Iske alawa bewajah wajan kam hona, Liver Cancer ke lakshan bhi ho sakta hain, jo aapki bhookh ko prabhavit karne ke saath hi Sharir se zehreele tatvo ko bahar nikalne ki capacity par asar dalta hain.