Header Ads

Computer users ke liye aankho ki dekh bhaal ke liye tips (Tips for eye care for Computer Users)

computer users eye care tipsAankhe sharir ka sabse important part hoti hain. Inhi ke karan hum saari duniya dekh pate hain aur samajh pate hain. Agar aankhe na ho to saare kaam adhoore lagenge aur kai tarah ki dikkato ke karan hum normal life nahi jee payenge. 

Aajkal sabhi log apne sabhi kaam computer ke samne baithkar karte hain, is wajah se unki eyes par roshini ka negative asar padta hain. Agar aap bhi computer par kaam karte hain to apni aankho ka khas taur par khyaal rakhe. Aankho par jyada tanaav na padne de aur unhe chaka-chaundh aadi se bachaye. Is article mein computer users ke liye eyes care ke kai tips diye ja rahe hain.

Computer users ke liye aankho ki dekh-bhaal ke tips :- 

1. Eye level adjust kare :- Computer par kaam karte huye apni aankho ki seedh mein screen rakhe. Jyada ucha ya neecha screen rakhne se dikkat hoti hain aur aankho ki roshini par asar padta hain. 

2. Chaka-chaundh se bache :- Kaam karte samay jyada chaka-chaundh wali roshini se bachna chahiye, aisi jagah kaam kare jaha proper light ki vyavstha ho.

3. Break le :- Jyada lambe samay tak screen ke samne baith kar kaam karna theek nahi hain, iske liye aap break lete rahe. Bahar jaye, ghoomkar aaye phir fresh mood se baithkar kaam kare.

4. 20-20-20 ka rule follow kare :- 20-20-20 ka rule follow kare. Yani ki kaam karne ki shuruvaat ke 20 minutes baad 20 seconds ka rest le aur 20 feet ki doori rakhe.

5. Aankhe jhapaate rakhe :- Aankho ka jhapakna sabse acchi exercise hoti hain. Computer par kaam karne ke dauran apni aankho ko samay-samay par jhapaate rahe. Isse aapki aankho mein moisture bana rahega aur dryness nahi rahegi.

6. Contrast rakhe :- Computer par kaam karne ke dauraan screen ke font ko gahra rakhe, halka background rakhe aur oon rango ka istemal kare jo aankho ko sukoon de.

7. Brightness kam kare :- Jab aap computer par kaam kar rahe hain to screen ki brightness kam kar le. Brightness ko aankho ke hisab se adjust kare taki brightness ke karan aankho par tikhi roshini na pade.

8. Computer glass lagaye :- Naam se hi aap samajh gye honge ki Computer par baithkar kaam karne ke liyeliye ek special chashma aata hain Jisme anti-layer glass hote hain. Isse aapki aankho par roshini ka negative impact nahi padta hain aur aankhe hamesha swasth bani rahengi.

9. Hariyali dekhe ;- Jyada der tak computer ke samne baithe rahne se aankho mein tanaav aa jata hain, isse bachne ke liye best tarika yeh hi aap koi hari cheez ya hare ped-paudho ko dekhe, isse aankho par padne wala tanaav kam hoga aur aapki aankho ko sukoon milega.