Chironji ke fayde (Benefits of Chironji Seeds)

Dry fruits ki tarah istemal hone wali Chironji mein poshak tatv bharpoor matra mein paye jate hain, Jis wajah se yeh health ke liye bahut hi faydemand mani jati hain. Iske alawa yeh sujan aur infection jaisi bimariyo mein bhi fayda pahuchati hain. Yeh bahut hi paushtik hoti hain aur sharir ko takat deti hain.
Aayiye jante hain Chironji se sehat ko kya benefits hote hain aur iske gharelu nuskhe kya hain.
1. Protein ki kami ko door karne mein :- Chrionji mein protein bharpoor matra mein paya jata hain. Doodh mein chironji ki kheer bana kar khane se sharir mein protein ki kami ko door kiya ja sakta hain.
2. Sharir ki kamjori door karne ke liye ;- Sharir ki kamjori ko door karne ke liye rojana 5 se 10 Gram Chironji ko peeskar usay doodh ke saath mishri mila kar lena chahiye. Isse bahut hi jaldi sharirik kamjori door ho jati hain.
3. Chamakti tavcha ke liye :- Charoli ko gulab jal ke saath pees kar lep taiyaar kare aur ise chehre par lagaye. Lep jab sukh jaye to usay acchi tarah se masal kar paani se dho le. Isse aapka chehra sunder, chikna aur chamakdaar ho jayega. Ise ek hafte tak rojana lagaye. Baad mein hafte mein sirf 2 baar hi lagaye. Isse aapka chehra hamesha chamakdaar bana rahega.
4. Jalan se dilaye rahat ;- Jalan ki samsya hone par Chironji ke beej ko pees kar oos jagah par lagane se kafi rahat milti hain. Iske alawa ghamauri aur daag-dhabbe ko door karne mein bhi chironji ka istemal kiya jata hain.
5. Khujali se chhutkara :- Agar aap khujali se preshan hain to 10 Gram Suhaga peesa hua, 100 Gram Chironji, 10 Gram Gulab Jal in teeno ko ek saath mila kar patla lep taiyaar kare aur khujali wali sabhi jagaho par ise lagaye. Aisa kareeban 4 se 5 din tak kare. Isse khujali mein aaram milta hain aur aap theek ho jayenge.
6. Nikhaare chehre ki rangat :- Chiraunji ko pees kar isme thodi Haldi milaye. Iske saath hi isme thoda Shahad, Nimbu aur Gulab Jal mila kar iska paste taiyaar kare. Rojana ise lagane se tavcha ki rangat nikharti hain.
7. Immunity ko badhane ke liye :- Chironji ke phal se lekar iske beej mein mauzood kai saare minerals sharir ki immunity ko strong banate hain. Bacche ke janm ke baad aksar mahilaon ko Chironji se bani cheezo ka sewan karwaya jata hain. Isse bani cheezo ko khane se Immunity ke saath-saath body bhi strong hoti hain.
8. Cough ki samsya mein :- Sardi-Khansi hone ke saath hi cough bhi ek aam samsya hain. Saans lene mein preshani ke saah gale mein kharash bhi bani rahti ho to 5 se 10 gram Chironji khani chahiye aur saath hi ise doodh mein peeskar isse malish karni chahiye.
9. Sardi-Jukaam ke liye :- Sardi-Jukaam hone par 5-10 Gram Chironji ko halka sa senk le. Thanda hone par ise pees le. Ek cup doodh mein is powder ko mila kar ubaal le. Swaadanusar Chini aur Elaichi powder mila kar peene se Sardi-Jukaam mein rahat milta hain.
10. Diarrhea ke upchar mein :- Chironji ke beej se nikalne wala tel aur Chironji ki jde Diarrhea aur digestion se related sabhi problems ko door karne mein bahut hi faydemand hoti hain. Iske beejo ka powder bana kar faankne se bhi is samsya mein bahut jaldi aaram milta hain.
11. Muhase ko rakhe door :- Chironji skin se judi kai problems ko door karti hain. Ise pees kar Gulab jal ke saath mila kar chehre par lagaye aur sukhne ke baad paani se ise dho le. Moohase door hone ke saath chehre par bhi chamak aati hain. Chehre ki jhaaiya door karne ke liye raat ko takreeban 10-12 ko doodh ke saath bhigo le. Subah iska paste bana kar chehre par lagaye. Kuch hi hafto ke baad fark nazar aane lagega.
Post a Comment