Dengue Bhukaar mein kya khaye? (Food for Dengue Fever)
Dengue bukhaar mein kya khaye? Dengue bukhaar dheere-dheere ek mahamari ke roop mein phail raha hain. Yeh jyadatar shahri ilako mein failta hain. Yadi Dengue bukhaar ke lakshano ka shuruvat mein hi pata chal jaye to is bimari se bacha ja sakta hain. Dengue ek virus se hone wali bimari hain. Yeh bimari Aedes naam ke macchar ke katne se hoti hain, Aur sabse hairaani ki baat yeh hain ki yeh macchar gande paani mein nahi balki saaf paani mein panapta hain. Isliye coolers, Tanks, Gamlo, Tyres aadi mein paani jama na hone de, kyonki yeh macchar yahi sabse jyada paya jata hain.
Bukhaar kisi bhi tarah ka kyon na ho, Agar seer par chadh jata hain to sharir toot jata hain. Dengue kabhi-kabhi janlewa bhi sabit ho sakta hain. Yeh bahut jaroori hain ki dengue jise hua ho, veh acchi diet jaroor le, Kyonki sahi diet se aapka sharir dengue bukhaar se jaldi recover ho jata hain. Aaiye jante hain ki Dengue bukhaar mein mareez ko kaun-kaun si cheeze khani chahiye ?
Daliya :- Dengue ke mareez ke liye Daliya sabse accha aahaar hain. Yeh sharir ko energy deta hain aur saath hi yeh asaani se khaya bhi ja sakta hain.
Soup :- Is dauraan haddiyo mein kafi dard hota hain, Jiske liye soup peene se aaram mil sakta hain. Soup peene se pet ki bhookh mitati hain aur mooh ka taste bhi badlta hain.
Nariyal Paani :- Jab aap Dengue bukhaar se tadap rahe ho, to oos dauran Nariyal Paani piye. Isme Electrolytes, Minerals aur jaroori poshak tatv hote hain jo sharir ko majboot banate hain.
Protein se bharpoor diet :- Dengue ke mareez ko Doodh ya Ande ka sewan karna chahiye. Inme bahut hi jyada protein hota hain. Aap chahe to Chiken aur Meat ko bhi kha sakte hain.
Papita :- Bukhaar bhagane ke liye Papite ki pattiyo ka ras sabse acchi mani jati hain. Mareez ko din mein 2 baar 2-3 chammach Papite ke patto ka ras pilana chahiye.
Fruits Juice :- Dengue Bukhaar mein Vitamin C wale phalo ka juice jaroor pina chahiye. Yeh ek aisa poshan hain jo sharir ki immunity ko strong karta hain. Vitamin C Strawberry, Amrood, Kiwi, Santra aur Papite mein paya jata hain. Yeh bacteria aur virus ko bhi khatm kar deta hain.
Nimbu ka ras :- Nimbu ka ras sharir se gandagi peshab ke jariye nikaal deta hain, Jisse sharir healthy banta hain.
Herbal Tea :- Jinhe Tez bukhaar hain, veh herbal tea pee kar aaram pa sakte hain. Yeh Adrak ya Elaichi daal kar banai jati hain.
Santra :- Is bimari mein aapko khoob saare Santre khane ya iska juice peena chahiye. Orange mein energy aur khoob saara Vitamin C hota hain. Yeh hajme ko majboot banata hain aur sharir mein Antibiotic ka vikas karta hain, Jisse bukhaar jaldi theek ho jata hain.
Post a Comment