Haldi wala doodh peene ke fayde (Benefits of Turmeric Milk in Hindi)
Haldi wala doodh (Turmeric Milk) peene ke kya fayde hain? Haldi aur doodh ko mila kar peene se kya hota hain? Ayurveda mein Haldi ko sabse behtarin natural antibiotic mana gya hain. Isliye yeh skin, Pet aur sharir ke kai rogo mein upyog ki jati hain. Haldi ke paudhe se milane wali gaanth hi nahi balki iske patte bhi bahut upyogi hote hain. Yeh to hui baat Haldi ke guno ki, Isi tarah Doodh bhi Natural Antibiotic hain. Yeh body ke infections par rok laga deta hain. Haldi aur Doodh dono hi gunkari hain, Agar inhe ek saath mila kar piya jaye to inke fayde dugne ho jate hain. Inhe ek saath mila kar peene se health se related kai problems door ho jati hain.
Haldi wala doodh peene ke fayde :-
Skin problem door kare :- Haldi wala doodh peene se skin ke problem se mukti milti hain.
Kaan ke dard mein aaram :- Haldi wala doodh peene se kaan ke dard jaisi samsyaon mein aaram milta hain. Isse body ka blood flow badh jata hain, Jisse dard mein tezi ke saath aaram milta hain.
Sharir ko sudaul banata hain :- Rojana ek glass doodh mein aadha chammach Haldi mila kar peene se sharir sudaul ho jata hain. Darasal gungune doodh ke saath Haldi ke sewan se sharir mein jama Fat kam ho jata hain. Inme mauzood Calcium aur dusre minerals healthy tarike se weight loss karne mein madad karte hain.
Sardi-khansi ki hain dawa ;- Haldi wala doodh apne Antibiotic gun ke karan Sardi khansi mein ek kargar dawa ka kaam karta hain. Haldi wala doodh Free Radicals se ladne wale Anti-oxidants ka best source hain. Isse kai saari bimariya theek ho jati hain.
Chehra glow karne lagta hain :- Rojana Haldi wala doodh peene se chehra chamakne lagta hain. Rooi ke faahe ko Haldi wale doodh mein bhigo kar chehre par lagaye. Isse skin ki laali aur chakatte kam honge. Saath hi chehre par nikhaar aur chamak aayegi.
Arthritis ko door karne mein sahayak :- Haldi wale doodh ko Gathiya yani ki Arthritis ke nidaan aur Gathiya ke karan sujan ke upchar ke liye istemal kiya jata hain. Yeh jodo aur peshiyo ko lacheela bana kar dard ko kam karne mein madad karta hain.
Ulcer theek karta hain :- Yeh ek powerful Antiseptic hota hain aur Aant ko healthy banane ke saath-saath pet ke ulcer aur colitis ka upchar karta hain. Isse pachan behtar hota hain aur Ulcer, Diarrhea aur apach nahi hota hain.
Toxins ko door karta hain :- Ayurveda mein Haldi wale doodh ka istemal sharir ki safaai ke liye kiya jata hain. Yeh khoon mein toxins ko door karta hain aur liver saaf rakhta hain. Pet se judi samsyaon ke aaram ke liye iska sewan jaroori hain.
Toxins ko door karta hain :- Ayurveda mein Haldi wale doodh ka istemal sharir ki safaai ke liye kiya jata hain. Yeh khoon mein toxins ko door karta hain aur liver saaf rakhta hain. Pet se judi samsyaon ke aaram ke liye iska sewan jaroori hain.
Haddiyo fayda pahuchata hain :- Rojana Haldi wala doodh peene se sharir ko uchit matra mein Calcium milta hain. Haddiya healthy aur strong banti hain. Yeh Osteoporosis ke mareezo ko rahat deta hain.
Liver ko strong banata hain :- Haldi wala doodh Liver ko majboot banata hain. Yeh liver ki bimariyo se sharir ki rakhsa karta hain. Yeh khoon ko patla karne wale aur rakt vahikaon ki gandagi ko saaf karne wala hota hain.
Periods mein hone wale dard se rahat :- Haldi wala doodh periods mein hone wale dard se rahat deta hain. Garbhvati mahilaon ko easy delivery, Delivery ke baad sudhaar, Jyada doodh paida karne aur sharir ko jaldi normal karne ke liye Haldi wala doodh lena chahiye.
Chemotherapy ke bad effects ko kam karta hain :- Ek research ke anusaar, Haldi mein mauzood tatv Cancer Cells se DNA ko hone wale nuksaan ko rokte hain aur Chemotherapy ke side-effects ko kam karte hain.
Blood circulation theek karta hain :- Ayurveda ke anusaar Haldi ko blood purifier mana gya hain. Yeh sharir mein blood circulation ko sahi karta hain.
Post a Comment