Header Ads

Hangover utaarne ka tarika (Tips & home remedies for Hangover)

Hangover ko door karne ke upayParty ke season mein masti to khoob hoti hain, Lekin kabhi-kabhi raat ki masti ka khamiyaza subah ko chukana padta hain. Agar aapne jyada Sharab pee li hoti hain to subah aapko hangover ka samna karna padta hain. Is samsya ka koi pakka ilaj to nahi hain, Lekin kuch aise tarike aur gharelu nuskhe hain jo Hangover ko khatm karne mein madad kar sakte hain. Aaiye jante hain kuch aise gharelu nuskhe jo Sharab ki khumari (Hangover) ke dard se rahat denge.

Hangover (sharab ki khumari) ke dard se bachne aur Hangover ko door karne ke liye gharelu nuske, tips (Tarike) aur upay :-

1. Soup :- Sabziyo ka Soup hangover mein bade kaam ka ho sakta hain. Yeh tasty aur healthy option hain. Jaha sabziya poshan dengi, vahi soup aapko hydrate karega. Din ki shuruvat bhi acchi hogi. 

2. Kela :- Yeh khumari ke ilaj nahi balki usay rokta hain. Khumari se bachne ke liye bar mein jane aur drinks lene se pahle kuch Kele kha le. Kele mein mauzood Potassium aur Carbohydrates aapke sharir ko Re-Hydrate karte hain. 

3. Nahana :- Hangover ko utaarne ke liye aapko Thande aur Garm paani se nahana chahiye. 

4. Khoob soye ;- Apne dimaag ko aaram dene ke liye gahri neend mein sona chahiye.

5. Accha Breakfast hain jaroori :- Yu toh Hangover mein khane ko mann nahi karta, Lekin subah-subah ek healthy breakfast aapke bahut kaam aayega. Breakfast light hi rakhe, Lekin usme Protein aur Carbohydrates jyada ho. Anda Bread badhiya option ho sakta hain. Aap chahe to Masala Omelet kha sakte hain. Vegetarians log Crackers ya Oats kha sakte hain. 

6. Coffee :- Ek cup Kadak Coffee ka nuskha, Hangover se rahat paane ka bahut hi accha tarika hain. Aap ek hi baar mein saari coffee na piye, Balki beech-beech mein aadha aadha cup coffee ko peete rahe. Caffeine se hamare sharir ka blood pressure badhta hain aur iska asar hamare dimaag par padta hain. Yeh susti ko bhagakar, sardard se rahat dilayega.

7. Masale aur Tel ;- Jyada Masale aur Tel se yun toh bachkar hi rahna chahiye, Lekin Hangover ki haalat mein yeh aapka sahara ban sakte hain. Adhik Masale aur Tel wala khana khane se Alcohol ko pachaane mein asaani hoti hain. Aajmaya hua formula hain, bas zara hajme ka khyaal rakhe. 

8. Orange Juice :- Khumari ko door karne ke liye Santre ka juice  bahut ki asaan gharelu upay hain. Yeh Re-hydration mein madadgar sabit hoga aur isme mauzood Vitamin C michli se rahat dilata hain. Aap chahe to iske saath halke se seeke bread aur Ande bhi kha sakte hain.    

9. Juice Dilayega rahat :- Adhik sharab peene se sharir mein Namak aur Chini ki kami ho jati hain. Ise dobara theek karne ka sabse asaan tarika hain juice. Isse aapka pachan bhi theek ho jayega aur adhik alcohol ko pachaana asaan hoga. Santre, Ananas ya Mix Fruits Juice acche options hain. 

10. Adrak wali Chai :- Hangover ke dard se rahat paane ke liye Adrak wali Chai piye. Isse aapko hangover hone ki wajah se hone wale sardard mein rahat to milegi hi, Saath hi pet mein uthate marod se rahat dilakar sharab ko hajam karne mein madad milegi.

11. Nimbu Paani :- Nimbu Hangover ka jana parkha ilaj hain. Saath hi isme mauzood Citric Acid aapke Liver ko bhi theek rakhta hain.

12. Dard-nivarak tablets se rahat :- Hum apne ghar mein kisi bhi dard se rahat paane ke liye dardnashak goliya rakhte hain. Goliya sharir mein uthate dard aur khumari mein hui asuvidha mein bahut hi faydemand hain. Khumari se rahat paane ke liye aap kewal ek Aspirin ya Brufen ki goli khaye. Dhyaan rakhe iska adhik istemal aapke liye nuksaandeh ho sakta hain.

13. Paani khoob piye :- Sharab aapko Dehydrate kar deti hain, Isliye sharir mein liquid ki matra badhana bahut hi jaroori hain. Sharab peete waqt bhi khoob paani piye. Subha uthate hi jitna ho sake paani piye. Paani ke alawa koi accha sports drink bhi le sakte hain.  

Aur haan jate-jate Hangover ka mashhoor gaana bhi sunte jaye:-