Header Ads

Jhinga Machhali khane ke fayde (Benefits of Prawn/Shrimp Fish)

Jhing-Prawn Benefits in HindiJhinga Machhali Jise Prawn ya Shrimp bhi kaha jata hain, Inhe khane se Ke bahut jyada fayde milte hain. Jhinga Machhli Sea food ke roop mein bahut hi jyada pasand ki jati hain. Iska niyamit sewan karne se health ko kai saare benefits hote hain. Jhinga Fish Samunder mein jyada payi jati hain. Yeh chattani, Retile ya daldali staho par, samoonder tatrekha se lekar mahadipiya patti ke kinare door-door tak rahti hain. Jhinga Machali kai bimariyo se ladne mein bahut hi faydemand hoti hain. 

Veh log jo apni diet se calorie ko khatm karna chahte hain, Unke liye Jhinga Fish (Prawn) bahut ki best option hain. Isme Zero carb hota hain aur bilkul bhi calorie nahi hoti hain. Agar poshak tatvo ki baat ki jaye to isme Protein, Vitamins, Nutrients aur khoob saara paani milega aur haan halka sa Fat bhi hota hain. Agar aapko Healthy rahna hain to Jhinga Macchi ko apni diet mein jaroor shamil kare. 

Jhinga Machhali ke fayde (Benefits of Prawn, Shrimp Fish) ;- 

Baalo ka jhadna roke :- Jhinge mein paye jane wale Minerals hamare baalo ko healthy rakhne mein madad karte hain. Zinc ki kami hone se baal jhadne lagte hain. Baal aur skin ke kai cells ke production mein Zinc bahut hi ahem role ada karta hain. Isliye jinke baal jhad rahe ho ya jinke baal kam badh rahe ho, Unhe Jhinga khana shuru kar dena chahiye. 

Aankho ki problems ko door kare :- Researches se yeh pata chala hain ki Jhinga Fish mein Heparin Compound hota hain, Jo Neovascular ke ilaj mein madad karta hain. Jhinge mein paya jane wala Astaxanthin aankhon ko thakaan se rahat dilata hain, khas taur par unhe jo jyada samay tak computer ka istemal karte hain. 

Dimaag badhaye :- Jhinge mein high quality ka Iron hota hain jo Hemoglobin mein Oxygen ke saath process banane ke liye important agent hain. Is process mein extra Iron ke saath Muscles mein adhik oxygen pahuchta hain, Jisse shakti aur shahansheelta milti hain, Jabki Dimaag mein jyada oxygen pahuchne se Yaddasht, Concentration aur samajh mein badhotari dekhi ja sakti hain. Researches mein yeh paya gya hain ki Jhinge mein paya jane wala Astaxanthin Yaddasht mein sudhar aur Brain Inflammatory bimariyo ke khatre ko kam karne mein sahayak hain. 

Wajan kam kare :- Jhinga mein Protein aur Vitamin D bahut acchi matra mein paya jata hain, Lekin isme bahut hi kam matra mein Carbohydrate hota hain. Jiski wajah se wajan kam karne walo ke liye Jhinga apni diet mein shamil karna  ek accha option ho sakta hain.  

Haddiyo ko majboot kare :- Jhinge mein mauzood Protein, Calcium, Phosphorus, Vitamins aur Magnesium Bones degeneration ke khilaaf ladne mein kafi effective sabit ho sakte hain. Diet mein Protein aur Vitamin ki kami Bone quality, Haddiyo ki takat mein kami paida kar sakta hain, Jisse Osteoporosis hone ka khatra badh jata hain. Apni diet mein hafte mein  sirf 1 baar Jhinga Macchali khane se aap haddiyo ko kamjor hone se rok sakte hain.

Periods ke dard ko kam kare :- Sabhi cholesterol ek jaise nahi hote hain aur Jhinga Machhali mein Omega-3 Fatty Acid naam ka cholesterol bahut hi badhiya matra mein paya jata hain. Yeh Omega-6 ke negative asar ko kam karta hain aur Mahilaon mein peridos ke dauran hone wale dard ko kam karta hain. 

Jhurriya khatm kare :- Tavcha ki umar jyada dikhne ka ek ahem wajah dhoop bhi hoti hain. Bina kisi safety ke dhoop aur UVA mein sirf kuch minutes tak khade rahne se Jhurriya aur dhabbe paida ho jate hain. Rojana ya phir hafte mein Jhinga khane se aap apni skin ko beautiful bana sakte hain aur samay ke saath budhape wale chehre  ke saal ko kam kar sakte hain. Matlab aap apni badhti umar se jyada jawaan dikhai de sakte hain, Karna bas aapko bas itna hi hain ki Jhinge ko apni diet mein shamil kare. Daag-dhabbo, jhurriyo se chhutkara pane ke liye hafte mein ek baar jhinga jaroor khana chahiye. 

Dil ki bimariyo se bachaav :- Jhinga Fish mein paya jane wale enzyme Dil ki bimariyo ke khatre ko kafi kam kar dete hain. Iske alawa Jhinge mein paya jane wala high quality Omega-3 Fatty Acid Khoon mein nuksaandayak cholesterol ko khatm kar deta hain jo ki heart attack aur stroke hone ki ahem wajah hoti hain. 

Thyroid Hormone badhaye :- Iske alawa Jhinga Iodine ka ek bahut hi accha source hain, Jo insaan mein Thyroid Hormone banane mein help karta hain. Thyroid hormone pregnancy ke dauran bacche ke dimaagi vikas ke liye bahut hi jaroori hota hain. 

Cancer se bachaye :- Jhinge mein Astaxanthin naam ka Carotenoids hota hain jo kai tarah ke cancer ke khatre ko kam kar deta hain. Isme Selenium bhi hota hain jo Prostate aur Lung cancer ko khatm karne mein madad karta hain. 

Caution :- Alag-alag tarah ke Sea food jaise Jhinga aadi khane se Allergy ho sakti hain. Yaad rahe jab bhi aap Jhinga machhali khaye to ek Limit mein rahkar khaye. Jyada Jhinga khane se aapko Allergy bhi ho sakti hain, Lekin Yeh aapki body ke upar depend karta hain ki aapko allergy hoti hain ki nahi? Lekin salah yahi hain jhinga faydemand to hain, lekin hafte mein ek baar ya mahine mein ek baar khaya ja sakta hain.