Header Ads

Kis umar mein kitna doodh (Milk) peena chahiye ?

Milk ki jaroorat kitni hain?Doodh na kewal Calcium ka source hain, balki isme lactic acid bhi hota hain, jo skin ko soft banata hain. Ise peene se sharir mein Serotonin hormone badhta hain, Jisse dimaag shant hota hain. 

Kis umar mein kitna doodh peena hain jaroori ? 

Aam-taur par Doctor salah dete hain ki agar Maa se bacche ki jaroorat puri ho jati hain, to Saal bhar tak bacche ko Maa ka doodh hi pilana chahiye. Saal bhar baad hi bacche ko upari ka doodh dena chahiye, Kyonki tab bacche ki jaroorat badh jati hain. Is dauran bacche ko Gaay ka doodh (Cow's Milk) pilane ki salah di jati hain. 12 Mahine tak bacche ko Maa ka doodh hi pilaye.

1 se 2 saal ke bacche ke liye :- 

Saal bhar se bade baccho ko upar se doodh pilana chahiye. Dimag ke vikas ke liye is umar ke baccho ko fat se bharpoor diet ki jaroorat hoti hain. American Academy Of Pediatrics is age ke baccho ko rojana 3 se 4 cup doodh peene ki salah deti hain. Saath hi aise baccho ko full cream doodh dena chahiye.

2 se 8 saal ke baccho ke liye ;- 

2 saal ka baccha doodh ke saath khana bhi khane lagta hain. Aise mein American Department of Agriculture ke mutabik 2-3 ke baccho ko 4 cup aur 4-8 saal ke baccho ko kam se kam 5 cup doodh rojana de.

9 saal se bade bacche :- 

9 years old se jyada umar ke baacho 3 cup doodh rojana dena chahiye, lekin aise bacche jinhe high calorie ki jaroorat hoti hain, Unhe doodh ki matra badha deni chahiye.

Dinner ke 3 hours ke baad piye doodh 

Ayurveda ke anusaar dinner karne ke 3 ghante baad hi doodh le, taki stomach puri tarah se khali ho. Agar aapko doodh nahi pachta hain, to ise peene ke baad ek Elaichi kha le. Doodh mein Chini na daale kyonki meetha doodh cough banata hain. Agar meethe ki jaroorat ho to Shahad ya Munakka ya Mishri daale.

Overweight Baccho ko kya doodh dena chahiye ? 

Extra Calorie kam karne ke naam par baccho ki doodh ki matra ko kam na kare, balki unhe kam fat wala doodh de. Dhyaan rahe ki doodh se wajan nahi badhta hain balki haddiya majboot hoti hain aur energy milti hain. Isse blood pressure, dil ke rog aur tension se bhi rahat milti hain.

Milk se kitni Energy milti hain :-

Full Cream Milk :- 150 Calorie
Toned Milk :-  120 Calorie
Double Toned Milk :- 100 Calorie
Skimmed Toned Milk :- 80 Calorie

Doodh ko baar-baar na ubaale ;- 

Doodh ko baar-baar na ubale, Aisa karne se Vitamin aur Poshak tatvo ki kami aa jati hain. Koshish kare ki doodh jaroorat ke hisaab se hi khareedkar laye aur Fridge mein dhak kar rakhe. Jinta doodh ka upyog karna hain, utna hi doodh garam kare.