Hike messenger ne Android users ke liye launch kiya free calling feature.
Hike messenger app ne apne features mein changes kiye hain. Iske chalte users ab free group call ki suvidha ka anand utha sakenge. Lekin abhi yeh service sirf Android users ke liye hi hain. Lekin bahut jald ise iOS ke liye bhi launch kar diya jayega. Vahi Windows users ke liye yeh 2016 mein available hoga.
100 Log ek saath karenge baat :-
Ek report ke mutabik, instant messaging app hike apne users ko attract karne ke liye naya plan lekar aayi hain. Company ne sabhi Android Hike users ke liye free group calling ki facility uplabadh kara di hain. Isme jyada se jyada 100 log aapas mein ek saath baat kar sakenge. Yahi nahi Hike ne group chat ke ander ek single call button diya hain jis par press karte hi group se jude sabhi members ke pass automatic call chali jayegi.
Kaise kiya jayega istemal :-
Philhaal company ne free calling ki suvidha to de di hain. Users agar iska istemal karna chahe to unhe Hike Call button ko press karna padega. Button dabate hi yeh call group ke sabhi members ke paas pahuch jayegi. Iske baad jo bhi member baat karega, veh group ke sabhi logo ko sunayi degi. Halaki yeh baat dhyaan rahe, jo member call ko disconnect kar dega veh calling ke dauran khud hi bahar ho jayega.
200 million users hain target :-
Hike messenger ke founder aur CEO Kevin Bharti Mittal ka kahna hain ki, Kai Hike users group calling ko lekar complain kiya karte thay. Aise mein company ne ek single button se hi free mein group call karne ki suvidha de di hain. Ab ek tap karte hi dosto se aaram se baatein ho jayengi. Philhaal Hike mein yeh naya free calling feature company ki marketing ka ek hissa hain. Company ka target 200 million Hike users banana hain. Gaurtalab hain ki company ne haal hi mein Hike messenger ko update kiya tha. Company ka dawa hain ki yeh naya update messenger slow network condition mein bhi acche se kaam karne mein mahir hain.
Hike Messenger ko aap Google Play store se download kar sakte hain. Download Link yeh hain
Post a Comment