Header Ads

Makkhan khane ke fayde (Benefits of Butter)

Makkhan khane se kya hota hain. Makkhan (Butter)  khane se kya fayde hote hain? Makhan sehat ke liye kaise faydemand hain? Butter (Makhan, Makkhan) ke health benefits kya hain. Agar aapke mann mein yahi swaal goonj rahe hain to yeh post jaroor padhe.

Aajkal ki lifestyle mein , Hum Fat wali sabhi cheezo ko apni diet se bahar nikaal rahe hain. Makkhan ki baat kare to purane jamane mein Roti ke saath dher sara makhan subah ke nashte mein shamil kiya jata tha, Lekin aaj hum usay puri tarah se nazar-andaaz karne lage hain. Lekin kya aap jante hain ki Makkhan khane ke bhi apni kuch fayde hain, Agar nahi jante hain to yeh post padhiye aur janiye.

Kai logo ka manana hain ki butter mein calories kafi jyada hoti hain aur agar regular bread butter khaya jaye to isse wajan badhne ka khatra kafi jyada badh jata hain. Butter badhne wale baccho ke liye faydemand hoti hain. Yadi ise bade log bhi kam matra mein khaye to yeh unki sehat ke liye bhi faydemand hain, Kyonki isme tamam tarah ke jaroori vitamins aur Anti-oxidants mauzood hote hain. Iske alawa Gajar ke baad Butter hi ek aisi cheez hain jisme Vitamin A bharpoor matra mein paya jata hain.

Peele Butter ki tulna mein Safed Butter mein Calories kam hoti hain. Yadi iski matra kam li jaye to yeh faydemand hota hain. Jin logo ko Liver se related problems hoti hain, Unke liye Butter mein bana khana pachne wala hota hain. Ghar mein bana makkhan Yellow butter se jyada paushtik hota hain. Kyonki yeh seedhe doodh se nikaala jata hain. Aaiye jante hain Butter yani Makkhan ke sehat se bhare guno ke baare mein :-

Dama :- Saans ki takhleef hone par Makkhan faydemand sabit hota hain. Makkhan mein mauzood Saturated Fats Fefdo ki madad karte hain aur Dama ke mareezo ko iska sewan karna faydemand mana jata hain.

Neend acchi laye :- Butter mein Selenium hota hain jo acchi neend laane ke liye kargar hain.

Mood ko kare happy :- Makkhan mein paya jane wala Selenium aapke mood ko behtar banane mein aapki madad karta hain. To jab bhi aapka mood kharab ho, thoda sa Makkhan , Usay theek karne mein aapki help kar sakta hain. Tabhi to Soup ke ek katore mein bade se makkhan ka tukda aapko khush kar deta hain.

Energy badhaye :- Isko kha kar turant energy mil jati hain. Butter baad mein ja kar Fat mein convert ho jata hain jo ki jaroorat padne par energy ka roop le leta hain.

Fever mein :- Gaay ke doodh se bane makkhan aur khadi Sugar ka sewan karne se purane se purana bukhaar theek ho jata hain, Iske alawa Makkhan ke saath Shahad aur Sone ke wark ko mila kar khane se T.B. mein fayda milta hain.

Piles :- Gaay ke doodh ka makkhan aur Til ko mila kar khane se khooni bawaseer theek ho jati hain. Iske alawa Makkhan mein Shahad aur Khadi Shakkar mila kar khane se bhi khooni bawaseer theek ho jati hain. Isme Shahad ki jagah par Naagkesar ka istemal bhi kiya ja sakta hain.

Infertility (prajanan) badhaye : - Infertility (Prajanan kshamta) badhane ke liye Makkhan bahut hi labhkarak mana gya hain. Yeh mahilaon aur purusho dono ke baanjhpan ko door karne ke liye jana jata hain. Yeh sharir mein garmi ko badhata hain aur Male aur Female Hormone ko badhane ka kaam karta hain.

Cancer se bachaav :- Ji Haan, Makkhan koi mamuli cheez nahi hain. Yeh cancer jaisi khatarnaak bimari se bhi aapko bachata hain. Darasal Makkhan mein mauzood Fatty Acid coagulated linoleic cancer se bachaav karne mein madad karta hain.

Baccho ke dimaagi vikas ke liye jaroori :- Isme mauzood cholesterol aur Fat baccho ke dimaagi vikas ke liye accha mana jata hain. Baccho ki aankh ki roshini bani rahe isliye unhe Doodh aur Makkhan khilana chahiye.

Osteoporosis :- Vitamins, Minerals aur Calcium se bharpoor Makkhan aapki haddiyo ko majboot bana kar Osteoporosis jaisi problems se nijat dilata hain. Daanto ke liye bhi yeh behad faydemand hain.

Thyroids ke liye accha :- Isme khoob sara vitamin A hota hain jo Thyroid granthi ke kaam-kaaj ke liye accha hota hain. Makkhan mein Iodine bharpoor matra mein paya jata hain jo thyroids ke mareezo ke liye faydemand hota hain.

Heart Problems mein faydemand :- Medical Research of Counseling ke ek research mein yeh baat samne aayi hain ki jo log kuch matra mein butter ko apni diet mein shamil karte hain, Unhe dil ki bimari ka khatra kam hota hain. Isme Vitamin A, D, K aur E ke alawa Iodine, Lecithin aur Selenium jaise tatv hote hain jo dil ki sehat ke liye behtar hain.

Skin glow kare ;- Butter chehre ko komal banata hain. Cocoa Butter ya Shia Butter chehre par lagane se chehre par nikhaar aa jata hain.

Vitamin D ka accha source :- Hamare sharir mein calcium sokhne ke liye vitamin D ki jaroorat hoti hain. Butter mein Vitamin D paya jata hain, toh ise nashte mein khana bilkul na bhoole.

Anti-Oxidants se bharpoor ;- Antioxidants se bharpoor makkhan Cancer ya Tumor se aapki raksha karne ke saath hi aapki skin ki free radicals se bhi bachata hain. Yeh skin ke liye bahut hi faydemand hain, tabhi to shia butter anti-aging creams ke liye istemal kiya jata hain. Iski massage se skin mein chamak aa jati hain.

Aankhon mein jalan ;- Aankho mein jalan hone par Gaay ke doodh ka makkhan aankhon mein lagana behad faydemand hota hain. Kisi bhi wajah se aankhon mein hone wali jalan ko khatm kar deta hain.