Header Ads

Treadmill par running karte huye in baato ka rakhe khyaal.

Treadmill par daudte huye rakhe yeh dhyaanTreadmill par running karna cardio exercise ka sabse badhiya tarika hain. Baaki machines ke compare mein Treadmill ke jariye wajan kam karna utna bhi mushkil nahi hain, lekin treadmill par daudte waqt kuch saavdhaaniya jaroor baratani chahiye. Treadmill par running ke samay thodi si laparvaahi aapko chhotil kar sakti hain. To aaiye jante hain Treadmill ke safety tips jo aapko janana bahut hi jaroori hain, Agar aap Treadmill ka istemal karte hain.

1. Running ke dauraan Handrail na pakde :- 

Aksar aisa hota hain ki Treadmill par daudte-daute log Handrail pakad lete hain. Lekin agar lambe time tak aapne aisa kiya to baanho mein akadan hogi aur dard shuru ho jayega. Dhyaan rahe, agar aapko Exercise ke beech mein Handrail ka sahara lene ki naubat aa jaye to iska matlab hain ki aapki Treadmill ki speed jaroorat se jyada hain.

2. Nange paanv treadmill par na daude :- 

Friction aur Tez movement ke chalte kafi heat paida hoti hain, Isliye agar aap bina shoes ke treadmill par running karenge to aapke pairo mein jalan ho sakti hain. Belt ke kinaaro par paanv galti se fisal gya toh gambhir chot bhi aa sakti hain. Iske alawa Fungus aur Bacteria ka bhi khatra hota hain. Isliye fitting shoes pahan kar hi treadmill par daud lagaye.

3. Treadmill par daudte huye kabhi neeche na dekhe :- 

Aksar aisa hota hain ki log thak kar ya excitement mein chalti Treadmill par apne pairo ke movement ko nihaarne lagte hain, Lekin aisa karna khatarnaak hain. Kyonki is dauraan aap balance kho sakte hain aur kisi accident ka shikaar ho sakte hain. Isliye running karte waqt hamesha saamne ki aor dekhe. Aise mein aapko saans lene aur chhodne mein bhi preshani nahi hogi.

4. Dheere-dheer speed badhaye :- 

Treadmill ki speed eka-ek na badhaye. Dheere-dheere iski speed badhane se aapki body ko  warm-up ka bhi time milega aur aapke muscles mein akadan bhi nahi hogi.

5. Jaroorat se jyada rakhe treadmill ki speed :- 

Treadmill par running karne se pahle apni 'target heart rate' jaan lijiye. Jaldi wajan ghatane ke chakkar mein jyada speed na rakhe. Kisi ko bhi apni 'Target Heart Rate' ki 50-70% speed se jyada par nahi daudna chahiye. Agar aisa nahi kiya ho to aapko dil ka daura bhi pad sakta hain.

   
6. Chalti Treadmill se kabhi na utare :- 

Bhale hi koi bhi jaroori call aa jaye ya koi door bell lagatar knock kar raha ho, bhoolkar bhi chalti huyi treadmill se utarne ki koshish na kare. Agar bahut jaroori ho to emergency button dabaye, Belt jab puri tarah se rook jaye tabhi oos par se utre, Kyonki chalti hui treadmill se utarne se aapko chakkar aa sakte hain ya phir aap balance kho kar gir sakte hain.

7. Machine start karne se pahle belt nahi deck par rakhe paanv :- 

Vaise to jab bhi aap treadmill ko start karenge, Uski shuruvati speed kam hi rahti hain, yani ki is baat se koi fark nahi padta ki last time ise band karne se pahle iski speed kya thi. Machine mein yeh feature isliye diya jata hain taki achanak fast speed mein belt ghoomne se aapka balance na bigad jaye. Phir bhi agar machine mein koi gadbadi ho jaye, aur shuruvaati speed apni capacity se jyada ho toh?

Isliye hamesha yeh salah di jati hain ki jab bhi aap machine on kare, Usse pahle apne dono paanv kinaaro par yani ki deck par phaila le. Phir belt ki speed apne hisaab se set karne ke baad hi oos par apna paanv rakhe.  

Aur haan jate-jate is funny Treadmill running video ko bhi dekhte jaye :-