Padhai karne aur padhai yaad rakhne ke tips
Dosto kya aap bhi padhai karne ke tips (Study karne ke tips) janana chahte hain? kya aap yeh janana chahte hain ki padhai ko yaad kaise rakhe, iski tips kya hain. To aaiye is post mein hum aise tips aapko batane ja rahe jinhe ajma kar aap padhai kar sakte hain aur padhai ko yaad bhi rakh sakte hain.
Padhai ko yaad rakhne ke tips (Padhai / Study karne ke tips in Hindi) :-
~ Lagatar padhne ki bajaye har 50 minutes ke baad 10 minutes ka break le. Regular taur par padhe, na ki exam se pahle marathon padhai.
~ Padhaai karte huye music sunana chahte hain to Instrumental sune aur yeh disturb karne wala na ho.
~ Padhai ki jagah fix kare. Rojan oosi jagah par study karne se dimaag khud ko padhai ke liye ready kar leta hain.
~ Ek din mein ek hi subject ko padhne ki bajaye, 2-3 Subject ki padhai kare yani ki variety laye.
~ Jo padh rahe hain usme khud ko involve kare. Sifr padhte jane ki bajaye aap soche ki aap kya padh rahe hain? Uske baare mein swaal banaye aur khud se uske jawaab puchhe. Yeh bhi puchhe ki aage kya ho sakta hain aur kyon ? Soche ki jo padha hain, uska main point kya thay. Mann mein summery taiyaar kare.
~ Aap jo padh rahe hain, usay Visualize kare. Khud ko oos character mein fit karke ya oos jagah par rakhkar dekhe. Uski picture taiyaar kare. Jaise ki Jhansi ki Rani ke taur par khud ko visualize kare. Jitna aap scene mein khud ko fit karenge, utna hi jyada aapko yaad rahega. Padhai mein Law of Giving ko apnaye. Yani ki apne subject ko kisi character se jod de aur jo padha hain, Sab usay de de ya usme samahit karde. Jaise ki agar TB ki properties yaad karni hain to Gabbar Singh aapko pasand hain, to usay TB se jod le. Maslan TB mein jukam ho jata hain to soche ki Gabbar Singh ko jukam ho gya. TB se lungs kharab ho jate hain to soche ki Gabbar Singh ke Lungs bahar nikal rahe hain aur Samba unhe penchkas se kas raha hain. TB mein Baal jhad jate hain to soche ki Gabbar Singh ke baal jhad rahe hain. Isi tarah Plastic ki properties yaad karni hain to apne kisi kareebi dost ko Visualize kare. Jaise Plastic Light hoti hain soche ki veh patla hain. Plastic mein Jung nahi lagta hain to soche ki uske maathe par bal nahi padta hain. Plastic Low Melting Point hota hain to soche ki dost ki naak bah rahi hain. Plastic ki maintenance kam hoti hain to soche dost kam khana khata hain. Is tarah har properties ko dost ke saath jod de. Phir veh aapko kabhi nahi bhoolega.
~ Ab pure chapter ko padhe, pahli baar mein underline na kare. Aisa karenge to aap bahut saare points ko underline kar lenge, jo important nahi honge. Jo points underline kiye hain unke baare mein soche.
~ Ab mukhya swaalo ke jawaab zor se bole. Jitni der aap padhte hain, usme se kam se kam aadha time padhe huye ko zor se bolkar bitaye.
~ Class mein Notes utarte waqt bhi oon par gaur kare. Yeh sochkar na likhe ki abhi likh leta hoon , Baad mein padh loonga. Likhte huye mann mein dohraye. Teacher ki har baat ko likhne ki bajaye jo important ho, usay note kare. Baaki ko chhod de.
~ Ek baar yaad karne ke baad phir se dohraye. 24 Ghante baad pahli baar aur ek hafte ke baad dusri baar jaroor dohraye.
~ Jo padha hain usay kisi aisi cheez se jodkar yaad kare, jise aap pahle se jante ho. Aapne jo padha hain, Usay lekar aap koi Kavita (Poem), Gaana aadi bhi bana sakte hain.
~ Jo naya padha hain, Usay friend ko padhane ki koshish kare. Usay tabhi padha ya samjha payenge, Jab veh topic aapko puri tarah se clear hoga.
~ Apne padhai ke routine mein badlaav karte rahe. Ek hi tarike se ek hi samay par lagatar padhne se boriyat hoti hain aur padhai mein mann nahi lagta hain.

Post a Comment