Phal aur Sabziyo ko ghar par kaise store kare. (How Store Fruits & Vegetables in Home)
Technique ne khane-peene ki aadto se lekar hamari mushkilo ko kafi asaan bana diya hain. Baat agar Phal-Sabzi ki ho to usay store karne ke liye hum usay seedha Fridge ka rasta dikha dete hain. Yeh sochne tak ki fursat nahi hain ki isse Phal-sabziyo ki sehat par bura asar padega. Aaj hum aapko bata rahe hain ki kaise ghar par phal aur sabziyo ko store kare, taki veh jyada samay tak hara-bhara rahe. (How to store Fruits & Vegetable in home)
Phal (Fruits) ghar par store karne ki tips :-
Ab lagbhag saalbhar har phal khane ko mil sakta hain, Lekin har phal ko store karne ka tarika alag hota hain. Behtar hoga ki season ke fruits ko hi khane ke liye choone.
Kela (Banana)
Season :- 12 Months
Life :- 4-5 Din
Kaise kare Store :- Kele ko Room temperature par hi rakhna chahiye. Ise agar aap Fridge mein rakhenge to yeh kaale aur pilpeele ho jayenge.
Angoor (Grapes)
Season :- January se April
Life :- 15-20 Din
Kaise kare store ;- Fridge mein
Amrood
Season :- October se January
Life :- Maximum 10 Days
Kaise kare store :- Ise room temperature ya Fridge, Kisi bhi tarike se store kiya ja sakta hain. Amrood ko dhoop se bachana chahiye, Kyonki yeh Dhoop mein kaale pad jate hain. Room Temperature mein yeh 1-2 din aur Fridge mein 10 Din tak chal sakte hain. Room Temperature mein rakhne se yeh kuch soft bhi ho jate hain.
Aam (Mango)
Season :- March se August
Life :- 5 se 6 din
Kaise kare store :- Aam ko paani mein ek ghante tak bhigo kar Fridge mein store kiya ja sakta hain. Agar Mango ko Carbide se pakaya gya hain to Paani mein bhigone se iska bura asar kuch kam ho jata hain.
Khubani
Season :- May-June
Life :- 3 se 4 Din
Kaise kare store :- Inhe Fridge mein Store kiya ja sakta hain.
Kharbooja
Season :- April - July
Life :- 2 se 3 Din
Kaise kare store ;- Kharbooje ko fridge mein store karna chahiye. Aamtaur par logo ka manana yeh hain ki isse fridge mein Kharbooje ki badboo phail jati hain lekin aisa tabhi hota hain jab Kharbooja kharab hone lagta hain. Jab Kharbooja kharab hone lagta hain tab uski gandh freeze mein phail jati hain.
Papita
Season :- 12 Months
Life :- 2 se 3 Din
Kaise kare store :- Fridge mein store karke rakh sakte hain, Lekin inhe kaat kar rakhne se yeh naram pad jate hain.
Anar
Season :- 12 Mahine
Life :- 1 Mahina
Kaise kare store :- Anar ko room temperature par hi rakhna chahiye. Agar aap ise fridge mein rakh denge to yeh gal jayega aur thanda hokar kharab ho jayega. Room temperature par bhale hi yeh khoob sookh jaye lekin iska swaad aur meethas bana rahta hain. Anar ko kaatne se pahle ise 10-15 minutes tak paani mein bhigo kar rakh dena chahiye. Isse chhilke naram ho jate hain aur kaatna asaan ho jata hain.
Tarbooz
Season :- April-August
Life :- 10 se 15 Din saabut
kaise kare store :- Paani mein bhigo kar ya fridge mein rakhe.
Seb (Apple)
Season :- September - December
Life :- 10 se 15 din
Kaise kare store :- Fridge mein Store kar sakte hain.
Khajoor
Season :- Khajoor ka mausam 12 mahine rahta hain, Lekin iski Taseer garam hoti hain, isliye ise sardiyo mein khane ki salah di jati hain.
Life :- 6 Months
Kaise kare store :- Khajoor 2 tarah ke hote hain, Sukhe Khajoor aur Geele Khajoor. Sukhe khajoor ko room temperature par aur geele khajoor ko fridge mein store kare.
Nariyal
Season :- 12 Months
Life :- Paani wala Nariyal 1 Mahina, Sookha Nariyal 6 Mahine
Kaise kare store :- Paani wale Nariyal ko room temperature aur Sookhe Nariyal ko Polythene mein ya Seal Pack box mein room temperature par rakhna chahiye.
Nimbu
Season :- May se July
Life :- 7 se 8 din
Kaise kare store :- Fridge mein rakhkar.
Litchi
Season :- May se June
Life :- 2 se 3 Din
Kaise kare store :- Lichi ko Fridge mein store karna chahiye. Baarish ke baad Leechi nahi khani chahiye, Kyonki Baarish ke baad usme keede ho jate hain, Jo bimariyo ki wajah bante hain.
Santra
Season :- August se November
Life :- 2 se 3 din
Kaise kare store :- Fridge mein.
Mosami
Season :- March se August
Life :- 7 se 8 din
Kaise kare store ;- Fridge ya room temperature, Kanhi par bhi store kar sakte hain.
Cheeku
Season :- August se January
Life :- 3 se 4 Din
Kaise kare store ;- Fridge mein Store kar sakte hain.
Strawberry
Season :- April se June
Life :- 24 Hours
Kaise kare store :- Fridge mein Store kare.
Cherry
Season :- May se July
Life :- 2 se 3 Din
Kaise kare store ;- Fridge mein Store kar sakte hain.
Sabziyo se hamara roja ka lena-dena hain inhe store karne ki sahi jankari hona bahut hi jaroori hain.
Aaloo
Season :- July se August
Life :- 1 Mahina
Kaise kare store :- Room temperature
Pyaz aur Lahsun
Season :- March se June
Life :- 1 Mahina
kaise kare store :- Room temperature par kisi sookhi huyi jagah par rakhna chahiye.
Lauki / Ghiya
Season :- September se November
Life :- 4 se 5 din
Kaise kare store :- Fridge
Patta aur phool Gobhi
Season :- Sepember - December
Life :- 3 se 4 Din
Kaise kare Store :- Patta ya phool gobhi ko room temperature ya fridge kanhi bhi store kiya ja sakta hain.
Shimla Mirch
Season :- August se November
Life :- 4 se 5 Din
Kaise kare store :- Fridge mein store kare.
Gajar
Season :- September se December
Life :- 4 se 5 Din
Kaise kare store ;- Fridge mein store kare.
Tinda
Season :- October se February
Life :- 3 se 4 Din
Kaise kare store :- Fridge mein rakhe.
Tori
Season :- October se December
Life :- 2 se 3 din
Kaise kare store :- Fridge ya room temperature dono mein sahi salamat rahti hain.
Baingan
Season :- October se January
Life :- 4 se 5 Din
Kaise kare store ;- Fridge aur room temperature dono mein store kar sakte hain.
Adrak
Season :- November se March
Life ;- 15 se 20 Din
Kaise kare store ;- Fridge mein rakhe, yeh room temperature mein sad jati hain.
Kathal
Season :- May se July
Life :- Kata hua 1 din, Sabut 15 din
Kaise kare store ;- Kate huye Kathal ko Tel ya Nimbu ka ras lagakar Fridge mein rakh dena chahiye. Isse yeh kala nahi padega aur iska chipchipahat bhi khatm ho jayega. Saboot Kathal ko room temperature par store kiya ja sakta hain.
Shaljam
Season :- August se December
Life :- 3 se 4 Din
Kaise kare store :- Fridge mein aaram se store kiya ja sakta hain.
Bhindi
Season :- September se December
Life :- 1 se 2 Din
Kaise kare store :- Fridge mein store kare.
Tamatar
Season :- September - January
Life :- 4-5 Din
Kaise kare store ;- Fridge mein store karne se yeh jaldi pakte bhi nahi hain.
Matar
Season :- April se July
Life :- 3 se 4 Din
Kaise kare store :- Room temperature aur Fridge dono mein sahi salamat rahti hain.
Methi, Sarso aur Bathua
Season :- October se December
Life :- 1 se 2 Din
Kaise kare Store :- Fridge mein packing se bahar nikal kar store kare.
Palak
Season :- October se December aur March se April
Life :- 1 se 2 din
Kaise kare store :- Fridge mein gaddi khol kar.
Dhaniya
Season :- October se December
Life :- 3 se 4 Din
Kaise kare store ;- Dhaniya ko geele kapde mein lapetkar room temperature par store karna chahiye. Fridge mein yeh kala pad sakta hain.
Arbi
Season :- January se March
Life :- 10 se 12 Din
Kaise kare store :- Room temperature par bhi yeh sahi bani rahti hain.
Kaddu
Season :- December se April
Life :- 12-15 Din Sabut, 1-2 Din kata hua
Kaise Store kare ;- Fridge mein Store kare
Muli
Season :- September se December
Life :- 3 se 4 din
Kaise kare store :- Fridge mein kare store.
Parwal
Season :- Sepetmber se December
Life :- 3 se 4 Din
Kaise kare store :- Fridge mein kare store.
Kachaaloo
Season :- March se May
Life :- 10 se 12 Din
Kaise kare store :- Room temperature par kisi sookhi jagah par rakh kar.
Jimikand
Season :- August se November
Life :- 10 se 12 Din
Kaise kare store ;- Room temperature par kisi sookhi jagah par rakh kar.
Kheera
Season :- April se July
Life ;- 2 se 3 Din
Kaise kare store ;- Fridge mein rakhkar.
Kate huye phal sabziyo ko kaise kare store ;- Is mamle mein experts ki salah yeh hain ki Phal aur sabziya utna hi kaate, Jitna istemal ho sake. Kate huye fruits aur vegetables jaldi kharab hone lagte hain. Unme Bacteria paida hone lagte hain, Jo sehate ko nuksaan pahucha sakte hain. Halaki ki baar aapko na chahte huye bhi kati hui phal aur sabziya rakhni padti hain. Aisi halat mein kuch tips aapke kaam aa sakti hain, Lekin inhe 12 se 24 ghante ke ander istemal kar le.
Kate Lahsun-Pyaz ko Air tight box mein room temperature par rakh sakte hain. Kate huye Papita ko fridge mein rakhna chahiye. Halaki 7-8 ghante mein hi yeh naram padne lagta hain, Isliye ise jaldi se istemal kar lena chahiye. Kate huye Anar ko Air Tight box mein rakh kar Fridge mein rakhna chahiye. Kate huye Tarbooz ko Fridge mein store karna chahiye. Kate huye Nimbu ko fridge mein store karna chahiye.
Post a Comment