Stanpan karwane se baccho aur Maa ko hone wale fayde (Benefits of Breastfeeding in Hindi)
Stanpan Karwane se baccho aur Maa dono ko kya fayde hote hain ? Maa ka doodh hi baccho ke liye kyun best hain? Breastfeeding kyon karwani chahiye? Maa ka Doodh bacche ke liye ek amrit ke saman hain. Pregnancy ke saath hi Maa ka apne bacche ke saath ek khas tarah ka attachment ho jata hain, Jo bacche ke janm ke baad aur bhi gahra aur majboot ho jata hain. Maa ke liye bacche ki har cheez bahut hi mayne rakhti hain, Khastaur par usay feed karana. Maa ka shishu ko stanpan (Breastfeeding) karana bacche ke saath-saath khud maa ke liye kaise faydemand hota hain, Iske baare mein hum aaj aapko batayenge. Bacche ko 3 saal tak Maa ka doodh pilana kai mayno mein bahut ki faydemand hota hain.
Baccho Ko Maa ka doodh peene ke fayde (Benefits of Breastfeeding in Hindi) :-
Bacche ke dimaagi vikas ke liye jaroori :- Researches mein yeh paya gya hain ki oon baccho ka dimaagi vikas jyada hua tha, Jinhone maa ka doodh piya tha, Bajaye unke jinhone maa ka doodh nahi piya tha. Maa ke doodh mein Glucose ki matra jyada hoti hain. Saath hi protein bhi bharpoor matra mein hota hain, Jo brain ke development mein labhkari hain.
Cancer se bachaav :- Maa ka doodh sirf bacche ke vikas aur health ke liye hi jaroori nahi hain, balki yeh khud maa ke liye bhi utna hi jyada jaroori hain. Stanpan karwane wali mahilaon mein Breast Cancer aur Ovarian Cancer ka khatra kafi kam ho jata hain. Isliye jitna ho sake, utna bacche ko apna doodh pilaye.
Rakhe kai bimariyo se door ;- Kai researches mein yeh baat samne aayi hain ki baccho ko hone wali Pet aur Saans ki bimariya, Saath hi kai tarah ke infection jaisi problems Maa ka doodh peene se door rahti hain. Breastfeeding karne wala shishu sehatmand rahta hain. Kisi bhi shishu ko janm ke 6 mahine tak breastfeeding karwani chahiye. Yeh uski growth ke liye bahut hi jaroori hain. Breastfeeding karne wale bacche jyada dino tak jinda rahte hain. Unhe kam umar mein hone wali Diabetes, Cholesterol aur Pet ke rog jaldi nahi hote hain.
SIDS ki bimari rahe door :- Saal 2009 mein publish ek report ke mutabik, SIDS ki problem jisme navjat shishuon (New Born Baby) ki achanak death ho jati hain, Is bimari ko Maa ka doodh kafi hud tak kam kar deta hain. Maa ke dood mein kai saare minerals mauzood hote hain jo usay kai khatranaak bimariyo se bachate hain.
Allergy se bachaye :- Gaay ka doodh ya soya milk peene wale baccho mein Allergy ka khatra Maa ka doodh peene wale baccho se jyada hota hain. Research se yeh pata chala hain ki Maa ke doodh mein Secretory IgA mauzood hota hain, Jo baccho ki aanto mein layer banata hain. Isse kisi bhi tarah ki allergy hone ki sambhavna bahut hi kam hoti hain. Jin baccho ko maa ka doodh nahi milta veh allergy, sujan aur kai tarah ki bimariyo ke shikaar ho jate hain.
Emotional Satisfaction :- Breastfeeding karwane se Baby aur Mother mein bonding banti hain, jo kaif emotional hoti hain. Isse shishu ke saath-saath uski maa ko bhi santushti (Satisfaction) milta hain aur yeh dono ke mentally aur physically health ke liye bahut hi accha hota hain. Isliye sabhi Maa ko apne baccho ko apna doodh jaroor pilana chahiye.
Motape se door rakhe :- Maa ka doodh baccho ko motape se door rakhta hain, Kyonki isme Fat na ke barabar hota hain. Breastfeeding se Motape ki problem ko badhti umar mein bhi control kiya ja sakta hain. Maa ka doodh peene wale baccho mein Leptin Hormone ka nikaas hota hain, Jo Fat kam karne mein bahut hi zyada madadgar hain.
Breastfeeding ko lekar myth ;- Bahut si mahilaye apne shishuaon ko breastfeeding isliye bhi nahi karwati, Kyonki unke mann mein yeh galat baat ya myth baitha hota hain ki isse unka Figure kharab ho jayega aur breast loose ho jayenge. Yeh ek galat dharna hain. Iska koi scientific base nahi hain. Doctors ka to yeh kahna hain ki Doodh pilane wali mahilaon ka saundrya aur khil uthata hain. Saath hi, Doodh nikal jane se stan bhi shape mein rahte hain.
2 Baccho ke beech mein Gap :- Breastfeeding karwane wali mahilaon mein pregnant hone ki sambhavna kam hoti hain. Yeh Natural garbh-nirodhak ke roop mein kaam karta hain. Isliye 2 baccho ke beech mein Gap rakhne ke liye breastfeeding karwana ek accha option ho sakta hain.
Maa ka doodh baccho ko kab tak pilaye ;- Kaha jata hain ki kam se kam 6 mahine tak shishu ko maa ka doodh jaroor pilana chahiye, Par iski koi limit nahi hain. Maa agar healthy hain to veh apne bacche ko 2 se 3 saal tak breastfeeding karwa sakti hain. Yeh kisi bhi situation mein nuksaandayak nahi hota hain.
Post a Comment