Header Ads

Multani Mitti ke fayde (Benefits of Multani Mitti in Hindi)

Multani Mitti ke faydeMultani Mitti ke fayde kya hain? Multani Mitti Skin ke liye kaise best hain? Khoobsurti ko nikharne aur sawaarne ke liye Multani Mitti ka istemal shuru se hota aaya hain. Darasal, Isme kai aisi qualities hain, Jinhe agar aap jaan le, To ise behtar tarike se istemal kar sakti hain. Janiye Multani Mitte ke faydo ke baare mein :- 

Oily skin ke liye hain faydemand :- Agar aapki Skin oily hain to Face ke liye Multani mitti ka paste bahut hi jyada faydemand rahega. Subah-Shaam jab bhi time mile, Ise takreeban 5 minutes ke liye chehre par laga le. Isse Skin ka oilypan khatm ho jayega. Darasal, Skin mein oil hone se tavcha ke rom chidra (Pores) band ho jate hain, Jo Keel-muhanse aur daane banne ki ahem wajah hote hain. Yahi nahi Oily skin ke karan kai baar Blackheads aur Whiteheads bhi ho jate hain, Lekin Multani Mitti ke istemal se yeh problem asaani se door ho jati hain.

Shining skin ke liye :- Multani mitti skin ko clean kar minto mein shining deti hain. Isme Magnesium Chloride hota hain, Jo skin mein hone wale problems se nijat dilata hain. 

Complexion :- Chehre par Tanning ho to multani mitti ka istemal faydemand hota hain. Yeh chehre ki rangat ko nikhaar deti hain, Lekin ise lagane se 1 ya 2 din mein turant aaram nahi milta hain, Balki iska fayda  10 se 12 dino ke baad milna shuru ho jata hain. Darasal yeh fayda to dheere-dheere karti hain, Lekin chehre par iska asar long time tak bana rahta hain.  

Moohaso se chutkara :- Multani Mitti mein paye jane wale tatv Face se Moohase (Acne) hatane mein aapki help karte hain. Yahi wajah hain ki moohaso ki problem ya oily skin par iska istemal bahut faydemand mana jata hain.

Koi Side-effect nahi :-   Multani mitti tavcha se gandagi saaf karne ke liye bahut hi kargar hain aur iske koi side-effects bhi nahi hain. Oily skin hain, to ise Gulab-Jal ke saath skin par lagaye aur Dry Skin hain, to ise Badam Paste ke saath mila kar laga kar kuch minutes tak massage kare. Isse blood ka flow bhi theek bana rahta hain.

Texture :- Skin ke texture ko improve karne mein Multani Mitti behad kaam aati hain. Agar aapki skin par Safed daag ho ya kisi tarah ke dhabbe padne lage, to Multani mitti ka upyog kiya ja sakta hain. Jin logo ko Dry skin ki problem hain, Vah bhi Multani mitti ka istemal kar sakte hain, Lekin sardiyo ke dino mein unhe iske istemal se bachna chahiye, varna chehre par dryness aa sakti hain. Kull mila kar, Multani Mitti sabse accha face-pack, Cleanser aur Scrub hoti hain.

Multani Mitti ka istemal kaise kare :- 

Cleanser ke roop mein :- Multani mitti mein paya jane wala Magnesium Chloride Chehre par Cleanser ke roop mein kaam karta hain. Agar multani mitti ko rojana sahi tarike se istemal kiya jaye to chehra to clean rahta hi hain, Skin par muhase, Pimples, Jhaaiya jaisi problem bhi panap nahi paati hain. Yahi nahi agar aap ise Gajar ke Juice ke saath mila kar lagaati hain, to chehre ke daag-dhabbo se nijat pa sakti hain.

Natural scrubber :- Peese huye Badam ya Santre ke chhilko ko pees kar Multani Mitti ke saath mila le. Iska paste bana le. Is paste se 2 se 3 minutes tak face ki massage kare. Yeh perfect scrub ka kaam karta hain. Yeh paste face se Blackheads aur Whiteheads ko to clean kar hi deta hain, Saath hi skin ko bhi healthy banata hain. Dead cells ko khatm kar yeh skin ko deeply clean karta hain, Isliye yeh kahna galat nahi hoga ki skin ki dekhbhaal ke liye Multani Mitti ka istemal behtar hain.

Paste ke roop mein :- Multani Mitti ko seedhe chehre par paste ke roop mein bhi lagaya ja sakta hain. Ise lagane se skin par koi side-effect nahi hota hain. Iske jyada fayda paane ke liye aap ghar par Multani Mitti mein Dahi, Cream, Nimbu ka ras aur Gulab Jal ko barabar matra mein mix karle. Ise face par lagaye, aapki skin ko kai tarah se fayda hoga.