Bakri Ka doodh peene ke fayde.
Bakri ka doodh peene ke fayde kya hain (Benefits of Goat Milk in Hindi). Agar aap iske baare mein janana chahte hain toh yeh post jaroor padhe. Rojana Ek glass doodh peena sehat ke liye bahut hi faydemand hota hain, Jyadatar log yeh jante aur mante hain. Chhote baccho se lekar bade-budho tak ke liye Calcium ka sabse accha source Doodh peena mana gya hain. Lekin kya aap jante hain ki sirf Gaay ka nahi, Bakri ka doodh peekar bhi acchi health payi ja sakti hain, Bakri ka doodh sharir ko jaroori nutrients ki supply bhi karta hain. Research mein yeh baat sabit ho chuki hain ki Bakri ka Doodh digestion se lekar growth mein madadgar hota hain. Iske alawa ise peene se kya-kya fayde hote hain, Iske baare mein jante hain.
Bakri ka doodh peene ke fayde :-
Sujan se rahat :- Research mein yeh baat saabit ho chuki hain ki Bakri ka doodh Jalan aur Sujan ki samsya se rahat dilata hain. Jin logo ki body mein kisi tarah ki sujan ki problem hain, unhe Bakri ka doodh peene ki salah di jati hain. Rojana subah sirf ek glass Bakri ka doodh peekar din bhar ke liye chust-durust raha ja sakta hain.
Metabolism badhaye :- Bakri ke doodh mein Gaay ke doodh ke compare mein jyada nutrients mauzood hote hain. Isliye sirf ek glass Bakri ka doodh peene se sharir ke saare jaroori nutrients ki purti ho jati hain. Ek cup Bakri ke doodh mein rojana body ke liye jaroori 40% Calcium, 20% Vitamin B ke saath Potassium aur Phosphorus ki jaroorat ko pura kiya ja sakta hain.
Wajan kam kare :- Wajan kam karne ki chah rakhne walo ko Bakri ka doodh peena kafi faydemand hota hain. Iski wajah hain isme mauzood Fatty Acid jo Bad Fat ko kam karta hain. Body ki jaroorat ke hisaab se Fat observe karta hain. Saath, hi Body ke liye jaroori Nutrients ki supply karta hain.
Calcium se bharpoor :- Haddiyo ki majbooti ke liye log Gaay ka doodh peena pasand karte hain. Unka manana hain ki sirf Gaay ka doodh hi Calcium ki bharpaai karta hain, Lekin is baat se bahut kam log hi wakif honge ki Bakri ke Doodh mein bhi Calcium ki acchi-khasi matra mauzood hoti hain. Calcium ke saath hi Amino Tryptophan bhi hota hain, Jo body ko healthy banata hain.
Maa ke doodh jaisa :- Bakri ka doodh dikhne mein hi nahi, Balki swaad mein bhi Maa ke doodh jaisa hota hain. Iska karan isme mauzood chemical hain. Digestion mein asaan hone ki wajah se bacche ise pee sakte hain. Saath hi ise peene ke baad pet bhi bhaari nahi lagta hain.
Immunity badhaye :- Bakri ke doodh mein Selenium naam ka ek mineral paya jata hain, Jo body ki immunity power ko badhane mein kargar hain. Strong Immunity body ko kai tarah ke rogo se door rakhti hain. Bahut se doctor bhi Bakri ka doodh peene ki salah dete hain.
Heart ke liye healthy :- Bakri ke doodh mein paye jane wale Fatty Acids Cholesterol level ko control karte hain, Jisse Stroke, Heart Attack aur bhi kai tarah ke Coronary problems se bacha ja sakta hain. Iske doodh mein mauzood Potassium ki acchi matra blood pressure ko control karti hain. Saath hi, Cardiovascular System bhi sahi rakhta hain.
Fatty Acids ki mauzoodagi :- Bakri ke doodh mein 35% tak Fatty Acid mauzood hota hain, Jabki Gaay ke doodh mein sirf 17% tak hi yeh paya jata hain. Iska matlab yeh hain ki Bakri ka doodh Gaay ke doodh se jyada faydemand hain. Iske alawa, lagbhag 50% logo ko Gaay ke doodh mein mauzood Lactose ko digest karne mein preshani hoti hain. Lekin Bakri ka doodh asaani se pach jata hain. Isliye bhi Bakri ke doodh ki demand badh rahi hain.
Development ke liye :- Bakri ka doodh protein ka bahut hi accha source mana gya hain, Jo growth aur development ke liye jaroori hain. Iske alawa Protein Cells, Tissue, Muscles aur Haddiyo ke banane ke liye bhi jaroori hota hain. Baccho ki badhti umar mein aur bado ki haddiyo ki majbooti ko barkarar rakhne ke liye bakri ka doodh kafi faydemand hain.

Post a Comment