Header Ads

In cheezo ko fridge mein nahi rakhna chahiye.

Fridge Vegetables
Aam taur ham sabhi sochte hain ki Fridge mein rakhi har cheez mahfooz hain Lekin aisa sochna galat hain. Aisi kai cheeze aisi hain jinhe Fridge mein store karne ke baad unme maujood poshak tatvo ki kami aur badlaav ho jate hain , Jante hain inke baare mein ..



Aaloo 

Aaloo mein starch bharpoor matra mein hota hain aur thandi jagah par lambe samay tak rakhne se yeh starch Sugar mein badal jata hain jo Diabetes aur motape se garsit logo ke liye nuksaandayak hota hain. 

Kela, Seb aur Aam 

Kela, Aam, Seb aur Aaloo Bukhara jaise phalo ko fridge mein rakhne se inme mauzood anti-oxidants kam hone lagte hain. Isliye in phalo ko utna hi khareede, jitna aap ise fauran kha sakte hain. 

Tarbooz aur Kharbooj

Tarbooz aur Kharbooje ko katkar Fridge mein na rakhe varna poshak tatv nasht ho jate hain. 

Shahad

Shahad ko Fridge mein rakhne se Anti-Oxidants khatm ho jate hain aur natural sugar bhi khatm ho jati hain. 

Hari pattedar sabziya

Hari pattedar sabziyo mein nami hoti hain, Fridge mein rakhne se yeh khatm ho jati hain. Fridge mein Coffee aur masalo ki khusboo bhi khatm ho jati hain.