Header Ads

Kaan mein paani jane par kya kare.

tips for ear water in Hindi

Aksar swimming pool mein swimming karte samay ya phir shower ke niche nahate huye kaano mein paani chala jata hain, Jise log ignore kar dete hain. Kaano ko halka-halka jhatka dekar kaano se paani nikal dete hain aur relax ho jate hain. Lekin kai baar paani kaano ke bahut ander tak chala jata hain, Jo khujali, sunai na dene ki problem ke saath-saath kai tarah ke infection ki wajah bhi banta hain. Problem ke jyada ho jane par yeh bahrepan ki bhi wajah ban sakta hain. Is problem ko door karne ke liye gharelu nuskhe aur upaay janne bahut hi jaroori hain. Aaiye jante hain aise kuch upyogi gharelu nuskhe aur upaay jo kaan ke ander gye paani ko bahar nikal deta hain ya phir is paani ko sukha deta hain.

Kaan ka paani nikalne ke gharelu nuskhe aur upaay :- 

1. Alcohol aur Vinegar ka ear drop

Alcohol ki boondo ko kaan ke paas ragadne se uska paani sookhta hain aur Vinegar bacterial infection ko door karta hain.

Upay :- Alcohol aur Vinegar ko mix kare. Kisi dropper ki madad se iski 3-4 drops kaano ke paas lagaye aur dheere-dheere rub kare. Infection se bachane ke saath hi yeh paani ko bhi sukhaata hain.

2. Blow Dryer ka istemal :- Blow Dryer ke istemal se kaano ke ander ka paani sookh jata hain, Lekin iski garam hawa kai baar ear se related koi dusri problem khadi kar sakti hain. Isliye Dryer ko bilkul hi low heat par rakhe. Saath hi kaano se iski doori bana kar rakhe.

Upaay :- Dryer ko bilkul low par set kare. Kaano se barabar doori par rakhte huye 30-30 seconds par 2 se 3 baar repeat kare.

3. Hydrogen Peroxide  ka istemal :- Hydrogen peroxide kewal kaano mein paani jane ki problem ko hi door nahi karta hain, blki isse bachata bhi hain. Wax ki problem bhi isse door hoti hain. Swimmers swimming ke dauran iska istemal karte hain.

Upaay :- Dropper mein Hydrogen Peroxide ki kuch boonde daale. Ise kaan mein daale aur bubbles ka ahsaas kare. Iske baad dryer ya seer ko halka-halka jhatka dekar paani ko remove kiya ja sakta hain.

4. Namak ka istemal :- Namak sharir se saare toxins ko bahar nikaalta hain. Agar kaano mein paani chala jaye aur problem hone lage to Namak iska behtar ilaj hota hain.

Upaay :- Microwave mein Namak ko halka sa garam kare. Cotton ke kapde mein ise acchi tarah se baandh le. Jis kaan mein paani gya hain, vaha namak ke mishran ko 2-3 minutes tak rakhe. Iske baad seer ko jhuka kar halka sa jhatka de, Paani nikal jayega.

5. Bhaap (Steam) le :- Kaano mein paani jane par sabse pahle uski auditory tube band ho jati hain, Jisse sunaai kam deta hain. Is tube ko kholne ke liye steam lena bahut hi jaroori hain.

Upaay :- Bowl mein paani garam kare. Bowl ke upar seer ko is tarah se rakhe ki bhaap chehre aur kaano tak pahuche. Seer ko towel se dhak le, jisse bhaap bahar na nikal sake. 10-15 Minutes tak acche se steam le. Steam se kaano ke ander ka paani sookh jata hain.