Running ya Jogging karne ke fayde.
Running (Daudne) ya Jogging karne ke fayde bahut hi jyada hain. Ek research mein yeh bataya gya tha ki jo aadmi ek hafte mein 50 Mile tak running karta hain, Unhe dusro ke mukable mein HDL adhik badhta hain, Cholesterol kam hota aur sharir mein Fat ki bhi kami hoti hain.
Daudna (Running) exercise ka sabse asaan tarika hain, Kyonki yeh sirf aapke extra weight ko kam karne mein hi nahi madad karta hain, Balki aapko healthy aur fit banane mein bhi madad karta hain. Chahe aap niyamit roop se daudne wale ho ya khel ke liye naye ho, Chaliye running karne se hone wale fayde aur health ko kya-kya labh hote hain jante hain.
Daudne (Running) ya Jogging karne ke fayde aur health benefits :-
Daudne (Running) ya Jogging karne ke fayde aur health benefits :-
- Tension kam karta hain :-Daudna vyayam ka ek aaramadayak roop hain, kyonki yeh health ko badha deta hain aur aapke tension ke level ko kam karne mein madad karta hain.
- Behtar neend lene mein madad karta hain :- Agar aapko theek tarah se neend nahi aati hain, toh aap din ke dauran running karne ki koshish kare. Daudna acchi neend badhaane mein madad karta hain, Kyonki jab sharir thak jata hain toh aap raat ko bina rukavat ke gahri neend le sakenge.
- Joints ko healthy banata hain :- Daudna aapke joints aur naso ki takat ko badhane mein madad karta hain, Jisse jodo ki takat badhti hain aur Adiyo aur ghutno ke ghayal hone ki sambhavna kam hoti hain.
- Cholesterol kam karta hain :- Running aapke sharir mein good cholesterol ko banaye rakhne mein madad karta hain aur iske saath jude tamam problems ke khatre ko kam karta hain.
- Aapko accha feel karata hain :- Niyamit roop se daudna aapko good feel karayega, kyonki yeh aapke sharir ko theek karne aur healthy banane mein madad karta hain. Yeh hamare physically, mentally aur emotionally health mein sudhaar karne mein madad karta hain.
- Diabetes ke khatre ko kam karta hain :- Research se yeh pata chala hain ki niyamit roop se running karne se Type-2 ke diabetes ke khatre ko kam karne mein madad karta hain.
- Fat ko burn kare :- Running jyada Fat ke cells ko burn karne mein madad karta hain aur sharir ko dubla patla bana deta hain. Yeh aapke extra fat ko kam karne mein madad karta hain.
- Heart ke health ko sudhaarata hain :- Blood circulation ko badhate, Blood pressure ko banaye rakhte aur kai tarah ke dil ke rogo ke khatre ko kam karte huye daudne se dil ka swasthya sudharta hain.
- Aapki haddiya majboot karta hain :- Niyamit roop se running karne se Osteoporosis aur Gathiya jaise haddi se related rog kam hote hain, aur yeh aapki haddiyo aur maanspeshiyo ko majbooti deta hain. Daudna hamare pairo aur kamar ki haddi ke ghantav mein sudhaar mein madad karta hain.
- Aapko ek healthy body deta hain :- Aap fit rahna chahte hain to apne khali samay mein running kare ya sair kare. Niyamit daudna fit rahne ka sabse asaan upay hain.
- Faydemand Aerobic Exercise :- Niyamit roop se running karna Aerobic exercise ka hi ek roop hain, Yeh aapke mood ko accha karne mein aapki help karta hain. Aap physically roop se fit bane rahte hain aur aapki sehat mein sudhaar hota hain.
- Sahanshakti badhaata hain :- Daudne ki ek niyamit speed ko banaye rakhne se muscles mein takat aati hain aur sahanshakti mein sudhaar laane mein madad milti hain, Yeh logo mein stamina bhi badhaata hain.
- Pachan mein Sudhaar :- Running karna pachan mein sudhaar karne mein help karta hain aur yeh bhookh badhaata hain. Yeh calorie ko burn kar deta hain, isliye daudne ke baad aapko bhookh lagne lagegi.
- Depression se ladne mein madad karta hain :- Daudna aapke depression aur chinta ke level ko kam karne mein madad karta hain aur aap apne baare mein accha mahsoos karte hain.
- Wajan ghatata hain :- Agar aap extra Kilo ghatana chahte hain, toh daudna shuru kar dijiye. Daudna kasrat karne ka ek asaan tarika hain, Kyonki yeh calorie ko jala deta hain, Lekin choto se bachne ke liye slow speed par running karna shuru kare.
- Badhti hui umar ko dheema karta hain :- Daudna badhti umar se hone wale khatre ko kam karta hain. Yeh aapko majboot sharir deta hain. Yeh aapki umar ko chhota dikhne mein bhi madad karta hain.
- Immunity power badhaata hain :- Yadi aap niyamit roop se jogging karenge toh aap Allergy, Sardi, Khansi, Flu aadi jaise health problems se grast nahi honge. Niyamit daudne se aapki immunity power badhti hain aur yeh aapko bimariyo se bachaati hain.
- Sharir ka santulan theek karta hain :- Niyamit roop se daudna aankh se lekar haath ke smanvaya ko badhaane mein madad karta hain aur sharir ke santulan mein bhi madad karta hain.
- Energy ko badha deta hain :- Kya aap jab uthate hain toh aap energy kam mahsoos karte hain? agar aisa hain toh yeh energy ke level ko badha deta hain aur aap dainik dincharya energy ke saath karte hain.
- Dimaagi sehat mein sudhaar lata hain :- Daudna sharir mein blood flow ko badhawa dene mein madad karta hain. Is wajah se aapke dimaag mein jyada oxygen aur poshak tatv milte hain, jo aapko kaam mein dhyaan lagane mein Saksham banate hain.
Post a Comment