Ghar mein banaye yeh moisturizer aur dry skin se paye chhutkara.
Sardiyo mein hamari skin nami khone lagti hain. Chehra rookha aur khicha-khicha sa nazar aata hain. Aise mein skin ko moisturize karna jaroori hota hain. Yu toh bazaar mein kai tarah ke branded aur non-branded moisturizer mauzood hain, Lekin yeh kafi mehnge hote hain. Saath hi unme kai tarah ke chemicals bhi hote hain, jo skin ko nuksaan pahucha sakte hain. Iske mukable gharelu moisturizer kafi faydemand hote hain. Aaj hum aapko bata rahe hain Gharelu moisturizer banane ka tarika :-
Badam ka tel :- 10 chammach teen oil jaise – Badam, Nariyal aur Til ko le le. In sabhi ko aapas mein mila kar ek bottle mein bhar le. Nahane ke baad ise pure sharir par lagaye. Isse skin ka dryness door ho jayega. Yeh moisturizer nahane ke foran baad lagane se skin mein nami barkarar rahti hain.
Gulab ki pattiya :- Gulab ki pattiyo ka moisturiser banane ke liye gulab ki pattiyo ko gulab jal mein daal kar ubaal le. Ise chhan le aur isme 2 chamach Aloe Vera juice mila le. Ise fridge mein store kar le aur niyamit roop se tavcha par lagaye. Ise lagane se skin ka rookhapan door hoga.
Lavender aur nariyal tel :- Nariyal tel aur Lavender ke tel ko ek katore mein le le aur acchi tarah se mila le. Best results ke liye ise regularly use kare.
Kheera aur gulab jal :- Ek chammach nimbu ka ras, 2 chammach Jaitoon ka tel aur peese huye kheera ka juice le. Inhe acchi tarah mila le. Baad mein isme gulab jal daal kar phent le. Is mishran se aapki tavcha mein freshness aa jayegi.
Nimbu aur Jaitoon ka tel :- 2 chammach Nimbu ka ras, 1 chammach jaitoon ka tel aur 1/3 cup doodh le. In teeno ko acchi tarah mila le aur fridge mein rakh de. Is moisturizer ko 3 se 4 din tak istemal kiya ja sakta hain. Yeh sensitive skin walo ke liye kafi behtar hain. Yeh kafi accha body moisturizer hain.
Doodh :- Doodh bhi acche moisturiser ka kaam karta hain. Yeh skin ko clean bhi rakhta hain. 2 Chammach Jaitoon ka tel le aur usme thoda doodh mila le. Isme 2 chammach nimbu ka ras mila le. Aur lagaye, isse skin mulayam banegi.
Aloe Vera :- 4 Chammach Aloe Vera gel le, 1 chammach Badam Oil, 1 chammach Jaitoon ka tel le. In sabhi ko acchi tarah mila le aur room temperature par rakhe. Jab mann ho tab lagaye. Tavcha mein nikhaar aa jayega. Yeh dry skin walo ke liye best hain.
Nariyal ka tel aur Shahad ;- Ek chammach Nariyal ka tel, 1 chammach Shahad aur 1 chammach Nimbu ka ras le. In sabhi cheezo ko acchi tarah se mila le. Ise fridge mein store karke rakh le aur jaroorat padne par chehre par lagate rahe. Mulayam tavcha ke liye yeh moisturizer kafi accha saabit hota hain. Yeh face ke liye badhiya moisturizer hain.
Post a Comment