Header Ads

Chai peene ke fayde.

Chai peene ke fayde.
Sardiyo ke mausam mein chai ho jaye toh kya baat hain. Chai ke baare mein kya kaha ja sakta hain, Yeh toh hamari life mein aise shamil ho chuki hain ki ab iske bina jiya hi nahi ja sakta hain. Sardi ho ya garmi har mausam mein chai peena to banta hain yaar. Jyadatar logo ki din ki shuruvaat chai ke cup ke saath hi hoti hain. Agar aap bhi chai peena pasand karte hain aur Chai aapki zindagi ka ek ahem hissa hain, toh chaliye aaj jaan lete hain Chai ke kuch faydemand guno ke baare mein. Toh pesh hain aapke saamne Chai peene ke fayde :-

Chai peene ke fayde :- (Benefits of Tea in Hindi) 

1.  Dil ke rog :- Chai heart attack aur stroke ke jokhim ko kam kar sakti hain. Chai peene ki wajah se dhamniya chikni aur cholesterol se free ho jati hain. 6 Cup se jyada chai peene se dil ki bimari hone ka khatra 1/3 kam rahta hain.

2. Daant bane majboot ;- Chai peene se aapke daant majboot banenge. Jee haan, Agar aap bina chini wali chai piyenge toh aisa jaroor hoga. Chai asal mein Fluoride aur Tannin se bani hoti hain jo plague ko door rakhta hain. Toh healthy gums aur teeth ke liye tea peena shuru kar dijiye.

3. Fat kam kare :- Chaay peene se aapke body ka metabolism badh jata hain. Kai logo ki shikayat hoti hain ki exercise karne ke baad bhi unka wajan kam nahi ho raha hain, Lekin agar aap green tea piyenge toh aapka metabolism rate badhega jisse 70 se 80 Calorie aaram se burn ho sakti hain. Iske saath hi aapko rojana 30 minutes ki walk lena bhi jaroori hain.

4. Rog se lade :- Chaay peene se aapka sharir ki prati-raksha pranali ko infection se ladne mein bahut madad milti hain. Sardi Jukhaam jaisi aam bimariya chaay peene se ekdum gayab ho jati hain.

5. Umar ghataye :- Chaay mein Anti-oxidants shamil hote hain. Chai umar ke badhne aur pollution ke side-effects se aapko bachata hain.

6. Haddiya bane majboot :- Chai aapki haddiyo ko bhi bachaati hain. Kewal isliye nahi ki isme doodh mila hua hota hain, Balki ek research mein oon logo ka compare ek saath kiya gya jo Chai ka upyog 10 saalo se karte aa rahe hain aur jo chai nahi peete. Research mein yeh paya gya ki Chai peene walo ki haddiya umar, jyada wajan, Exercise, Smoking aur anya risk factors ke bawjood bhi majboot hain.

7. Paani ki kami puri kare ;- Chai dehydrate rahne mein help karti hain. Chai hamare sharir ki jaroorat hain jabki coffee peene se peshab jyada lagta hain, Isliye yeh sharir mein jyada der tak na rah kar bahar nikal jati hain. Isliye hamare sharir mein water ki supply nahi ho paati hain. Agar aap din bhar mein 5 se 6 cup coffee ke pee jate hain toh aapko paani ki kami ho sakti hain.

8. Kam calorie :- Chai Calorie free hoti hain. Chai mein kisi bhi tarah ki calorie nahi hogi, Jab tak aap usme kisi bhi tarah ka sweetener ya doodh na mila le. Agar aap santoshjanak , calorie free drink peena chahte hain toh chai usme se ek  hain.

9. Kam Caffeine :- Chai mein coffee ke mukable kam caffeine hoti hain. Coffee mein aamtaur par tea ke mukable 2 se 3 guna jyad caffeine payi jati hain. 8 Ounce cup ki coffe mein 135 Milligram  Caffeine payi jati hain toh vahi Chai mein 30 se 40 milligram caffeine hota hain. Agar aapko coffee peene se apach, seerdard ya sone mein koi problem ho to bina soche chaai ki aor rookh kare.

10. Cancer se bachaye :- Chai cancer se hame bachaati hain, kyonki isme Polyphenols aur  Anti-Oxidants mila hota hain. Jo cancer se ladne mein bahut madad karte hain.

Tags :- Chai peene ke fayde kya hain, Chai peene se kya benefits hote hain. Chai (Tea) hamare health ke liye kaise acchi hoti hain. Chai ke fayde, Chaay ke gun aur labh. Benefits of Tea in Hindi.