Swimming hain best exercise.
Swimming karne ke fayde bahut hote hain. Swimming bahut hi kamyab exercise mani jati hain. Isko karne se aapke sharir ki puri tarah se kasrat ho jati hain. Swimming ek complete exercise hain. Swimming karne ke apne hi fayde hain. Isse body jyada active aur flexible rahti hain. Jim ke mukable Swimming karne mein lagbhag 15 guna jyada mehnat karni padti hain. Swimming se jodo aur kandho par bina dabaav daale saans lene-chhodne aur blood circulation mein sudhaar laya ja sakta hain. Saath hi isse cells, Glands aur Skin ki bhi safaai hoti rahti hain. Sabse acchi baat hoti hain ki swimming karne se body ke kaam karne ki capacity badh jati hain.
Tairna ek kala ke saath hi vyayaam bhi hain, Yeh sehat ke liye bahut hi faydemand hain. Swimming karne se kai tarah ki bimariyo ka khatra toh kam hota hi hain, Saath hi yeh aapka sharir bhi majboot banta hain.
Swimming se pure sharir ki exercise ho jati hain. Sirf aadhe ghante tak tair kar sharir ki 440 Calorie kam ki ja sakti hain. Kai baar swimming karne se aapko tanning jaisi problem ho sakti hain. Tanning se bachne ke liye swimming pool mein utarne se pahle skin par moisturizer laga le. Is post mein hum aaj aapko Swimming se hone wale fayde ke baare mein batane ja rahe hain.
Swimming ke fayde :- (Benefits of Swimming in Hindi, Swimming se sharir ko hone wale labh, swim karne se kya fayda hota hain?)
► Brain rakhe Active :- Activation ke saath hi swimming physical aur mental power badhane ke liye bhi bahut jaroori hain. Tairne ke dauran body ko jyada matra mein oxygen milti hain, Jisse dimaag active banta hain.
► Gathiya rog se bachaav :- Ek aisi exercise hain, Jisse jodo par sabse kam dabaav padta hain. Iski wajah yeh hain ki zameen ki tulna mein paani mein sharir halka mahsoos karta hain. Niyamit swim karne se sharir ke jod majboot hote hain. Body ke joints majboot hone ki wajah se future mein aapko gathiya jaisi bimari hone ka khatra kafi kam ho jata hain. Gathiya se bachaav ke liye dusre tarah ki aerobic exercise karne ki bhi salah di jati hain. Garam paani ki sikaai karne se bhi gathiya ke dard se rahat milti hain.
► Heart rakhe healthy :- Swimming karne se blood pressure aur heart rate ki aniyamtata ko door karne mein madad milti hain. Jisse heart-arteries se judi bimariyo ka khatra kam hota hain. Swimming ek tarah ki aerobic exercise hain, Jisse aapke dil ki maanspeshiya majboot hoti hain. Isse aapke poore sharir mein blood circulation sahi rahta hain. Kai researches mein yeh pata chala hain ki daily sirf aadha ghanta swimming karne se mahilaon mein coronary heart disease hone ka khatra 30 se 40 % tak kam ho jata hain.
► Good Cholesterol badhta hain :- Healthy rahne ke liye jaroori hain ki aapki body mein bad cholesterol ka level kam ho. Agar body mein good cholesterol yani HDL jyada hain toh yeh aapke liye faydemand saabit hota hain. Hafte mein 5 din tairne se sharir mein cholesterol ki matra balance rahti hain. Cholesterol ki sahi matra rahne se aapko dil ke rog hone ki aashnka kam ho jati hain.
► Muscles banaye strong :- Muscles strong hoti hain, Shoulders aur pasliyo ki acchi exercise ho jati hain. Agar aap niyamit roop se swimming karte hain toh aapko koi aur exercise karne ki jaroorat nahi hain. Swimming se aapki maanspeshiya badhti hain aur majboot banti hain. Tairne ke dauraan ke sharir ko zameen ki bajaaye paani mein 12 guna jyada mehnat karna padta hain. Swimming karne se aapke body ke joints strong hote hain.
► Tension se rahat :- Tension hone ki wajah se aap kisi bhi kaam ko behtar tarike se nahi kar paate hain. Swimming karne se tension se rahat milti hain aur aapka dimaag behtar tarike se kaam karta hain. Isse aapke pure sharir ki exercise ho jati hain, Isliye swimming karna kai maamlo mein Jim jaane se better saabit hoti hain.
► Motapa kam kare :- Mote log swimming ke jariye apna wajan kam kar sakte hain. Hum jitni mehnat karte hain utni hi jyada calorie burn hoti hain. Kai baar log sochte hain ki paani ka temperature body se kam hota hain, isliye swimming se wajan kam nahi ho sakta. Jabki hakikat yeh hain ki swimming ko calorie burn karne wali exercise mein sabse behtar mana gya hain. Swimming karne se wajan control mein rahta hain aur motapa bhi kam hota hain. Har roj kewal 30 minutes swimming karne se sharir ki lagbhag 440 calorie burn hoti hain.
► Sharir mein lachkeelapan badhta hain :- Body mein jyada lachkeelapan laane ke liye jyadatar log Jim aur dusre tarah ki exercise ka sahara lete hain. Tairaaki ek aisi kasrat hain, jisse aapke sharir ke har hisse mein lachkeelapan bana rahta hain.
► Blood circulation sahi rakhe :- Aisi exercise hain jise kisi bhi umar ke log kar sakte hain, Yeh blood circulation ko sahi rakhne mein madad karti hain. Tairne se sharir ka rakt sanchaar badhta hain aur aapko tanaav aur dard mein rahat milti hain. Blood circulation ke badhne se aap chust-durust rahte hain aur kisi bhi kaam ko jyada mann laga kar karte hain.
► Immunity power badhti hain :- Tairne ke dauraan saans ko control karna padta hain, Jisse fefdo ki bhi exercise ho jati hain, Jo ki immunity badhaane ke liye bahut hi jaroori cheez hain.
Post a Comment