Header Ads

Indian Currency se jude kuch interesting facts.

Rupaye ke baare mein Jankari.
Bhartiya Note ke kuch rochak fact jinke baare mein shayad aap janana chahenge. Jin noto (Notes) ka rojana istemal karte hain, unke baare mein kai facts aise hain jo shayad aapko pata nahi honge. Yeh dilchasp facts janiye.

1. Kabhi 1 rupaye ki keemat thi 13$ :-      

06 January 2016 ko 1 dollar ki keemat 66.74 rupaye pahuch gyi hain. Videshi funds ki bikwali se rupaye par dabaav dikh raha hain aur rupaye ki giravat thamti nahi dikh rahi hain.  Lekin ek samay aisa bhi tha Jab rupaye ki keemat dollar se jyada thi. 1917 mein 1 rupee ki keemat 13 dollar thi.

Indian Note currency Languages2. 17 Languages mein likhi hoti hain keemat :- Hindi aur English ke alawa Indian Currency Note mein 15 Languages ka istemal hota hain. Koi bhi note jaise 10, 20, 50 aadi par Hindi aur English ke alawa  Assamese, Bengali, Gujarati, Kannada, Kashmiri, Konkani, Malayalam, Marathi, Nepali, Oriya, Punjabi, Sanskrit, Tamil, Telugu aur Urdu mein iski keemat likhi hoti hain. Hindi aur English ka istemal Note ke front side mein hota hain. Baki bhashayein note ke pichle hisse par likhi hoti hain.

3. Fata note nahi hain Bekar :- Agar aapke paas phata aur 51% se jyada phata hua note hain, toh aap usko bank mein jakar badal sakte hain. RBI ke guidelines ke anusaar, Kisi bhi tarah ka phata, purana aur ganda note kisi bhi bank ki branch mein jakar badla ja sakta hain. Guidelines ke anusaar agar yeh note aadhe se bhi jyada phata hain toh bhi aap bank mein jakar naya note le sakte hain.

4. Sikko ki taskari isliye hoti thi :- Bangladesh mein blade banane ke liye ek samay 5 rupees ke coins ki smuggling ki jati thi. 5 Rupaye ke ek sikke se 6 blade banaye jate thay. Ek blade ki keemat 2 rupees thi. Aise mein blade banane walo ko isse khasa fayda hota tha. Ise dekhte huye government ne sikka banane mein istemal hone wale metal ko hi badal diya. 2009 mein Police ne sikko ki khep ko pakda tha, Jiske baad iski jankaari mili thi.

5. Note ke backside par hoti hain khas tasveer :- Har Bhartiya note par insaano, Janwaro, Nature se lekar azaadi se jude aandolan se judi tasveere chhapi hoti hain. 10 Rupaye ke note ke peeche Haathi, Genda aur Sher chhapa hua hain, Vahi 20 Rupaye ke note ke peeche Andaman deep samooh ki picture hain. 50 rupaye ke note ke peeche Parliament ki tasveer hain toh 100 rupaye ke note ke peeche pahaad aur badal ki tasveer chhapi huyi hain. Iske alawa 500 rupaye ke note ke peeche azaadi ke aandolan se judi 11 murti ki tasveer chhapi hain toh 1000 rupaye ke note ke peeche Satellite ki picture chhapi huyi hoti hain.

Indian Currency Backside

6. Nishaan se pata chalta hain kaha dhala hain sikka :- Har sikke par ek nishaan chhapa hua hota hain. Jisko dekhkar aapko pata chal jayega ki yeh sikka kis mint ka hain. Sikke ke chhapi date ke niche agar diamond ka nishaan bana ho toh veh sikka Hyderabad Mint mein dhala gya hain. Noida Mint ke sikko par Dot ka nisaan banaya jata hain, Vahi Mumbai Mint ke sikko par B ya M ka nishaan aapko dekhne ko milega, Toh Calcutta Mint ke sikko par C ka nishaan dekhne ko milega. Hamare desh mein Sikko ki dhalaai ke liye 4 Mint yani 4 taksaal hain. 

7. RBI nahi balki Finance Ministry jari karta hain 1 Rupee ka note :- Ek rupaye ka note vitt mantralay jaari karta hain. Baaki sabhi noto ko jaari karne ka adhikaar Reserve Bank of India (RBI) ke paas hain. Is ek rupaye ke note par RBI ke Governor ki jagah Finance Secretory ka signature hota hain. 

8. Bharat hi nahi in desho ki currency bhi rupaya hain :- 20th Century ke shuruvaat mein Rupya Adan, Oman, Kuwait, Qatar, Kenya, Uganda, Seychelles aur Mauritius ki bhi currency thi. Halaki abhi bhi 7 aise desh hain jaha rupaya unki currency hain. Indonesia, Mauritius, Nepal, Pakistan aur Sri Lanka ki currency ko bhi rupaya hi kaha jata hain. 

9. Nepal mein nahi chalta 500 aur 1000 rupaye ka note :- Fake currency ki badhti ghatanao ko dekhte huye Nepal ne Indian 500 aur 1000 rupaye ke note par ban laga rakha hain. Itna hi nahi agar koi in notes ke saath Nepal mein pakda jata hain toh usay punishment bhi dene ka niyam hain. Ise lekar Bharat aur Nepal ke Sonauli Border par ek notice board bhi lagaya gya hain, Jisme yeh warning di gyi hain. 

10. 1954 mein chhaape gye thay 10000 aur 5000 rupaye ke note :- 1938 mein RBI ne 10,000 rupaye ka note Bharat mein chhaapa tha. Reserve Bank ne January 1938 mein pahli baar paper currency chhaapi thi, Jo ki 5 rupaye ka note tha. Isi saal 10 rupaye, 100 rupaye, 1000 rupaye aur 10000 rupaye ke note bhi chhaape gye thay. Halaki 1946 mein 1000 aur 10000 rupaye ke note band kar diye gye thay. Lekin 1954 mein ek baar phir se 1000 aur 10000 rupaye ke note chhape gye they, Saath hi 5000 rupaye ke note ki bhi chhapaai ki gyi. Lekin 1978 mein 10000 aur 5000 rupaye ke note ko puri tarah se band kar diya gya. Maje ki baat yeh hain ki 1954 mein Per Capita Income 240 rupees thi aur 10000 ka note chhaapna apne aap mein ek rochak baat thi.

1954 mein chhappa gya 10000 rupees ka note.
10,000 Rupees ka note


5000 rupees note front side
5,000 Rupees ka Note Front Side
5000 rupees note back side
5,000 Rupees Note Back Side