Aapko har waqt thakaan mahsoos hoti hain, yeh hain iske hone ki wajah.
Kai baar aisa hota hain ki hum thakaa hua mahsoos karte hain aur hamara kuch bhi karne ka mood nahi hota hain. Hum sochte hain ki hamari thakaan ke piche hamari kharab lifestyle hain. Lekin kewal lifestyle nahi balki kai aur baatein bhi hain jo hame thakaan deti hain. Bahut jyada thakaan mahsoos hone se aapko kai tarah ki bimariya ho sakti hain. Kai baar aisa hota hain ki aap jab sone jaate hain toh dimaagi taur se preshan hote hain ya phir aapko depression aadi ne gher rakha hota hain, aise mein aapki neend kharab ho jati hain. Aise mein kai aur bhi karan hain jisse aapko thakaan mahsoos hoti hain aaiye jante hain :-
1. Food :- Aapko apne din ki jaroorat ke hisaab se diet leni chahiye. Kai log dieting aur wajan kam karne ke chakkar mein paushtik aahaar nahi lete hain, jis wajah se veh kuposhit ho jate hain aur is wajah se unhe tiredness feel hota hain.
2. Lifestyle :- Hamari modern lifestyle hame 9-12 ghante ke kaam karne ke liye majboor karti hain, jisme hame travel bhi karna padta hain. Isliye hame thakaan ho jati hain.
3. Sleep :- Hamare sharir ko 6 se 8 hours ki neend leni bahut hi jaroori hain. Jisse din bhar ki thakaan door sake. Lekin agar aisa na hua toh subah hame thakaan mahsoos hogi.
4. Motapa :- Mote aadmiyo ko patle aadmiyo ke mukable jyada thakaan mahsoos hota hain. Isliye apne wajan ko kam kariye aur thakaan ko door kijiye.
5. Bimari :- Agar aap hamesha thakaan ka anubhav karte hain, toh samajh lijiye aapko koi bimari hain jaise Anaemia ya Thyroid.
6. Dimaagi wajah :- Agar kisi ko office, family ya depression ki wajah se tanaav rahta hain toh bhi thakaan aa jati hain.
7. Metabolic dosh :- Pet sahi na hona, kidney ki bimari aadi kuch aisi wajahe hain jo thakaan ka anubhav karwate hain.
Post a Comment