Header Ads

Sardiyo mein fruits se bane facepack badhayenge chehre ki raunak, aise kare istemal.

Sardiyo mein fruits se bane facepack badhayenge chehre ki raunak, aise kare istemal.Sardi ke mausam mein skin ko khas dekhbhal ki jaroorat padti hain. Kyonki skin sabse jyada dry isi mausam mein hoti hain. Aur is wajah se cream aur moisturiser ka jyada upyog hone lagta hain. Lekin aap inki jagah fruit face pack try kare. Kitchen mein mauzood fruits aapki skin ko sardi ke rookhepan se bacha sakte hain. Jante hain kuch aise hi fruits face-pack ke bare mein :-

• Kela best hain dry skin ke liye :- Dry skin walo ke liye kele ka mask best option hain. Skin pores ko open karne aur skin ko tight karne mein yeh mask kaam mein aata hain. Iske liye kele ko acche se mash karle aur phir usme 2 chammach Shahad mila le. Phir paste ko chehre par lagaye aur 15 minutes tak ke liye chhod de. Phir paani aur doodh ke mixture se chehre ko dhoye.

• Papita kam karega moohanse :- Sardiyo mein papita skin ko dryness se bachane mein madad karta hain. Papite ko mash karke chehre par seedha laga sakti hain. Agar accha face mask chahiye toh Papite ko mash karke usme 2 chammach Pineapple juice, 1 chammach glycerine aur ek chammach milk powder dale. Phir is mixture ko chehre par 20 minutes tak laga kar rakhe. Phir paani se chehra dho le. Sardiyo mein jinhe moohase ki problem hoti hain, unhe yeh mask jaroor try karna chahiye.

• Seb dega glowing skin :- Natural Vitamins se bharpoor Apple mein astringent ki quantity kafi jyada hoti hain, Jisse skin hydrate rahti hain. Isliye seb ka face pack glowing skin ke liye behtar hain. Iske liye seb ko pahle ubaal le, phir usay mash karle, usme shahad ki kuch boonde mila le. Usay chehre par lagaye aur 10 minutes tak ke liye khula chhod de. Phir paani se chehra dho le. Aisa karne se skin soft ho jayegi.

• Strawberry hain natural scrub :- Chehre ko scrub karne ke liye strawberry ka mask taiyaar kar sakti hain. Isme natural astringent hota hain, jo skin ke liye behtar hain. Iske liye sabse pahle strawberry ko acchi tarah se pees le. Phir usme dahi mila le. Is mixture ko chehre par lagaye aur 15 minutes tak chhod de. Iske baad gungune paani se chehre ko dho le. Sardiyo mein aapke chehre ko moisturiser isse mil jayegi.

• Orange se kare body ko scrub :- Orange khane ke saath-saath skin par lagane ke liye bhi bahut faydemand hain. Agar aapke paas jyada waqt nahi hain toh nahane se pahle santre ke chhilke ko skin par laga sakti hain. Agar aapke paas samay hain toh santre ke chhilko ko dhoop mein sookha le aur phir usay pees le. Phir oos powder mein doodh aur shahad mila kar chehre par lagaye. Aur phir paani se dho le. Natural scrub ka kaam yeh paste karega.

• Anaar se milegi natural oiling :- Winter body scrub ke liye Anaar se behtar kuch nahi. Iske liye anaar ke daane nikaal kar, usay acchi tarah se pees le. Phir usme badam ka powder mix kare. Phir usme dry milk powder milaye. Jo mixture taiyaar hoga, usay body par halke haatho se maley. Phir katori mein doodh lekar usse veh mixture ko utaare. Akhir mein gungune paani se body ko dho le. Puri body ko natural oiling mil jayegi.