Aise health tips jo rakhenge aapko fit & fine.
Kya aap fit rahna chahte hain aur aap yeh bhi janna chahte hain ki apni dincharya mein kya kya badlaav kare, jisse aap healthy bane rahenge toh aapko niche likhi gyi tips ko follow karne ki jaroorat hain. In tips ko ajmaye aur rahe hamesha fit & fine.
• Khane mein salad, doodh, dahi, daliya hari sabziyo, saabut daal-anaaz aadi ka istemal jaroor kare. Koshish kare ki aapki plate mein ‘Varity of Food’ shamil ho. Khana pakane aur peene ke liye saaf paani ka upyog kare. Phalo aur sabziyo ko acchi tarah se dho kar istemal kare.
• 40 ki umar ke baad apna routine check up karwate rahe aur agar doctor aapko koi dawaai deta hain toh usay niyamit roop se le. Nature ke kareeb rahne ka waqt jaroor nikale. Baccho ke saath khele , apne pets ke saath daude aur wife ke saath halka-fulka romance, long drive aur entertainment ka time jaroor nikaal le.
• Bahut jyada oil, masale se bane, baked aur garam bhojan ka istemal na kare. Khane ko sahi temperature par pakaye. Aur sabziyo ko jyada paka kar unke poshak tatvo ko khatm na kare. Saath hi oven kar istemal karte waqt uske temperature ka khas khayaal rakhe. Khane ko hamesha dhak kar rakhe aur fresh khana khaye.
• Koi bhi ek exercise rojana jaroor kare. Iske liye rojana kam se kam aadha ghanta jaroor de aur kasrat ke tarikebadalte rahe, jaise ki aerobic kare toh kabhi sirf tez chale. Agar kisi cheez ke liye waqt nahi nikaal paa rahe hain toh office ya ghar ki seedhiya chadhne aur tez chalne ka iraada rakhe. Koshish kare ki office mein bhi aapko jyada der tak ek hi position mein nahi baithna pade.
• Khana pakane ke liye unsaturated vegetable oil (Jaise soyabean, sunflower, makka ya olive oil) ka istemal karne ki koshish kare. Khane mein cheeni aur namak dono ka kam istemal kare. Junk food, soft drink , artificial juice ka istemal na kare. Koshish kare ki raat ka khana 8 baje tak kha le aur yeh halka-fulka ho.
• Kabhi bhi bahar se ghar aane ke baad,kisi bahari cheez ko haath lagane ke baad, khana banane se pahle ya khana khane se pahle saabun se acchi tarah se haath dhoye. Agar aapke ghar mein koi chhota baccha hain toh saabun se haath dhona aur bhi jaroori ho jata hain. Usay haath lagane se pahle apne haatho ko jaroor dhoye.
• Meditation, Yoga ya dhyaan ka istemal concentration badhane aur tension ko door karne ke liye kare.
• Ghar mein saaf-safaai ka khas dhyaan rakhe, khas taur par rasoi aur bathroom ki. Paani ko kanhi bhi ikttha na hone de. Sink, washbasin aadi jagaho par niyamit roop se safaai karte rahe aur phenyl, floor cleaner aadi ka istemal karte rahe. Khane ki kisi bhi cheez ko khula na chhode. Kachhe aur pake huye khane ko alag-alag rakhe.
• Apne aaram karne ya sone wale kamre ko saaf-suthra, hawadaar aur khula-khula rakhe. Chaadre, takiyo ke gilaaf aur pardo ko badalte rahe aur gaddo ya mattress ko bhi samay samay par dhoop dikha kar jhatkare.
• Fresh vegetables aur fruits ka istemal kare. Upyog mein aane wale masalo, anaazo aur dusri cheezo ka storage sahi tarike se kare, aur expiry date wali cheezo ki taarikh ka khas dhyaan rakhe.
• Khana pakane aur khana khane ke istemal mein aane wale bartano, fridge, oven aadi ko saaf rakhe. Kabhi bhi geele bartano ko rack mein nahi rakhe aur nahi bina sookhe dabbo aadi ko dhakkan laga kar rakhe.
Post a Comment