Header Ads

Jaangh par laptop rakhkar kaam karne ke nuskaan.

Jaangh par laptop rakhkar kaam karne ke nuskaan.Laptop hamari life ka ek ahem hissa ban gya hain. Lekin ghanto tak jhangh ya god mein laptop rakhkar kaam karne wale log is baat ki aor saavdhaan ho jaye ki jhaangh par der tak laptop rakhna tavcha ke liye gambhir samsya ko paida kar sakta hain. Kamar dard ho ya phir mardo mein baanjhpan , laptop ne sabki zindagi daanv par laga di hain. Aap laptop se jitna pyaar karte hain, veh utna hi aapko nuksaan pahucha raha hain. 

Laptop ko ghanto god mein rakhne se isse nikalne wali heat aapki skin ko nuksaan pahucha sakti hain. Agar aapko laptop istemal karna hi hain toh ise sharir se door rakhkar kar upyog kare. Aaiye jante hain Laptop kya kya khatre paida kar sakta hain :-

• Cancer :- Ghanto Laptop ko jaangh par rakhne ke baad kya aapki skin mein khujlahat paida hoti hain ya phir veh garm ho jati hain? Isse aapki skin ko cancer ho sakta hain. Yeh aisa lagatar karne par hota hain.

• Computer vision syndrome :- Laptop ka istemal karte samay aap uski screen ko bade kareeb se dekhne lag padte hain, jisse aankho par zor, sukhapan aur aankho ki roshini kam hona shuru ho jati hain.

• Tavcha ki bimari :- Laptop ko pairo par lagatar rakhne se uski heat skin par kai saari bimariya paida kar deti hain.

• Ungliyo ka sunn ho jana :- Lagatar laptop ke keyboard par ungliya chalane se ungliyo mein dard, akdan ya sunnapan aa jana koi nayi baat nahi hain.

• Kamar dard : - Laptop god mein rakhne ki wajah se hame aage ki aor jhukna padta hain. Jis wajah se lower back par asar padta hain. Isse aapko spondylitis ki bimari ho sakti hain.

• Baanjhpan :- Lagatar Laptop ka istemal purusho ko baanjh bana sakta hain. Laptop se nikalne wali heat aapke sperm aur unki quality par asar daal sakta hain. Isliye godh mein rakhkar iska istemal na kare.

• Gardan dard :- Jaangh par rakhe huye Laptop ka istemal karne ke liye aapko gardan jhukaani padti hain, jisse gardan akad jati hain aur gardan mein dard ban jata hain. Isse aapko spondylitis ho sakta hain.