Android phone par aa rahi hain yeh problems toh samajh lijiye aapke phone mein hain virus.
Aksar aap aisi preshani se rubaru hote hain jab aapke smartphone ki speed kam ho jati hain. Jyada application ki availability aur open source platform hone ki wajah se Android smartphone mein Virus ka khatra bahut jyada hota hain. Virus aane par phone mein kai problems aani shuru ho jati hain aur hum ise normal problem samajhte hain. Virus aane par aapke phone ka bartaav ajeeb sa ho jata hain. Is post mein hum kuch aise lakshan batayenge jisse aap maloom kar sakenge ki kanhi aapke Smartphone mein virus toh nahi aa gya hain.
Tezi ke saath battery ka khatm hona :- Android Smartphone mein Virus aane ka ek lakshan yeh bhi hain ki phone ki battery tezi ke saath khatm hone lagti hain. Phone ki battery agar purani hain aur dheere-dheere yeh problem badhi hain toh phir yeh battery ki problem hain. Lekin yeh problem achanak paida hui hain toh samajh lijiye aapke smartphone mein virus ka attack ho chuka hain.
Apne aap hi Mail aur Sms ke chale jana :- Virus hone ki situation mein aapka phone khud hi aapke contacts ko message, mail aur call karne lagega. SMS ya message mein kuch bhi ho sakta hain. Ek hi message baar-baar jaye ya phir aapke mobile se gye mail ya message mein koi link aapke dosto ko prapt ho. Is tarah ke virus bade hi khatarnaak hote hain.
File Corrupt aur Data delete hona :- Virus aane ka ek lakshan yeh bhi hain ki aapke phone mein mauzood data apne aap hi delete hone lagta hain ya phir file corrupt hone lagti hain. Photo aur video jo pahle asaani se open ho jate thay achanak se black ho jayenge ya phir file format change ho jane ki wajah se khulta bhi nahi. Yeh saare lakshan virus ke hain.
Phone ki speed kam ho jana :- Android Smartphone mein virus aane ka sabse pahla lakshan hain, phone ka dheema hona. Phone ki memory bharne par camera aur browsing jaisi services slow ho jati hain. Lekin virus aane par normal calls, messaging aur typing ke dauran bhi aap mahsoos karenge ki aapka Android Smartphone slow ho gya hain. Aisi situation mein aap samajh jaye ki aapke phone mein virus aa gya hain.
Extra Icon :- Agar aapke phone mein virus hain toh aksar apps tray ya home screen par ek extra icon bhi dikhaai dega. Yeh icon aapke kisi kaam ka nahi hoga, yeh kisi application ya browsing ke dauran download ho jata hain jo phone se data chori karne ka kaam karta hain.
Data ka use badh jana :- Android smartphone mein Virus ka attack sirf aapke phone ko slow hi nahi karta , balki aapko har tarah se nuksaan pahuchata hain. Jyadatar virus internet ke jariye hi aate hain aur virus hone ki wajah se aapke data ki khapat badh jati hain.
Post a Comment