Facebook ke fake account ka kaise pata lagaye.
Social Media Facebook aaj puri duniya mein popular hain. Current time mein Facebook users ki sankhya 1.5 Arab tak ho chuki hain. Aaj kal log apni khushi aur preshani ko is site par share karte hain. Kul mila kar logo se connect hone ka yeh behatrin option hain. Lekin aajkal kuch aise log hain jo fake account banate hain. Iske saath hi veh apne opposite gender ko apne fake account se message aadi karte hain. Dosti karne ke liye friend request bhi bhejte hain. Jisse facebook user ko alert rahna bahut hi jaroori hain. Aise mein aaj janiye kaise pata lagaye fake facebook account ke bare mein :-
• About column lagbhag khali : - In fake account mein about column mein naam matra ki jankari bhari huyi hoti hain. Lagbhag saare column khali hote hain.
• Profile update nahi :- In fake facebook account mein profile picture bahut lambe samay tak update nahi hoti hain. Jisse iske fake hone ki ashanka badh jati hain.
• Activity naam matra ki hoti hain :- Aise account mein activity kafi kam hoti hain. Jisse agar aapke paas koi request aati hain toh uska timeline ek baar jaroor dekh le.
• Friend sankhya kafi kam : - Fake account mein jyada friend nahi hote hain. Unki sankhya kafi kam hoti hain. Jisse aap request accept karne se pahle friend list jaroor check kare.
• Khud request bhejte hain :- Facebook par banaye jane wale fake account kisi plan ke tahat banaye jate hain. Fake account hamesha opposite sex ko friend request bhejte hain.
• Opposite sex friend jyada :- Fake account ki friend list mein hamesha naam ke opposite sex ke candidate adhik hote hain. Veh hamesha naye dost bana kar baatein karte hain.
• Senior persons nahi hote :- Aise fake account mein senior person ki bajaye, kam umar ke ladke-ladkiya jyada jude huye hote hain. Veh kafi modern dikhte hain.
• Scenery, Teddy-Bear ki photo :- Generally logo facebook account par apni photo lagate hain. Vahi jyadatar fake facebook account mein koi scenery, teddy ya phir koi hot picture lagi huyi hoti hain.
Post a Comment