Header Ads

Smartphone ki battery ko jald khatm hone se bachane ki tips.

Smartphone  battery  saving tips in HindiMarket mein in dino behatarin features wale Smartphone ki line lagi huyi hain. Inke features aur specifications toh jabardast hain, lekin jab Smartphone ka jyada istemal hone lagta hain, toh inki battery bahut hi jaldi discharge ho jati hain. Ab aise mein power bank saath mein lekar chale ya phir kuch asaan tips apna kar battery ko jaldi khatm hone se bachaye. Aaiye jante hain 10 aise upay aur tarike jisse aap apne smartphone ki battery ko jald khatm hone se bacha sakte hain.

1) Turn down display brightness :- Yeh tips smartphone aur Laptop dono users ke liye common hain. Jyadatar devices mein brightness ki setting ko asaani ke saath access kiya ja sakta hain. Yani ki aap chahe toh kisi bhi device ki brightness ko kam ya jyada kar sakta hain. Agar battery ko bachana hain toh brightness ko thoda kam hi rakhe toh behtar hain. Ise aap display settings mein jakar change kar sakte hain. 

2) Don’t use vibrate :- Aksar dekhne ko milta hain ki smartphone’s user ringtone ko mute karke phone vibrate par rakhte hain. Lekin hum aapko bata de ki phone ke vibrate mode par hone se battery ki jyada khapat hoti hain. 

3) Keep it cool :- Aaspaas ka mahaul battery par khasa asar daalta hain. Yani ki temperature ka battery power par seedha asar padta hain. Agar aap apna Smartphone aisi jagah rakhte hain jaha ka temperature 35 degree ke upar ya 0 degree ke neeche hain, toh battery ki capacity kafi jaldi ghatne lagti hain. Aise mein smartphone ko direct sunlight se door rakhna chahiye. Iske saath hi bahut hi thandi jagah se bhi smartphone ko bacha kar rakhna chahiye. Jyada garmi aur thandi dono hi smartphone ki battery ki capacity ke liye haanikarak hain. 

4) Change your settings :- Aksar dekha jata hain ki users Smartphone par live wallpaper ya 3d wallpaper laga kar rakhte hain, Iski wajah se battery jaldi discharge hoti hain. Aise mein jab battery kam ho jaye toh inki settings ko aap change kar sakte hain. Iske alawa Bluetooth, GPS jaisi services ko kuch samay ke liye off kiya ja sakta hain. 

5) Schedule app updates over Wi-Fi : - Agar aap kisi app ko update kar rahe hain toh usay Wi-Fi ke jariye update kare. Iske alawa Wi-Fi ko hamesha on na rakhe, jab iski jaroorat ho tabhi iska istemal kare. Batate chale ki Wi-Fi on rahne se yeh aas-paas ke area mein signal ko dhoondta rahta hain, Jisse battery jyada kharch hoti hain. Iske alawa agar aapke mobile mein strong signal aa rahe ho, toh 4g LTE service ko off karke 3G par kaam kar sakte hain. Vahi backup mein chalne wali sabhi apps ko band karde. 

 6) Go for paid apps instead of free ones :- Ads supported apps aapke Smartphone battery life ko lagbhag 2.5 ghante khatm kar dete hain. US based research ke mutabik, Phone Processor dimaag ki tarah hota hain. Aise mein Ads supported apps brain power kam kar dete hain. Jiska seedha asar battery life par padta hain. Aise mein jaha tak possible ho toh free apps se bache. Iske liye paid apps sabse behtarin option hain. Halaki researches yeh manana hain ki sabhi free app battery par bura asar nahi dalte hain. Lekin jis app mein ads chalte hain veh battery ko bahut jaldi discharge kar dete hain. 

7) Keep the screen timeout short :- Smartphone ki display jitni kam chalegi, Battery utni kam kharch hogi. Iske liye aapko display settings par jana hoga. Jaha par aapko ‘screen timeout’ ka option dikhaai dega. Is option se yeh nishchit kiya jata hain ki phone screen par koi bhi app use karne ke baad uski screen kitani der tak jalegi. 

8) Turn Off location tracking :- Ek news report ke mutabik, Iphone users agar facebook app ko access karte hain, toh unke phone ki battery jaldi discharge ho jati hain. Kyonki yeh GPS module ke chalte user ki location ko lagatar track karta rahta hain. Aise mein agar location track ko off kar diya jaye toh battery drain ki problem se nipta ja sakta hain. Agar aap Android user hain toh Settings > Location mein jakar location tracking ko disable kar sakte hain. Vahi iOS user ke liye Settings > Privacy > Location services option mauzood hain. 

 9) Turn Off push notifications :- Agar aapko lagta hain ki battery 30% ke aas-paas bachi hain toh sabhi push notifications ko off karde. Jaise ki Facebook ya kai messenger apps aadi ke pop-ups on rakhne par yeh energy ko concede karte hain. Aapke phone mein jitni baar pop-up notification aayega, veh kuch na kuch battery jaroor khayega. Aise mein agar aap kanhi travel kar rahe ho aur battery lagbhag khatam hone wali ho toh sabhi notifications ko off karde. 

10) Particular discharge VS Full discharge : - Aksar aapne suna hoga ki phone ko tabhi charge par lagana chahiye jab veh puri tarah se discharge ho chuka ho. Yani ki 0-5 percent ke beech mein aane par hi battery ko charge karna chahiye. Halaki ki yeh bilkul hi galat fact hain. Experts kahte hain ki battery ke 30 se 40 percent tak aate hi phone ko charge kar lena chahiye. Isse battery life badh jati hain. Kyonki mana jata hain ki particular discharge full discharge cycle se behtar hain. Aise mein ab aap kabhi bhi battery ko full discharge na kare, Isse battery ki capacity ke kam hone ka khatra nahi hota.