Hichaki door karne ke gharelu nuskhe.
Jab aapko hichaki aati hain toh aamtaur par dharna yeh hain ki koi aapko yaad kar raha hoga. Lekin aisa nahi hain, Hichaki aane ke kuch aur wajahe hain. Pahle aap hichaki ko door karne ke gharelu upay aur nuskhe jaan le aur uske baad iske aane ki scientific wajah bhi jaan le. Hichaki ko English mein Hiccups kahte hain.
Hichaki rokne ke gharelu nuskhe :-
1. Saaf paani dheere-dheere peena chahiye.
2. Thoda sa garam ghee pee lene se hichaki turant band ho jati hain.
3. Sabut urad ki daal jalte huye koyale par dale aur dhoonye ko soonghe. Hichaki band ho jayegi.
4. Hichaki agar band na ho toh pudine ke patte ya nimbu ko choosey.
5. Pyaaz kaat kar namak daal kar khaye. Har ek ghante mein pyaaz khane se hichaki band ho jati hain.
6. Mooli ke chaar patte khane se hichaki band ho jati hain.
7. Nimbu ka ras aur shahad ek-ek chammach mila kar aur isme thoda kala namak daal kar sewan karne se hichaki band ho jayegi.
8. Ganne ka ras peene se hichaki band ho jati hain.
9. Sendha namak soonghne se hichaki nahi aati hain.
10. Hichakiya agar dast aadi ki wajah se aa rahi ho, tab namak aur cheeni ka ghol bana kar le. Yeh iski primary medicine hain.
11. Pyaaz ke ras mein shahad mila kar lene se hichaki band ho jati hain.
12. Mor pankh ko jala kar raakh bana le. Is raakh mein barabar matra mein peepli mila le. Is misharan ko shahad ke saath le. Hichaki se rahat milegi.
13. Hichaki agar jyada aati ho toh baajre ke barabar hing ko gud mein mila kar kele ke saath khaye. Fayda hoga.
14. Mareez ko shaant rakhne ki koshish karni chahiye. Hichaki ki bimari ka sambandh mann se mana gya hain.
15. Sendha namak ko paani mein ghol kar naak mein kuch boonde daal lene se hichaki band ho jati hain.
16. Hichaki agar apach se ho ek glass paani mein khane wala soda daal kar piye. Rahat milegi.
Hichaki door bhagane ke liye in baato ka rakhe dhyaan :-
Baar baar hichaki aane ki problem ho toh neeche liye gye baato ko apni dincharya mein shamil kare. Isse samsya se chhutkara milega.
1. Subah khane ke saath juice jaroor le.
2. Iodine yukt namak ka istemal karna band kar de.
3. Subah ka khana jaldi kha le.
4. Paani dheere-dheere peene ki aadat dale.
5. Subah uthate hi 2-3 glass gunguna paani piye.
6. Sugar ka itemal khane mein kam se kam kare.
7. Dophar ka khana 12 se 2 baje ke beech mein kar le.
8. Sham ka khana suraj doobne se pahle kar le.
Hichaki ke interesting facts :-
Fresh Research kya kahti hain iske bare main :-
France ke kuch researchers ka kahna hain ki ho sakta hain hichaki ka sambandh is baat se juda ho ki hamare purvaj samundari jeev thay. Samundari jeev khas karke machaliya saans lene ke liye gills ya galphado ka istemal karti hain. Darasal scientist hichaki ka visesh karan dhoondh nahi paa rahe hain. Hichaki aam taur par oon maanspeshiyo ke sikudan ke karan se aati hain jo saans lene mein istemal hoti hain.
Bhroon ko bhi aati hain hichki :-
Ultra sounds ki reports se pata chala hain ki garbh mein 2 mahine ka bhroon, jab tak uski saans lene ka process shuru nahi ho jata, Hichaki leta hain. Ek dusre sidhant ko mane ko hichaki liquid ko fefdo mein jaane se rokti hain. Vaise iske virodh mein tark diya jata hain ki agar aisa hota toh bhroon ko khansi aati, na ki hichaki. Ab jo nayi research saamne aayi hain, usme kaha gya hain ki samundari jeev jo gill se saans lete hain, jab saans bahar nikaalte hain toh kuch aisi kriya hoti hain jaise hichaki ke samay dekhne mein aati hain.
Hichaki aane ki wajah :-
Hichaki hamare diaphragm ke sikudne se aati hain. Diaphragm chhati ke khokhle bhaag ko hamare pet ke khokhle bhaag se alag karta hain. Yeh saans lene ke process mein bahut hi important role ada karta hain. Fefdo mein hawa bharne ke liye diaphragm ka sikudna bahut hi jaroori hota hain. Jab diaphragm baar baar sikudta hain toh fefde tezi se hawa ander khinchte hain. Jab saans lene mein preshani paida hoti hain toh hichaki aane lagti hain. Kai baar aisa zor-zor se hasne, tez masalewale khana khane, jaldi-jaldi khane ya phir pet foolne se ho sakta hain.
Hichaki aane ki aur bhi wajahe hain :-
Gastric trouble ke karan bhi kai baar hichaki aati hain. Khoon ki kami, khoon ka bahna, bahut jyada mehnat, darr, gussa aadi se bhi hichakiya aati hain. Aant ki bimari se bhi hichaki rog ho jata hain. Yeh khatranaak hoti hain. Saans lene ka process isse rook jata hain, jisse aant ki kriyasheelta rook jati hain. Hichaki rog mein pachan kriya kharab ho jati hain. Isliye jyada hichaki aane par paani peena chahiye. Jyada hichaki aa rahi ho toh laparavaahiya nahi karni chahiye. Hichaki jyada aana janlewa saabit ho sakta hain.
Post a Comment