Header Ads

Ice Cube Facial ke fayde. (Benefits of Ice Cube Facial in Hindi).

Ice Cube facial ke faydeIce Cube Facial ke fayde kai mehange treatment se better hain. Yeh na sirf pocket friendly hain, Balki sunburn aur skin aging par kamaal ka asar dikhaata hain. Makeup se pahle chehre par ice cube facial se vehjyada lambe samay tak chehre par rahta hain aur saath hi paseene ki problem bhi door hoti hain. Fruit facial ke baad agar parlor mein sabse jyada demand mein koi hain toh veh hain ice cube facial.

Ice Cube Facial ke fayde :- 

Pimples se chutkara :- Burf na sirf pimples ke redness ko kam karega balki dard se bhi rahat milegi. Burf ko kapde ya plastic ke bag mein lapet kar istemal kare. Ise direct chehre par lagane se skin ko nuksaan pahuch sakta hain.

Glowing Skin :- Kheere ke ras, Shahad aur Nimbu ke ras ka mixture banaye aur ise jamaye. Phir ise halke haatho se 5 minutes tak chehre par malein aur phir dho le. Yeh tavcha mein jaan daal kar, Usey healthy aur chamakdaar banayega.

Sunburn se rahat ;- Dhoop se jali hui skin par burf ragadne se turant aaram milega. Jald fayda ho isliye iss par Aloe Vera gel daal sakti hain.

Pores mein kasaav :- Burf malne se pores sikudkar kam ho jate hain, Jisse skin se nikalne wali jyada tel ki matra kam ho jati hain. Isse face oily nazar nahi aata. Isse uspar dhool, mitti aadi chipakne ka khatra kam hota hain, jisse vo jyada glowing aur khubsoorat nazar aati hain.

Aging mein roktham :- Ice massage se blood circulation behtar hota hain. Samay se pahle jhurriya ya badhti umar ki nishaniyo se chutkara milta hain. Isme Lavender ya Jasmine jaise essential oil ki boonde daal sakti hain.

Dark Circles aur suji aankhe :- Dark Circles, thaki aur suji hui aankho ke liye accha ilaj hain. Behtar natize ke liye ek cup paani mein green tea ko ubaal kar phir ise ice tray mein jama le. Green tea mein bharpoor matra mein Anti-oxidants hote hain.