Header Ads

Murabba khane ke fayde.

Murabba khane ke faydeAamtaur par Murabba ka naam sunte hi, dimaag mein Amle ka murabba hi yaad aata hain. Lekin Amle ke murabbe ke saath kai aur sabziyo aur phalo ke murabbe bhi banaye jate hain, Jo sehat ke liye kafi faydemand hote hain. Murabba Vitamin C, Iron aur Fiber ka sabse accha source mana jata hain. Saath hi isme Calcium, Vitamin A aur Magnesium bhi hota hain, Jo ise aur bhi healthy banata hain. 

Tarah-tarah ke murabbe aur unke fayde :- 

Amle ka murabba :- Amle ke murabbe mein Vitamin C, Iron aur Fiber bharpoor hota hain. Yeh pregnant women mein morning sickness ki problem ko door karta hain. Saath hi unki kabz ki shikayat mein bhi aaram deta hain. Yeh hemoglobin ki matra ko badha kar unhe energy deta hain.
Badam ka Murabba :- Badam ka murabba giriyo ko Shahad mein daal kar banaya jata hain. Isse khansi, cough jaisi bimariyo se bachaav hota hain. 

Gajar ka Murabba :- Gajar mein Vitamin E aur Iron sabse jyada hota hain. Isse sharir mein naya khoon jaldi banta hain. Experts ke mutabik Gajar ka Murabba cough nikaalne mein, Dimaag ko majboot karne aur depression door karne mein bahut madad karta hain. 

Papite ka Murabba :- Papite mein Fiber, Vitamin C, Vitamin A aur Anti-Oxidants kafi hote hain. Inhi guno ke karan iska murabba cholesterol ko control karne mein kafi asardar hain. Yeh patthari ko bhi galaata hain. Saath hi yeh lakwa aur daanto ke rogo mein bhi faydemand hota hain. 

Adrak ka murabba :- Yeh Murabba mooh ka swaad theek karne wala hota hain. Damaa ke rogiyo ko isse fayda hota hain. 

Seb ka Murabba :- Seb ke murabbe mein Phosphorus, Iron, Protein, Calcium, Carbohydrate, Vitamin B aur Vitamin C khoob hota hain. Yeh oon logo ke liye bahut hi faydemand hain, jinhe raat ko neend nahi aati hain. Sone se pahle ek thoda sa murabba khaye.