Kaale aur phate hontho ko gulabi banane ke tips aur gharelu nuskhe.
Badalte mausam ki wajah se hontho ki khubsoorati par asar hona ek aam si baat hain. Jaise hi sardiya aati hain, hontho ka phatna shuru ho jata hain. Aise mein hontho ki sunderata khatm hone lagti hain. Aise mein is mausam mein honth phatne lagte hain aur kumhla jate hain. Kya aapke honth kale aur phatne lage hain. Aaiye jante hain kuch aise asaan tips aur gharelu nuskhe jinhe apna kar aap apne kale aur phate hontho ko gulabi aur mulayam bana sakte hain.
►Rojana lipstick lagana band karde.
► Dahi ke makkhan mein kesar milakar hontho par malne se aapke honth hamesha gulabi rahenge.
► Kacche Aaloo ko hontho par ragadne se hontho ka kalapan door hota hain.
► Dinbhar hontho ko chabaate na rahe aur na hi oos par baar baar jeebh phiraate rahe. Isse lips ki natural glow mein kami aati hain.
► Laung ke tel ko bhi lips par laga kar massage kar sakte hain. Isse bhi aapko gulabi honth milenge.
► Raat ko sone se pahle hontho par halka sa nariyal ka tel jaroor lagaye. Isse honth hamesha gulabi aur chamakdaar bane rahenge.
► Gulab ki pankhudiyo ko pees kar usme thoda glycerine milaye. Is mixture ko rojana apne hontho par lagaye, Isse bahut hi jaldi hontho ka kalapan door ho jayega.
► Kacche kheere ka ras banaye aur is ras ko apne hontho par lagaye. Aap is ras ko din mein kai baar lagakar hontho ko natural moisturizer pradan kar sakte hain.
► Kase huye nariyal ka doodh nikal kar hontho par lagaye. Isse honth gulabi rahte hain.
► Nabhi mein sone se pahle sarso ka tel lagaye.
► Aap hontho ke upchar ke liye burf ke tukdo ka bhi istemal kar sakte hain. Burf ke tukade ko ek patle kapde mein lapete aur gulabi honth pane ke liye ise apne hontho par lagaye.
►Darare hone par thoda shahad lekar, hontho par anguli se dheere-dheere maley. Kuch hi dino ke baad aapke lips pahle ke jaise mulayam aur chamakdaar ho jayenge.
► Acche pink lips pane ke liye Shahad aur nimbu ke saath jaitoon ka tel istemal kare. In teeno ko mila kar bam taiyaar kare aur rojana istemal kare.
► Malai mein chutaki bhar haldi mila kar dheere-dheere hontho par malish kare. Is nuskhe se kale honth phir se gulabi hone lagenge.
► Jharbery aur Petroleum Jelly ko mulayam gulabi honth pane ke liye istemal kare.
► Dhaniya ka ras, Gajar ka ras aur pudine ka ras mulayam aur gulabi hontho ke liye kafi faydemand hain.
Post a Comment