Header Ads

Phal-fruits ko taro-taza aur fresh rakhne ke tips.

fruits ko fresh rakhne ki tips.Office aadi mein kaam karne wale logo ko hafte mein ek din hi milta hain ki veh apne liye fruits khareed sake aur usay pure hafto tak chalate rahe. Yeh jante huye bhi ki baasi phal khana sehat ke liye accha nahi hain, lekin kuch logo ki yeh majboori ban chuki hain. Agar aap bhi oon majboor logo mein se ek hain toh hum aapki madad jaroor karenge, Yeh batane mein ki ghar mein phalo ko kaise taza rakha jaye. How Keep fruits fresh in home?

Phal-Fruits ko taza rakhne ke tips (phalo ko ghar mein kaise fresh rakhe) :-

• Jab aapko fridge mein kafi matra mein phal rakhne ho toh unhe acchi tarah se jaanch le ki unme se koi phal kharab ya phir chot laga hua toh nahi hain. Sade huye phal dusre acche phalo ko turant kharab kar sakte hain. 

• Citrus wale phal jaise Nimbu, Santra ya Mosambi aadi fridge mein rakhne par asaani se apna paani chhod dete hain. Isliye koshish kare ki unhe kas kar panni (polythene) mein lapet kar rakhe. 

• Kuch fruits par temperature ka bahut hi jyada asar padta hain. Isliye unhe fresh rakhne ke liye fridge ka istemal kiya jata hain. Lekin agar aapki fridge bhari huyi hain aur unme jagah nahi hain toh oon phalo ko ghar ki aisi jagah par rakhe jaha ka environment cool ho. 

• Isi tarah Strawberry ko agar fridge mein rakhna ho toh usay bina dhoye aur bina kaate hi rakhe. Varna yeh bahut jaldi paani sokhne lagta hain aur sadh jata hain. Saath hi iska taste bhi bilkul paani jaisa lagane lagta hain. 

• Aise phal jinhe aap pakne se pahle hi khareed laye ho oon phalo ko pakne ke liye fridge ke bahar hi rakhe. Aise phalo mein Pineapples, Banana, Mango aur pear shamil hain. 

• Kuch phal jaise kela ya ananas par thand ka bahut jyada asar padta hain. Isliye unhe fridge ke chilled temperature mein na rakhte huye bahar hi rakhe. 

 • Seb, Nashpati, strawberry, Ber aadi phalo ko fridge ki almariyo mein ek chhed wali panni mein rakhna chahiye, Jisse jama hua paani bahar nikal sake.