Header Ads

Kya sach-much mein Badam dimaag ko tez banata hain?

Kya sach-much mein Badam dimaag ko tez banata hain?

Aap shuru se hamesha yahi sunte aaye hain ki Badam khane se dimaag tez hota hain, Yaha tak ki hamari daadi-naani bhi yahi kahti hain ki badam khane se baccho ka dimaag tez hota hain. Apni puri life mein hum Badam ko sirf ek hi roop mein dekhte chale aaye hain ki yeh dimaag badhane wala dry fruit hain. Log jo kuch kahte hain , hame usay jane-anjaane sach manana padta hain. Aaj hum is article mein iski scientific hakikat janane ki koshish karenge.

Badam ke ander healthy poshak tatvo ki bharmaar hoti hain. Jo na kewal body ko healthy banane ke liye balki dimaag ke kaam karne ki power par apna asar daalta hain. Badam mein bahut saara protein paya jata hain. Protein na kewal sharir mein energy deta hain, balki dimaag ki koshikaon mein sudhaar la kar dimaag ko tez karta hain.

Badam ko sharir mein pratiraksha pranali ke kaam-kaaj ko banaye rakhne ke liye jana jata hain, kyonki isme Zinc hote hain. Zinc ek Anti-oxidant hota hain jo aapke khoon se free-radicals ko door karta hain. Iske alawa isme Vitamin B6 jaise poshak tatv hote hain. Jo dimaag ko badhaata hain. Aur phir Vitamin E bhi hota hain jo dimaag ki koshikaon ki umar badhne se rokta hain. Badam mein paya jane wala Omega-3 aur Omega 6 mentally level ko badhane mein madad karta hain aur Magnesium dimaag ki tantrikaon ko majboot karne ka kaam karta hain. Is badam mein bade gun hone ki wajah se ise brain food bhi kaha jata hain. Is dry fruit ke best result pane ke liye school ki exam ke samay roj subah khaye ya phir apne dimaag ki power badhane ke liye bhi aap iska sewan kar sakte hain.

Sachmuch mein Badam dimaag badhane ke liye ek brain food hain. Ise khane se sachmuch mein dimaag tez banta hain. Lekin kahawat yeh bhi hain ki “Akal Badam khane se nahi balki thokre khane se aati hain” lekin iska opposite kahawat yeh bhi hain “thokre khane ki taakat Badam khane se aati hain”.