Header Ads

Bijali bachnane ke tips.

Bijali bachnane ke tips.Bijali se chalne wale tamam tarah ki machines ka hum istemal karte hain. Aise mein bijali ka bill bethasa badhta ja raha hain. Aise hi kuch tips hum aapko batane ja rahe hain jinhe apna kar aap bijali ki bachat kar sakte hain aur apne bijali ke bill ko bhi kam kar sakte hain. Electricity saving tips in Hindi.

AC
 
- AC chalne ke liye thermostat ka khyaal rakhe. Thermostat temperature ko control karta hain. Ise remote ke saath set kiya jata hain. AC ke saath fan ka istemal kare. Aise mein aap uska thermostat 20 se 25 set kar bijali ki bachat kar sakte hain. 

- Temperature set karne ke baad jaise hi kamra thanda ho jata hain, vaise hi AC mein auto cut lag jata hain. 

- Air Filter ki safaai jaroori hain. Safaai har 15 din mein karte rahe. Isse cooling behtar tarike se hoti hain.

- Kamra air tight hona chahiye. Agar kamra garam hain toh pahle darwaje, window khol kar pankha chalaye, phir AC On kare. Isse kafi matra mein bijali ki bachat ki ja sakti hain. 

- A.C. chalane ke baad baar-baar darwaja na khole. Agar kuch der ke liye kamre se bahar jana ho toh AC band na kare, baar-baar on karne se bijali ki jyada khapat hoti hain. 

- Tadke 4 se 5 baje ke beech AC band kar de. Sirf pankhe se aapka kaam chal jayega. Koshish kare ki remote se timer set ho jaye,aise mein aapko AC band karne ke liye uthana nahi padega. 

Bulb

- Sabse bada energy saving device ghar ya office mein lage bulb hote hain. 

- Purane bulb ki jagah naya CFL ya LED ka istemal kare, Jo kaam 60 Watt ka bulb karega, Vahi kaam 15 Watt ka CFL karega. 

- Isse bhi jyada kifayati LED light hain. Halaki yeh mehanga hain. Lekin iski sabse acchi baat yeh hain ki iski life bahut jyada hoti hain aur yeh bijali ki bahut kam matra consume karta hain. 

 - 15 Watt ke night lump ki jagah LED bulb ka istemal kare. 

- Disposal ke waqt CFL light mein mercury jyada hoti hain, LED light mein iski matra kam hoti hain. Aise mein disposal ke waqt pollution kam hota hain. 

- CFL light ki safaai karte rahe, isse jyada roshini milti hain. 

- Ghar mein halke rango ka paint karwaya, Isse light ka reflection hota hain aur kam energy consume mein bhi ghar roshan dikhta hain.  

Fridge 

- Garam cheezo ko seedhe fridge mein rakhne se bache. Pahle unhe room temperature par aane de.

- Fridge ke regulator ko kabhi bhi high par adjust karke na rakhe, isse bijali ki khapat jyada matra mein hoti hain.

 - Fridge mein dhoos-dhoos kar saaman na bhare.

- Fridge ka darwaja baar-baar na khole aur kam se kam der ke liye khula rakhe.

- Auto Defrost wale fridge mein energy ki jyada khapat hoti hain. Waqt-waqt par manual defrost karne se bijali ki kam khapat hoti hain aur fridge bhi behtar dhang se kaam karta hain.

Mixer Grinder 

- Mixer grinder ko puri tarah se bharkar na chalaye.

- Thoda-thoda karke peese.

- Ek hi saath kafi waqt chalane se bache, isse motor jalne ka khatra rahta hain.

- Bush aadi ki safai aur uski checking karte rahe.  

Washing Machine 

- Kapde dhone ke liye garam paani ka istemal na kare.

 - Aaj kal ke washing powders ke liye garam paani ka hona jaroori nahi hain.

 - Kapde washing machine ke dryer mein na sukha kar khuli hawa mein sukhaye.  

TV
 
- Purane TV ki jagah naya LED ya LCD khareede.

- Isse na kewal behtar quality ka picture milega, Balki bijali ki bachat bhi hogi.

- Aamtaur par agar purane TV ka bill 100 rupaye aata hain, toh naye LED ya LCD ka bill 40 se 60 rupaye hi aayega.

- TV ko remote se band karke standby mein na chhode. Usay switch se band kare. Aisa na karne se lagatar TV mein bijali ki khapat hoti rahti hain. Choti si saavdhani barat kar aap badi bachat kar sakte hain.  

Kya hain star rating ka matlab
 
- Bureau of Energy Efficiency ki aor se star rating di jati hain.

- 1 se 5 tak star diya jata hain. Energy consumable ke hisaab se ise categorized kiya gya hain.

- Star labelling refrigerator, AC aur tumblers floor cents aur transformer ke liye jaroori hota hain.

- Ek anumaan ke mutabik 5 star wale AC mein sabse kam bijali ki khapat hoti hain.

 - Bharat mein star rating 1 se 5 tak hain.  

Ise yun samjhe :-
 
1 Star wala AC, Fridge ya TV jyada bijali ki khapat karta hain.
2 star mein isse kam
3 star mein isse bhi kam
4 star mein 3 star se bhi kam
5 star wale mein sabse kam bijali ki khapat hoti hain.  

Misaal ke taur par agar 1 star wala AC agar ek din mein 10 unit bijali consume karta hain, 5 star wala 3.5 se 4 unit bijali hi consume karta hain. Agar 1 star wale AC ka bill agar 100 rupaye aata hain toh 5 star wale mein sirf 69 rupaye ka aata hain. Zahir hain ki star rating wale product aapki jeb ko dheela nahi hone dete hain.
 
Bijali bachane ke kuch common tips :-  

- Ghar aur office mein jaroorat na hone par bijali ke tamam gadgets band kar de.

- T.V., Computer aur AC ko remote se band karne ke baad, uske switch se band karna na bhoole.

- Sirf remote se band karne ke baad TV ki picture Tube ON hi rahti hain. Aise mein bijali ki supply lagatar hoti rahti hain.

 - Standby mode se band karne se bache.

- Star rating wale products khareedne se bijali ki kafi bachat hoti hain.

 - Laptop, Cellphone aur digital camera ki battery charger ko board se switch off kare. Isse badi matra mein power save ki ja sakti hain.

 - Ghar ke darwaje aur khidakiyo ko khula rakhne se roshini ander aati hain, tab aap faltu tube aur bulb band kar sakte hain.

 - AC , Cooler ke aage koi bhi furniture na rakhe.

- Jab ek saath baithe ho toh dusri jagah ki light, Fan aur AC band karde. Ek saath baith kar TV aadi ka maza le.