Header Ads

Money save aur earn karne ke tips.

Paisa bachane aur kamane ke tips
Paisa hain toh log puchte hain,"Kaisa hain". Rupaya-paisa bhala kise nahi acche lagte hain. Jitna mile utna hi kam? Isliye hum aapko bata rahe hain kuch aise simple tips, Lekin jabardast tarike, Jinse aap paisa bacha bhi sakte hain aur kama bhi sakte hain. (Money Saving & earning tips in Hindi)

1. Kuch naya sikhe :- Kuch naya sikhe, ho sake toh anokha ho, jo aapki skills mein badhotari kare. Agar aapke paas kuch extra hain, toh aap kuch extra kama bhi sakte hain. Ho sakta hain kisi din aapki banayi hui koi painting lakho mein bik jaye.

2. Chote-chote kharcho se bache :- Kabhi Cold-drinks khareed li, toh kabhi chips, Iss tarah ki cheezo ko khareedne se pahle soche ki kya wakai inki aapko jaroorat hain.

3. Dekha-dekhi na kare :- Agar aap aise dosto se gheere hain, Jinko baat-baat mein paisa udaane ki aadat hain, toh please inki dekha-dekhi na kare. Aapka paisa aapka hain kisi padosi ka nahi.

4. Credit card se door rahe :- Credit card ki latt jitni jaldi ho, utni jaldi chhode, Agar aapko yeh latt nahi toh yeh latt na lagaye toh hi aapke liye faydemand hoga.

5. Youtube Channel banaye :- Agar aapne abhi tak Youtube channel nahi banaya toh aaj hi apna Youtube channel create kare aur usme kuch creative videos upload kare, Jo jyada se jyada hits batore sake. Isse aapko fame bhi milega aur paisa bhi milega. Lekin aapke videos original hone chahiye.

6. Job change kare :- Annual Increment ke bharoshe baithe rahe, tab toh aap amir hone se rahe. Isliye jaldi-jaldi job switch kare.

7. Right Profession choose kare :- Agar aapke liye paisa hi mayne rakhta hain toh aap apne profession ke saath compromise kar sakte hain. Aksar creative job mein paisa kam milta hain. Unki jagah financial sector mein paisa jyada milta hain, toh aap soch-samajh kar apna pesha badal sakte hain, Lekin pahle acchi-tarah se soch le.

8. Amir insaan se shaadi kare :- Aur agar aap apni koi aadat badal nahi sakte hain toh aisa koi amir insaan doondhe aur usse shaadi kar le. Amir hone ka isse aasaan aur isse chota shortcut aur koi nahi ho sakta hain.

9. Lottery Ticket :- Aap chahe toh roj ek lottery ticket bhi khareed sakte hain. Kya pata kisi din aapka bhi number lag jaye.

10. Kamaai se kam kharch kare :- EMI ki race mein shamil na ho. Jitni, Income hain utna hi kharch kare. Online shopping kare toh coupons aur sale vagairah ko dhyaan mein rakh kar kare.

11. Purana samaan beche :- Kai baar hum ghar mein aisi cheeze jama kar lete hain, Jinse ghar bhar jata hain aur inka koi fayda bhi nahi hota hain. Isliye accha yehi hain ki aap aisi purani cheezo ko bech de. Paisa bhi milega aur ghar mein kuch jagah bhi nazar aayegi.