Adrak ki chai ke nuksaan.
Ginger tea masaledaar drink hain jo ki pure Asia mein din bhar pee jati hain aur pure world mein ise pasand kiya jata hain. Yaha tak ki prachin ayurved aur Chinese medicine mein bhi kareeb 3000 saalo se Adrak ka istemal remedy ke roop mein kiya jata raha hain. Aur Adrak ki jado se taiyaar ki jane wali chai Apach, Sujan, Jalan, Migraine, Nausea, Diarrhea aur kai tarah ki bimariyo ke liye natural treatment ke taur par istmal ki jati hain.
Adrak ki jad ki chai Potassium, Magnesium, Vitamin B6 aur Vitamin C se bharpoor hoti hain. Iske saath hi health ke liye jaroori oils jaise Gingerol, Zingerone, Shogaol, Farnesene, beta-phellandrene, paradols hota hain. Yani aap kah sakte hain ki Adrak ki chai peene se sehat ko kai saare fayde hote hain. Lekin jaisa ki ek mashoor kahawat hain, "kisi bhi cheez ki ati buri hoti hain." Aur Adrak bhi isse bacha nahi rah sakta hain. Har jadi buti ki tarah Adrak ki chai ke bhi side-effects ho sakte hain.
Jyada matra mein Adrak ki chai peene se kuch logo ke pet kharab hone, Seene mein jalan, Mooh mein jalan aadi ki preshani ho sakti hain.
Ghar par Adrak wali chai ko banana kafi asaan hain. Adrak ko acchi tarah se dho kar sukha le. Aap adrak ko chhil kar usay chote-chote tukdo mein kaat le. Ek-Dedh cup paani ko ubaale aur usme Adrak ke tukde daal de. Aag ko dheema kar de aur bartan ko dhak de. Ise 5 se 15 minutes tak yunhi rahne de. Chai ka swaad badhane ke liye aap isme Chini, Nimbu, Chai patti, Shahad, Cream ya koi dusri cheez mila sakte hain. Chai ko chhane aur garma-garam piye. Iske saath hi aap Ready-made Ginger Tea bhi bazaar mein available hain aur aap Adrak ko capsule ke roop mein bhi le sakte hain.
Adrak ki chai peene ke nuksaan :- (Side effects of Ginger Tea)
Neend na aana :- Adrak ki chai peene se bechaini aur anindra ki shikayat ho sakti hain. Sone se pahle Adrak ki chai ko peene se bachna chahiye, kyonki isse kuch logo ki neend kharab ho sakti hain. Adrak ki chai peene ke baad aap kafi der tak so nahi payenge. Kyonki isse seene mein jalan ho sakti hain. Aur Neend na aane ki wajah se aapko kai dusri problems ho sakti hain.
Pregnancy mein :- Pregnancy mein Adrak ka sewan karna chahiye ki nahi, Yeh zara controversy matter hain. Pregnant women ko Adrak ka sewan na karne ki salah di jati hain, Kyonki aisa mana jata hain ki isse garbh mein pal rahe bacche par bura asar padta hain. Vahi kai jankaar yeh mante hain ki morning sickness ke liye Adrak ki chai bahut madadgar hoti hain. Traditional Chinese doctors pregnancy ke dauraan Adrak ke sewan ko maa aur bacche dono ke liye khatarnaak batate hain. Unka yaha tak manana hain ki isse garbhpaat bhi ho sakta hain. Toh, Behtar yahi hain ki pregnancy mein Adrak ki chai ka sewan karne se pahle apne doctor ki salah jaroor le le.
Jalan, Diarrhea aur matli :- Adrak ki chai ko jyada peene ki wajah se aapka hajma kharab ho sakta hain. Result ke taur par mooh mein jalan, Diarrhea aur yahan tak ki seene mein jalan ki preshani ho sakti hain. Iske saath hi iske jyada istemal se human body mein Acid bhi paida ho sakta hain, Jisse Acidity hoti hain. Aur toh aur Diabetes ke mareezo ko kisi bhi roop mein Adrak ka jyada istemal nahi karna chahiye. Kyonki Adrak sharir mein sugar level ko kam kar deta hain , jisse Hypoglycemia ho sakta hain.
Behoshi :- Surgery se pahle Adrak ki chai peena accha nahi hota, Kyonki Adrak behoshi ke saath di jane wali dawa ke saath reaction karta hain. Jyada lambe samay tak Adrak ki chai peene walo ko bhi yahi preshani ho sakti hain. Anticoagulants ki reaction ke natije ke taur par vyakti ko simple reaction, Jakho aur khoon bahne se ubarne mein preshani hoti hain. Toh, Kai doctor surgery se kam se kam ek hafte pahle Adrak wali chai ka sewan band karne ki salah dete hain.
Khoon patla aur disorder :- Khoon ko patla karne wali dawa aur dusri kisi bhi cheezo ke saath Adrak ka istemal nahi karna chahiye. Isme Ibuprofen aur Aspirin jaise dawaayein shamil hain. Iske saath hi veh log jo high blood pressure ki dawa kha rahe hain, Unhe kisi bhi roop mein Adrak ka istemal nahi karna chahiye. Kyonki yeh blood pressure ko kam kar sakta hain, Jisse heart palpitation ki problem ho sakti hain. Adrak ki jad blood plates ke saath action karti hain, Jiski wajah se hemoglobin jamne lagta hain. Adrak ke istemal se logo mein Hemophilia jaise rakt-vikaar ho sakte hain. Toh Adrak ki chai peene se pahle doctor se jaroor baat kare.
Kharab pet :- Matli ke ilaj mein istemal hone ke baad bhi, Khali pet Adrak ki chai peene ki wajah se pet kharab ho sakta hain. University of Maryland Medical Center ke mutabik aisa karne se Gastrointestinal kharab ho jata hain. Adark ki chai ki sahi matra har aadmi ke lihaaz se alag-alag hoti hain. Toh aise mein yeh kahna zara mushkil hain ki iss problem se bachne ke liye Adrak ki chai ki kitni matra upyogi sabit hogi.
Gallstone :- Pitt ki patthari ke mareez doctor se acchi tarah se baat-cheet karne ke baad hi Adrak ka istemal kar sakte hain, Kyonki iske side-effects hone ke khatre bahut jyada hote hain. Pitt ki patthari ke mareezo mein pitt ka nirmaan kafi dardnaak ho sakta hain. Adrak pitt ke nirman mein madad karta hain, Jisse haalat aur kharab ho sakti hain.

Post a Comment