Saavdhaan in 10 tariko se smartphone ka na kare istemal.
Smartphone aaj insaano ki zindagi ka ek ahem hissa ban chuka hain. Jis tarah se technology ka vikas hota chala ja raha hain. Aise mein market mein ek se badh kar ek smartphone milane lag pade hain. Users apni pasand aur jaroorat ke hisaab se acche handset ko choose karte hain. Lekin agar in devices ko galat tariko se istemal kiya jaye, toh yeh bada khatra ban sakte hain.
1) Clean it :- Smartphone dekhne mein kafi attractive hote hain, lekin is par lagne wale gandagi, dhool aadi se hamesha bacha kar rakhna chahiye. Yeh aapki health ke liye bhi kafi faydemand ho sakta hain. Din mein kareeb 3 se 4 baar phone ko kisi kapde ya cotton se saaf kiya jaye.
2) Zero percent :- Jab kabhi bhi battery 0 percent tak pahuchati hain, toh samajh lijiye battery ki umar 5 minutes kam ho gyi. Ji haan smartphone ki battery ko 0 percent hone se pahle charging mein laga de
3) Brightness :- Smartphone ki brightness ko kabhi bhi high nahi rakhni chahiye. Khas taur par pure 24 ghante lagatar bilkul bhi nahi. Darasal smartphone ek pocket size computer hota hain, jo ki ek ordinary handset se kafi jyada high energy consume karta hain. Aise mein brightness ko jitna ho sake utna kam rakhe.
4) Use the right charger :- Smartphone accessories aajkal kafi sasti hoti chali ja rahi hain. Aise mein agar aapka charger kharab ho gya toh iske liye upyukt charger hi khareede. Kyonki galat charger phone ke internal frame ko damage kar sakta hain.
5) Push notifications :- Aksar dekha jata hain ki users kai apps mein push notifications ko on rakhte hain. Jo ki ek galat tarika hain. Kisi bhi smartphone mein email se lekar dusre different apps ke messages aate rahte hain. Aise mein message aate hi aapki suvidha ke liye screen par show hone lagta hain, lekin kanhi na kanhi yeh battery ko consume kar rahe hote hain. Aap ise bahut jaroori notification mein hi ise on rakhe varna ise disable kar de.
6) Overcharged :- Charging ko lekar users laparavaahi karte hain. Jyadatar users apne smartphone ko sahi tarike se charge nahi karte hain. Kisi bhi handset ko charge karne ka sabse accha tarika yeh hota hain. Jab phone mein 10% battery bachi ho toh plug-in kare aur 100% hone se pahle ise nikaal le. Dhyaan rakhe ke kisi bhi smartphone ko 100% charge nahi karna chahiye. Isse battery ki capacity par bura effect padta hain. Iske alawa kai log overcharging kar lete hain, jisse device ko nuksaan pahuchata hain.
7) Wireless chargers :- Agar aap wireless charging karte hain toh turant alert ho jaye. Yeh safe tarika nahi hain. Darasal wireless chargers kafi jyada matra mein heat produce karte hain. Smartphone mein aamtaur par lithium ion battery ka use kiya jata hain, jo heat ka sabse kharab conductor mana jata hain.
8) GPS TMI :- Yeh bilkul bhi jaroori nahi hain, ki aap sabhi apps ke liye GPS enable rakhe. Jo apps information sharing aur update se jude hain, sirf unhe hi GPS se jode rakhe.
9) Bluetooth :- Bluetooth aur Wi-Fi ki jab jaroorat ho tabhi on rakhe. Kyonki inke on rahne se battery consumption badh jata hain aur extra pressure padta hain.
10) There’s An Off button :- Android smartphone se lekar Apple ke iPhone tak, Sabhi users battery ki problem se jujhate rahte hain. Market mein abhi tak aisa Smartphone available nahi hain, jiski battery lagatar 24 ghante chalti ho. Aise mein users ko dhyaan rakhna hoga, ki jitni jaroorat ho , utna hi smartphone ka istemal kare. Baki samay ise Off karke rakhe.
Post a Comment