Header Ads

Safar ke dauran in cheezo ko na khaye.

Safar ke dauran in cheezo ko na khaye.Dast kisi ko bhi preshan kar sakte hain, Khas taur par tab jab aap kanhi ghoomne ke liye jaye. Isliye kanhi  ghoomne jate waqt apne khane peene ka khyaal jaroor rakhe. Jaisa ki jitna ho sake jyada tale-bhune khane se parhez kare, Kyonki yeh sabse jyada aapke pachan tantra ko nuksaan pahuchaata hain. 

Agar aapka pet theek nahi hoga toh aapke ghumne ka maza kirkira ho sakta hain. Saath hi aap jaha ghoomne ja rahe hain, Vaha aap theek se ghoom bhi nahi payenge. Isliye aaj hum aapko kuch aisi cheezo ke baare mein bata rahe hain, Jinhe aap safar (Journey, Yatra) ke dauran khane se bache. 

Pet bhar ke khana na khaye :- Jab aap lambe samay ke liye safar karte hain toh yeh sochte hain ki hamara pet puri tarah se bhara hona chahiye, jisse hame bhookh na lage. Lekin aap galat soch rahe hain. Iske bajaye aap kam khaye aur halka bhojan le. 

Paneer aur Cold meat :- Jaldi taiyaar hone wali meat sandwich vaise toh swasth vardhak hoti hain aur jaldi ban bhi jati hain. Lekin ise khane se kuch bure natize bhi hote hain. Inme bacteria bahut jaldi panpane lagte hain, Jo aapko safar ke dauran bimaar kar sakte hain. Aur inse hone wali bimari kafi lambe time ke baad theek hoti hain. 

 Milk aur milk se bane product :- Agar aap car se safar kar rahe hain toh doodh aur doodh se bane products ko na khaye, kyonki inhe khane se aapko dast ki shikayat ho sakti hain. 

Tali bhuni huyi cheezo se bache :- Ham sab jante hain ki tala hua bhojan kitna nuksaan-deh hota hain. Hamari zubaan ko toh bahut pasand hain par pet ke liye yeh utna hi khatarnaak bhi hain. Isliye yatra ke dauran inhe khane se bache. 

Sharab :- Sharab ke baare mein hum sab jante hain, ki agar ise aam dino mein bhi piya jaye toh yeh kitna nuksaan kar sakti hain. Aur sochiye agar aap safar karte waqt ise piyenge toh yeh kya karegi. Agar aap Plane se ja rahe hain toh bhool kar bhi sharab mat pijiyega nahi toh hangover aur uske baad dehydration bahut nuksaan karega. 

Non-Veg:- Yatra karte waqt aisa bhojan kare jo asaani se pach jaye. Na ki aisa jo pachne mein samay lagaye, Jaise Machli, Chicken, Meat. Inhe hajam hone mein kafi samay lagta hain. Isliye jitna ho sake shakahari bhojan kare.