Header Ads

Zameen par baith kar khana khane ke fayde.

jameen par niche baith kar bhojan karnaHamare buzurgo ne jo bhi tradition banaye hain, Unke peeche kuch na kuch religious ya scientific reason hain. Inme se kuch tradition aise hain jinka seedha sambandh manushya ke swasthya se hain. Aisi hi ek prampra hain jameen par baith kar bhojan karne ki. Aaj kal ke zamane mein jyadatar log zameen par baith kar khana nahi khate hain, Jabki kuch log aise hain jo T.v. ke saamne baith kar ya phir bistar par baith kar khana khana pasand karte hain. Bhale hi yeh aapke liye aaramdayak ho, Lekin health ke najariye se yeh aapke liye theek nahi hain. Hamare bujurgo ne jaroor hi soch kar jameen par baith kar khana khane ki pratha ko final kiya hoga. Jameen par baith kar khana khane ki aadat health ke liye bahut hi faydemand hain, Aaiye jante hain Jameen par baithkar bhojan karne se hame kya-kya labh hote hain.

Aapka dhyaan khane mein rakhta hain :- Jab aap family ke saath jameen par baith kar khana khate hain, toh aapka dhyaan khane mein rahta hain. Yeh kewal aapke dhyaan ko khane par focus nahi karta, balki khana khate samay behtar vikalp ko choose karne mein bhi madad karta hain, Kyonki is mudra mein aapka mann bahut hi shant aur aapka sharir phoshan ko accept karne ke liye ready rahta hain. Jameen par baith kar bhojan karne ki pratha sahi matra mein khana khane ke liye aur sahi tarah se bhojan karne ke liye sabse acchi hain.

Sharir ko lacheela banata hain :- Jab aap padmaasan mein baithate hain, toh aapki nichli peeth, pet ke aas-paas aur pet ki maanspeshiyo mein khichaav hota hain. Jiske karan digestive system aaram se apna kaam kar paata hain. Iske alawa yeh position kisi bhi tarah se pet par pressure nahi daalti hain, Jisse aapko behtar khane mein aur khane ko sahi tarah se pachane mein madad milti hain.

Umar ko badha sakta hain yeh tarika :- Ek research mein yeh paya gya hain ki jo log zameen par baith kar khana khate hain, Unki lambe samay tak zinda rahne ki sambhavna jyada hoti hain. Kyonki is position se uthane ke liye adhik lacheelepan aur sharirik shakti ki jaroorat hoti hain.

Dil ko majboot banata hain :- Jab aap jameen par baith kar khana khate hain toh blood circulation sudharta hain. Is tarah dil badi asaani ke saath digest karne mein madad karne wale body ke sabhi parts ko blood supply karta hain, Lekin jab aap Kursi (Chair) par baithkar khana khate hain,toh yaha blood circulation opposite hota hain. Isme circulation pairon tak hota hain, Jo ki khana khate samay jaroori nahi hota hain, Jabki jameen par baith kar khana khane se aapko majboot maanspeshiyo ke saath ek healthy heart milta hain.

Wajan control mein rahta hain :- Jab aap sukhaasan mein baithate hain, toh aapka dimaag apne aap shant ho jata hain. Veh behtar dhang se bhojan par concentrate kar paata hain. Dying table ki bajaye sukhaasan mein baith kar khane par khane ki speed slow hoti hain. Yeh pet aur dimaag ko sahi samay par tripti ka ahsaas karwata hain. Is tarah se aap sukhaasan mein baith kar khane par aap jaroorat se jyada khane se bachte hain.

Jodo ko lacheela banata hain :- Padmaasan aur Sukhaasan ek aisi mudra hain jo aapke pure sharir ko labh pahuchati hain. Yeh kewal aapke digestive system ko behatar banane mein hi nahi madad karte, Balki aapke jodo ko komal aur lacheele banaye rakhne mein bhi madad karte hain. Gathiya aur haddiyo ki kamjori jaise rogo se bhi bachate hain. Ghutne, Takhne aur Kamar ke jodo ko lagatar jhukne ki wajah yeh unhe lacheela aur bimariyo se free rahne mein madad karta hain. Lacheelepan ke saath jodo mein chiknaai aati hain, Jisse jameen par baithne mein asaani hoti hain. 

Parivaar ko bandhta hain :- Aamtaur par zameen par baithkar khana khane ki pratha ek family activity hain. Sahi samay par agar pura parivar ek saath khana khaye toh aapsi ekta badhti hain. Apne parivaar ke saath judne ke liye yeh bahut accha hain, Kyonki jameen par baith kar bhojan karne se aapka mann shant aur sukhad rahta hain, Isliye yeh aapne parivaar ke saath judne ka ek behatrin wajah ban jata hain.

Dimaag ko rakhta hain cool :- Jo log jameen par baith kar khana khate hain. Unka dimaag tension free rahne ki sambhavna jyada hoti hain, Kyonki yeh dimaag ko relax aur tantrikaon ko shant karta hain. Ayurved mein mana gya hain ki mann ko shant rakh kar bhojan karne se pachan behtar hota hain. Aur kuch mamlo mein logo ko swaad ke saath bhojan karne mein bhi madad karta hain.

Digestive system sudharta hain :- Aam taur par aap jab jameen par baithate hain toh sukhaasan mein baithate hain, Jo ki pachan mein madad karne wali mudra hain. Jab aap bhojan karne ke liye is position mein baithate hain toh pet se judi samsyaein kam hoti hain. Iske alawa jab aap jameen par baith kar khana khate hain toh normally khana khane ke liye aage ki taraf jhukte hain aur khane ko nigalne ke liye vaapis pahle wali avastha mein aa jate hain. Iss tarah lagatar aage aur peeche ki aor jhukne se aapke pet ke muscles active rahte hain. Saath hi yeh pet mein acid ko bhi badhata hain. Iss tarah aapke bhojan ko pachana bahut asaan ho jata hain.

Samay se pahle budha nahi hone deta :- Khana khane ka yeh traditional tarika aapko samay se pahle budha nahi hone deta hain. Kyonki is position mein baith kar khane se reedh ki haddi aur peeth se judi problems nahi hoti hain. Saath hi, jo log kandho ko peeche dhakelte huye galat mudra mein baithne ke karan kisi tarah ke dard se preshan hote hain. Veh samsya bhi iss aasan mein baith kar khana khane se door ho jati hain.