Header Ads

Solar energy hain desh ka bright future.

Kya hain solar energy Bijali ki badhti keemato ne aam aadmi ke budget ko bigaad kar rakh diya hain. Aise mein solar energy logo ke liye bahut hi accha option ban kar saamne aayi hain. Isse na sirf bijali ka bill kam kiya ja sakta hain, balki grid energy se dependent kam kiya ja sakta hain. Yeh environment aur sehat ke liye bhi faydemand hain. 

Kya hain solar energy :- 

Abhi tak suraj ki garmi se jaha kapde, papad aadi sukhaye jate thay, vahi ab isse bijali ki supply bhi mumkin ho rahi hain. Solar panel dwara solar energy ko electricity mein convert kar diya jata hain. Iske liye panel ko chhat par rakha jata hain, jaha uspar suraj ki seedhi dhoop aati hain. Gaurtalab hain ki apne desh mein 250-300 din suraj nikalta hain, jiski wajah se yaha solar energy ka future bright hain.

Solar energy se chalane wale gadgets :- 

Solar energy par based products suraj ke hone par bijali paida karte hain. Kadi dhoop mein yeh tezi ke saath kaam karte hain, jab ki kam dhoop hone par inke kaam karne ki capacity par asar padta hain. Baarish ke dino mein yeh kaam nahi karte hain, lekin oos situation se nipatne ke liye jyadatar products mein grid se bijali prapt karne ka vikalp bhi hota hain yani ki unhe bijali se bhi chalaya ja sakta hain. Yaha hum aapko solar energy se chalne wale kuch aise hi products ki jankari denge, jinka istemal karke aap bijali ki bachat karne ke saath environment sanrakshan mein bhi yogdaan de sakte hain.

1. Garden aur street light :- Solar energy se chalne wali tamam tarah ki garden aur street light bazaar mein available hain. 

Fayde :- Agar aap ghar ke bahar solar energy se chalne wale garden light ka istemal karte hain, jo kifayati hone ke saath saath bahut upyogi bhi hain. Yeh light din bhar charge hone ke baad 5-6 ghante jalti hain. Iske alawa bazaar mein solar energy se charge hone wali street light bhi available hain, jo din bhar charge hone ke baad sham ko jal jati hain aur subah tak jalti rahti hain. Garden light 2 saal tak chal jati hain aur street light 10 se 15 saal chalti hain.

Kaam karne ka tarika :- yeh light din bhar suraj ki roshini se charge hoti rahti hain aur raat ke waqt oos energy ka prayog karke jal jati hain.

Keemat :- 
Garden light :- 250-300 rupaye  
Street light :- 11500 se 13500 Rupaye.

2. Solar Cooker :- LPG ke badhte daamo se jeb par padh rahe bojh ko kam karne ke liye solar cooker ka istemal kiya ja sakta hain. Solar cooker 2 tarah ke hote hain – box type aur dish type. Agar ghar mein kam member hain maslan 3 se 4 member. Toh box type cooker ka istemal kiya ja sakta hain. Jabki dish type solar cooker oon gharo ke liye jyada faydemand hain, jaha rojana 15-20 logo ka khana banta hain. Isme aap talne ka bhi kaam kar sakte hain.

Solar cooker ka istemal jyada asaan aur suvidhajanak hota hain. Isme daalo, chawal, rajma aur sabziyo aadi ko ubaala ja sakta hain. Iske alawa cake aadi bhi bake kiye ja sakte hain. Moongfali aur popcorn aadi bhi bhoone ja sakte hain. Isme non-veg bhi boil kiya ja sakta hain. Isme koi mehnat nahi karni padti. Bas jo pakana hain usay subah rakhkar chhod dijiye, yeh khud pakta rahega. Yeh working logo ke liye kafi kargar hain. Subah kaam par jane se pahle isme khana rakh dijiye. Vapis aa kar yeh aapko garma-garam milega kyonki pakne ke baad yeh hotcase ka kaam karta hain.

Kaise kaam karta hain :- 

Solar cooker mein khane ki cheez ubaalne ke liye ise suraj ki roshini mein rakh dete hain. Iske baad jo bhi pakana hain, usay daal dete hain. 3-4 ghante mein khana ban jata hain. Iski khasiyat yeh hain isme bana khana paushtik aur swadisht hota hain, kyonki yeh dheere-dheere banta hain. Yeh daam mein bhi kafi kifayati hain. Iski keemat aur aam cooker ki keemat mein jyada fark nahi hain. Iski life jyada hone ke karan yeh lambe samay tak LPG ki bachat karta hain. Solar cooker 20 se 25 saal tak chalta hain.

Keemat :- 
Solar cooker :- 4000-4500 rupaye  
Aam cooker :- 2000 se 3000 rupaye.

3. Solar Water Heating system :- Bharat mein launch huye solar products mein yeh sabse purana hain. Ghar mein 100-300 litre ka system kafi rahta hain. Isse jyada capacity wale system Hotels, Restaurant, Hospital, Guest house aadi mein lagaye jate hain. Is system ki khasiyat yeh hain ki ise ek baar laga lene ke baad ispar koi kharch nahi karna padta hain. Aaj kal aise solar heating system bhi aa rahe hain jinme bijali ke element bhi lage hote hain. Aise mein yeh solar energy na mauzood hone par grid energy ka bhi istemal kar sakte hain. South India mein log iska khoob istemal kar rahe hain, Lekin north India mein iska prachalan aamtaur par nahi hain.

Iska istemal paani garm karne ke liye kiya jata hain. Solar water heating system se huye garam paani ka istemal nahane, kapde dhone, khana pakane, bartan saaf karne jaise kaamo mein kiya jata hain. Solar water heating system ki life sabse jyada hoti hain aur kuch hi saalo mein iski lagat ko vasoola ja sakta hain. 100 Ltr. Tak ka water heating system electronic geezer ko replace kar sakta hain aur isse salana lagbhag 1500 unit bijali bachai ja sakti hain. Iske alawa yeh har saal 1.5 ton carbon dioxide ko paida karne se rok sakta hain. 20-25 saal tak iski life hoti hain.

Kaise kaam karta hain.

Solar water heating system ko chhat par lagaya jata hain. Iske alawa flats mein ise khidaki aadi par bhi lagaya ja sakta hain. Garam paani system mein hi mauzood tank mein store hota hain, jo solar energy uplabadh na hone par bhi 24 hours tak garm bana rahta hain. Isme copper plate lagi huyi hoti hain, jisse paani tezi ke saath garm hota hain.  

Keemat :- 
100 Ltr. Ki capacity wale system :- 30,000 rupaye.  
250 Ltr. Ki capacity wale system :- 80,000 rupaye.  

4. Solar Geezer :- Paani garm karne ke liye solar geezer ka upyog kiya ja sakta hain. Solar geezer ka istemal kar bijali ki bill mein kafi katauti ki ja sakti hain kyonki bijali se chalne wale geezer mein bijali bahut consume hote hain. Solar geezer par government ki taraf se 30% ki subsidy bhi di jati hain, Lekin yeh 3 mahine ke baad milti hain. Subsidy ke liye solar geezer ko khareedte waqt apply kiya ja sakta hain, jiske 3 mahine baad government ke dwara cheque mil jata hain.  

Isme tube light lagi huyi hoti hain jo paani garm karti hain. Solar water heating system aur isme is tube light ka hi antar hain. Solar geezer mein solar water heating system ke compare paani dheere-dheere garam hota hain, lekin yeh usse sasta padta hain. 5-6 logo ke liye lagbhag 250 ltr. Ka geezer theek rahta hain. Isme ek extra back up rode bhi aati hain jo tank mein paani ko 2-3 din tak garam rakh sakti hain. Iski life 15-20 saal tak hoti hain.

Keemat :- 
100 Ltr ki capacity wala ( 2 logo ke liye ) :- 14,500 Rupaye.  
250 Ltr ki capacity wala (5-6 logo ke liye) : - 40,000 Rupaye.  

5. Solar Inverter : Bharat mein bijali jane ki samsya aam hain. Solar inverter aise kai areas ke liye bahut hi upyogi hain. Solar inverter ke jariye grid se chalne wale inverter ke bill se bacha ja sakta hain. Inka istemal bhi rojana kiya ja sakta hain, jisse bijali ka bill bach sake.  

Aam taur par gharo mein lagbhag 1 Kilowatt ke inverter ka istemal kiya ja sakta hain jisse 6 Lights, 4 Fans, 1 Computer aur 1 TV 8 ghanto tak chalaya ja sakta hain. Isse kam power ke inverter ka istemal karna ho toh 650 watt ke inverter ka istemal kiya ja sakta hain, Jisme 2 fans, 2 CFL aur 1 TV set chalaya ja sakta hain. Solar inverter ke solar module ki life toh lambi hoti hain lekin iski battery 4-5 saal mein badala jata hain. Aajkal solar inverter grid supported bhi aate hain jinhe solar energy na milne par grid energy ke jariye bhi charge kiya ja sakta hain. Vaise solar energy se charge karne par yeh lambe samay tak chalte hain. Solar module ki life 20-25 saal tak hoti hain.


Keemat : 
650 watt solar inverter :- 30,000 rupaye  
1 Kilowatt solar inverter :- 60,000 rupaye.

Kuch aur products :- 

Home Light System :- Home light system mein 2 bulb, 1 fan, mobile charger aur solar panel hota hain. Iske saath hi ek system aata hain jo solar panel se milne wali energy ko store karta hain. Dinbhar charge hone ke baad bulb aur fan 5-6 ghante tak chal jate hain. Home light system ka shaharo mein kam istemal hota hain, lekin gaanvo mein inki kafi demand hain. Iski keemat 4200-11000 rupaye hain, Jo pankhe ke size aur panel ki capacity par depend hain.  

Solar Lantern :- Market mein kai tarah ke solar laalten available hain jo din bhar solar energy se charge hone par 5-6 ghanto ka battery backup dete hain. Aaj kal solar laalten ke saath mobile charger ka bhi option hain. Bazaar mein solar energy ke saath hi grid se charge hone wale solar lantern bhi available hain. Yeh dedh se 2 saal tak chal jati hain. Iski keemat 2000 rupaye tak hain.
  
Solar torch :- Solar energy se chalne wali torch mein radio, blinker aur mobile charger bhi attach milta hain. Iski keemat lagbhag 1400 rupaye hain aur yeh dedh se 2 saal tak chal jati hain.
  
Mobile charger :- Solar energy se chalne wale mobile charger bhi bazaar mein available hain. Inke saath mobile ke connector bhi milte hain. Bazaar mein iske 2 option hain :- ek battery ke saath aur ek bina battery ka charger. Battery wale charger se kisi bhi samay kanhi bhi mobile charge kar sakte hain, jabki bina battery wale charger se mobile ko charge karne ke liye dhoop ka hona jaroori hain. Rojmarra ki zindagi mein safar karte samay in chargers ka istemal kiya ja sakta hain. Battery wale charger ki keemat 950 rupaye aur bina battery wale charger ki keemat 550 rupaye tak hain. Yeh 5 saal tak chal jate hain.

Kaha se khareede :- Aapke shahar ke electronic market mein solar products ki tamam dukaane hain. Iske alawa tamam solar products ke dealer online bhi samaan book kar rahe hain. Isme saamaan aapke ghar par hi deliver kar diya jata hain. Solar energy se chalne wale air conditioners, TV, fridge aadi ka nirmaan bhi kiya ja chuka hain, lekin philhaal yeh abhi available nahi hain. Solar energy ke experts batate hain ki solar energy se chalne wale products ki gramin area mein bahut demand hain kyonki vaha electricity ki supply nahi hain. Dheere-dheere shaharo mein bhi inki demand badh rahi hain kyonki jitni tezi se bijali ke daam badh rahe hain, aane wale dino mein log solar products ko jaroor apnayenge.


Asaani se mile aise products :- gharelu level par solar products ko apna kar kafi bijali ki bachat ki ja sakti hain, lekin is bare mein jyada jankari na hone ki wajah se inka istemal bahut kam hi hota hain. Solar energy se chalne wale products ki bazaar mein kafi kam shops hain. In products ko bazaar mein asaani se available karwana chahiye. South India mein asaani se available hone ki wajah se solar products ka khoob istemal ho raha hain.