Header Ads

Ankoorit anaaz ya sprout khane ke fayde.

Ankoorit anaaz ya sprout khane ke fayde.Ankoorit anaaz ya sprout mein mauzood nutrients hamare health ke liye kai tarah se faydemand hain. Isme fiber bahut hi jyada matra mein hote hain. Isliye inhe khane se pet jaldi bhar jata hain aur bharpoor energy milti hain. Sprout ko regular apni diet mein shamil karne se hone wale fayde ke bare mein janiye. 

Sprout ke fayde :-

• Sharir ko karta hain detoxify :- Sprout ko apni diet mein shamil karne se sharir mein mauzood haanikarak acids asaani se bahar nikalte hain. Yeh body ko natural detoxify karta hain aur kai bimariyo se bachata hain.

• Sprout se wajan hota hain kam :- Sprout mein fiber kafi acchi matra mein paye jate hain. Isse body ko sahi matra mein energy milti hain. Yeh wajan kam karne mein sahayak hain.

• Haddiya hoti hain majboot :- Sprout mein mauzood nutrients calcium ki matra badhane ka kaam karte hain. Roj katori sprout khane se haddiya majboot hoti hain.

• Aankh aur baal banata hain khubsoorat :- sprout se sharir mein protein ki kami door ho jati hain. Isse muscles, aankh aur baal par accha asar padta hain. Immune system strong banta hain.

• Digestion sudhaarta hain :- Sprout mein mauzood fiber body ke function ko theek karta hain. Inhe khane se digestion system sudharta hain aur kabz se rahat milti hain.

• Skin hoti hain glow :- Sprout mein Anti-Oxidants sahi matra mein paye jate hain. Inhe khane se jhurriya door hoti hain aur skin glow karti hain. Yeh vegetarian diet ka behtar option mana jata hain.

• Sprout se milti hain energy :- Sprout mein vitamin A, C, B-6 aur K bharpoor matra mein paye jate hain. Saath hi isme Phosphorus, Magnesium, Calcium, aur Potassium bhi mauzood hote hain. Yeh nutrients sharir ko prayapt energy dete hain.

• Bimariya rakhe door :- Isme Calcium, Magnesium jaise tatvo ki bharpoor matra payi jati hain, jo sharir ko majboot banate hain. Roj sprout khane se kai bimariyo ka khatra tall jata hain.