Body ko strong aur healthy rakhne ke liye Purush jaroor khaye yeh cheeze.
Purusho ka sharir gathila aur muscles strong ho tabhi veh attractive lagte hain. Jab muscles majboot hote hain toh body shape mein dikhaayi deti hain. Iske liye sirf gym mein ghanto bitaana ki kafi nahi hain, balki Sahi diet plan bhi jaroori hain. Khan-pan par agar puri tarah se dhyaan diya jaye toh muscles majboot bante hain aur sharir bhi androoni roop se strong banta hain. Aaiye jante hain kuch aisi cheezo ke baare mein jinhe purush apni diet mein jaroor shamil kare, Yeh food aapke muscles ke alawa aapko androoni taur par bhi takatwat banate hain.
Purush jaroor khaye yeh 16 Cheeze, (Man Should must be eat these 16 healthy food) :-
1. Ankoorit Anaaz (Sprouts) :- Ankoorit anaaz mardo ki sehat ke liye bahut hi acche hote hain. Yeh poshak tatvo se bharpoor hote hain. Saath hi yeh Zinc jaise poshak tatvo ke acche source hain, Jo purusho mein kamjori aur napunsakta ki samsya ko khatm karte hain aur muscles ko majboot banate hain.
2. Tomato (tamatar) :- Tamatar mein Lycopene ki matra bahut jyada hoti hain. Lycopene paudho mein paya jane wale ek natural chemical hain. Yeh chemical apne Anti-oxidants guno ke liye jana jata hain. Yeh prostate, fefde aur pet ke cancer ko khatm karta hain. Saath hi chehre ki laalima aur chamak ko bhi badhata hain.
3. Lahsun :- Lahsun ka sewan bhi purusho ke liye bahut hi faydemand rahta hain. Lahsun mein Anti-Bacterial aur Anti-Viral tatv paye jate hain, jo sharir ki rog-pratirodhak kshamta ko badhate hain. Saath hi isme, Anti-Oxidants gun bhi mauzood hote hain. Yeh blood circulation ko tez banata hain.
4. Kaddu :- Kaddu bhi purusho ke liye vishesh taur par faydemand hote hain. Isme fiber, minerals aur kai tarah ke swasthyavardhak Anti-Oxidants paye jate hain. Iske inhi guno ki wajah se iska niyamit sewan karne se tamam umar skin jawan bani rahti hain.
5. Ande :- Agar aap ande khate hain toh ise apni niyamit diet mein shamil kare. Muscles ko majboot banane ke liye anda bhi ek aushidhi ki tarah kaam karta hain. Isme Amino acid paya jata hain. Ande ke peele bhaag mein Protein aur Lutein jaise tatv hote hain, jo sharir ko takatwar banate hain.
6. Anaar :- Purusho ko Anaar ka juice apni diet mein jaroor shamil karna chahiye. Rojana ek glass Anaar ka juice peene se purusho ko prostate ki samsya nahi hoti hain.
7. Broccoli :- Broccoli khane se chamatkari labh hote hain. Isme paya jane wala Isothiocyanate liver ko uttejit karta hain. Yeh oon enzymes ka nirmaan mein help karta hain, jo cancer paida karne wale cells ke prabhaav ko kam karte hain. Isme Vitamin C bhi mauzood hota hain. Isliye yeh purusho ki sehat ke liye behatarin aushidhi hain.
8. Phal aur sabziya :- Muscles ko majboot banane ke liye phal aur sabziyo ka bharpoor matra mein sewan karna chahiye. Inme vitamin, minerals aur kai poshak tatv aur protein paye jate hain jo muscles ko majboot banate hain.
9. Shimla Mirch :- Shimla Mirch bhi Men ke liye beneficial hoti hain. Kuch researches ke anusaar Lal Shimla mirch mein Orange ke juice ke mukable 3 guna jyada Vitamin C paya jata hain. Scientist ki maane toh Flavonoids ke liye Lal shimla mirch bahut hi badhiya option hain. Flavonoids mardo ko sehatmand banata hain.
10. Soya ;- Soya mein mauzood Isoflavones prostate ki raksha karte hain. Yeh prostate cancer ke khatre ko kam karte hain. Rojana 25 gram soya protein ke sewan se cholesterol level ko bhi kam kiya ja sakta hain.
11. Dry Fruits :- Dry fruits aur nuts dono mein hi bharpoor matra mein protein paya jata hain. Purusho ko dry fruits ka sewan niyamit roop se karna chahiye. Phir chahe aap inhe kaccha khaye ya phir bhoonkar khaye. Isme Fibers, Minerals, Vitamin aur Anti-Oxidants paye jate hain, Jinse muscles majboot bante hain aur sharirik taakat ke saath saath dimaag bhi tez hota hain.
12. Aam aur Papita ;- Aam aur papite dono mein hi bharpoor matra mein Vitamin A paya jata hain. Aam mein Amino Acid, Vitamin A, C aur E, Niacin, Beta-Carotene, Iron, Calcium aur Potassium paya jata hain. Vahi Papite mein prayapt matra mein Vitamin B aur C ke saath hi Anti-oxidants bhi mauzood hote hain. In dono phalo ke chhilko mein Bioflavonoids paya jata hain. Isliye yeh phal purusho ko apni diet mein jaroor shamil karna chahiye.
13. Low Fat dairy products :- Kam fat wale dairy products jaise doodh, Dahi, chhaach aadi mein protein adhik matra mein hota hain. Isliye purusho ko inka niyamit sewan karna chahiye. Ek cup doodh se lagbhag 8 Mg. carnitine milta hain. Doodh se bani cheezo mein Calcium, Vitamin jaise important poshak tatv bhi mauzood rahte hain. Iske alawa inme Carbohydrate aur Vitamin D bhi acchi matra mein mauzood hote hain, Jinse maanpeshiyo mein majbooti aati hain.
14. Raagi :- Raagi Calcium ka sabse accha source hain. Yeh purusho ko Osteoporosis se bachata hain. Saath hi, Yeh zinc aur Fiber ka bhi accha source hain. Iske niyamit sewan se Dyslipidemia, Diabetes aur motape aadi se bhi bacha ja sakta hain.
15. Green tea :- Green tea ka sewan bhi purusho ke liye accha hota hain. Green Tea mein Polyphenols bharpoor matra mein paya jata hain. Yeh cancer hone se rokta hain. Green tea rojana peene se pet, fefdo aur aanto ki bimariya nahi hoti hain.
16. Moongfali :- Moongfali mein Zinc ke alawa bharpoor matra mein Amino Acid paye jate hain. Yeh amino acid mardo ke liye faydemand hain. Iske sewan se purusho mein kamjori ki samsya door hoti hain.
Google Keywords Search :- Purusho ke liye best food, Best Diet food for Man in Hindi, Mardo ke liye uttam aahaar, पुरुषो के लिए सर्वोतम आहार, सबसे बढ़िया भोजन पुरुषो के लिए , मर्दों के लिए उपयुक्त आहार.
Post a Comment